Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Kabhi yun bhi aa meri aankh mein ke meri nazar ko khabar na ho
Old
  (#1)
Mohammad Kashif
DIL KI BAAT DIL TAK
Mohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant future
 
Mohammad Kashif's Avatar
 
Offline
Posts: 1,185
Join Date: Apr 2007
Location: MORADABAD (U.P.)
Rep Power: 37
Thumbs up Kabhi yun bhi aa meri aankh mein ke meri nazar ko khabar na ho - 23rd June 2010, 09:01 PM

Kabhi yun bhi aa meri aankh mein ke meri nazar ko khabar na ho
Mujhe ek raat nawaaz de mager uske baad sehar na ho

Wo bada raheem-o-kareem hai mujhe ye sifat bhi ataa kare
Tujhe bhulane ki duaa karun to duaa mein meri asar na ho

Mere baazuon mein thaki thaki , abhi mahav-e-khwaab hai chadni
Na uthe sitaron ki paalaki, abi aahaton ka guzar na ho

Ye Gazal ki jaise hiran ki aankhon mein pichhali raat ki chandni
Na bujhe kharabe kii roshani, kabhi becharaag ye ghar na ho

Wo firaaq ho yaa visaal ho, teri yaad mahakegi ek din
Wo gulab ban ke khilega kyaa, jo chirag ban ke jalaa na ho

Kabhi dhoop de, kabhi badaliyan, dil-o-jaan se dono qubul hain
Magar us nagar mein na qaid kar jahan zindagi ki hawaa na ho

Kabhi din ki dhoop mein jhoom ke kabhi shab ke phool ko chuum ke
Yun hi saath saath chalein sadaa kabhi khatm apna safar na ho


Mere paas mere habib aa zara aur dil ke qareeb aa
Tujhe dhadkanon mein basaa lun main ke bichadne ka kabhi darr na ho


(Bashir Badr)


"Do Pal Ruka Khushio.n ka Karwan"


Dunia ke sitam ki koi perwah nahi mujhko,
wo kyoun mujhpe ungliya uthaye ja rahe hain.
Jis shaks ko janta tha ek chehre se ''kashif''
Uske kitne chehre samne laye ja rahe hain.




  Send a message via Yahoo to Mohammad Kashif  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com