Kaisa Ho Jata Tumhara Main Khud Apna Bhi Na Tha -
19th April 2008, 10:37 PM
Mujh se waqif to mere jism ka saya bhi na tha
Kaise ho jata tumhara main Khud apana bhi na tha
Jitna mayus hai wo shakhs bikhar kar mujh se
Itni shiddat se to main ne use chaha bhi na tha
Jaise ilzam lagaye hain mere sar us ne
Aisi nazaron se to main ne use dekha bhi na tha
Meri awaz ka Gam shahar ne jana kyonkar
Main to us bhir may Khamosh tha bola bhi na tha
Rana Sahri
Wahi hai markaz'e'Kaaba wahi hai rah'e'buthaana...
Jahaan diwaane do milkar sanam ki baat karte hain..
|