khayalon ke wadiyon -
2nd October 2001, 04:06 PM
woh aahzaari aur dard bari aawaz main kehta hai yaar main is akelepaan se tang aa gaya hoon,aur jaise hi apni dard bhari aankhen kolta hai to apne aap ko akela kamre main beta pata hai.Woh phir madhosh se aandaz main khayalon main dobta hai ! eik ladka hare bhare pahadon ke bech bane raaste par daud raha hai, har taraf badal chaye hoye hain,woh daudte daudte eik darakht ko pakad kar rokta hai,aur khushi se bhari awaz mein
kehta hai
'main jaanta hoon ke main kaun hoon '.Aur yeh keh kar phir dodta hai . Woh jaab pahad ke aakhre sire par phoonchta hai ,to uske samne zameen ke bajaye badal hain aur durr tak badal hain sirf badal !
Yeh chandni raat hai , kuch dost apnee ghar ki chaath par betay , apne duniya ko bhool kar batein kar rahe hain
woh andhere main bete hoye hain jab ke unke samne kise durr ghar ki roshne ni us jaga ko toda roshan kiya hova hai
Yeh bohot bada medan hai jis ke samne kareeb main eik pahad aur baki atraf main durr durr pahad hain teez hawa chal rahe hai
darkhtoon ko apne saath hila rahe hain aur yeh is medan main akela aik jaga main ghoom raha hai
in yaddon main kuch hai to kuch nahie
laiken ab to sub hai liken kuch nahie.
|