Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
~~* us bewafaa ne mujh ko *~~
Old
  (#1)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
~~* us bewafaa ne mujh ko *~~ - 24th December 2017, 04:58 PM


main shaaKh se TooTaa huaa pattaa bhi nahiN thaa,
us bewafaa ne mujh ko jo dekhaa bhi nahiN thaa.

yaadoN ka terii main nashaa kartaa tha raat din,
naa jaagtaa tha aur main sotaa bhi nahiN thaa.

wo log aur hain jo tujhe dekhte hain jaaN,
apne naseeb me tiraa saaya bhi nahiN thaa.

dekhaa bhare bazaar me to Thahre ek pal,
phir muD ke yoon baDhe ke main sochaa bhi nahiN thaa.

barbaad hue ishq me, kuch husn ke peeche,
pahli mohabbatoN me kuch aataa bhi nahiN thaa.

jaa kah de naamabar usey ham kooch kar gaye,
jab tak thi jaaN , aye jaan tuu aaya bhi nahi thaa.

Qaasid bataa raha tha ke wo barbaad ho gayaa,
aur main samajh raha tha ke wo royaa bhi nahiN tha....


Shaad...



Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
25th December 2017, 01:12 AM

Namaskaar Shaad ji
bahaut samay baad aapko parhney ka awsar mila. Aapne shabdon ko kitnee khoobsurti se baandha hai Yeh dekhkar bahaut accha laga.
aapko parhna sukhad raha.


विपिन


   
Reply With Quote
Old
  (#3)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
25th December 2017, 08:34 PM

Quote:
Originally Posted by Vipinbox View Post
Namaskaar Shaad ji
bahaut samay baad aapko parhney ka awsar mila. Aapne shabdon ko kitnee khoobsurti se baandha hai Yeh dekhkar bahaut accha laga.
aapko parhna sukhad raha.
namashkaar Vipin ji.....

aaj arse ke baad aapko apni bazm e maujood dekh kar jo khushi mili hai bata nahi saktaa....

aapke muhabbat bhare lahze ne dil ko behad khushi di hai... aapko ye channd alfaaz pasand aa gaye meri khushnaseebi hai...

aate raiyega... sath dete rahiyega...

aapka dost

Shaad.......


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
26th December 2017, 05:18 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post

main shaaKh se TooTaa huaa pattaa bhi nahiN thaa,
us bewafaa ne mujh ko jo dekhaa bhi nahiN thaa.

yaadoN ka terii main nashaa kartaa tha raat din,
naa jaagtaa tha aur main sotaa bhi nahiN thaa.

wo log aur hain jo tujhe dekhte hain jaaN,
apne naseeb me tiraa saaya bhi nahiN thaa.

dekhaa bhare bazaar me to Thahre ek pal,
phir muD ke yoon baDhe ke main sochaa bhi nahiN thaa.

barbaad hue ishq me, kuch husn ke peeche,
pahli mohabbatoN me kuch aataa bhi nahiN thaa.

jaa kah de naamabar usey ham kooch kar gaye,
jab tak thi jaaN , aye jaan tuu aaya bhi nahi thaa.

Qaasid bataa raha tha ke wo barbaad ho gayaa,
aur main samajh raha tha ke wo royaa bhi nahiN tha....


Shaad...


Kya baat bahot khoob shaad sahab....tamaam ashaar behad Khoobsurati se pesh kiye hai AAPne. Par matla khud me lajwaab Raha kya kahne...ishq aur Dard AAP hamesha hee apni ghazal me bakhoobhi se pirote hain umda hamesha ki tarah.....daad qubool kijiyega...

Likhte rahein shaad rahein ......
Dher sari duayein..
Madhu



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
26th December 2017, 06:28 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
Kya baat bahot khoob shaad sahab....tamaam ashaar behad Khoobsurati se pesh kiye hai AAPne. Par matla khud me lajwaab Raha kya kahne...ishq aur Dard AAP hamesha hee apni ghazal me bakhoobhi se pirote hain umda hamesha ki tarah.....daad qubool kijiyega...

Likhte rahein shaad rahein ......
Dher sari duayein..
Madhu
Madhu saahiba tak Shaad ka aadaab pahuche........

aapne is adna se kalaam ko pasand farmaaya aur apni keemti ray se nawaaza meri khushnaseebi hai...

aapne in alfaazon ko padha samjha aur saraaha mujhe behad khushi hui... aati rahiyega

aapke kalaam ka bhi muntazir hoon...... jaldi hi kuch likhen aur share Karen ham sab ke saath.....

Duaaon ke saath ijaazat

Shaad.....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
10th March 2018, 10:42 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post

main shaaKh se TooTaa huaa pattaa bhi nahiN thaa,
us bewafaa ne mujh ko jo dekhaa bhi nahiN thaa.

yaadoN ka terii main nashaa kartaa tha raat din,
naa jaagtaa tha aur main sotaa bhi nahiN thaa.

wo log aur hain jo tujhe dekhte hain jaaN,
apne naseeb me tiraa saaya bhi nahiN thaa.

dekhaa bhare bazaar me to Thahre ek pal,
phir muD ke yoon baDhe ke main sochaa bhi nahiN thaa.

barbaad hue ishq me, kuch husn ke peeche,
pahli mohabbatoN me kuch aataa bhi nahiN thaa.

jaa kah de naamabar usey ham kooch kar gaye,
jab tak thi jaaN , aye jaan tuu aaya bhi nahi thaa.

Qaasid bataa raha tha ke wo barbaad ho gayaa,
aur main samajh raha tha ke wo royaa bhi nahiN tha....


Shaad...

Behad khoob ghazal aur mere dil behad khaas kyunki aapne makhta ke sher mein mujhe yaad farmaaya hai...

Yunhi likhte rahiYeGaa



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#7)
MANOJTANHA
Registered User
MANOJTANHA is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 42
Join Date: Jan 2018
Location: Delhi
Rep Power: 0
13th March 2018, 10:47 PM

बहुत खुब लिखा है शाद जी। कुछ पुराने ज़ख्म हरे कर दिये
दर्द छलक्ता है हर शब्द में , और याद दिलाता है कुच खोये हुये लम्हों की
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
5th June 2018, 04:24 PM

Quote:
Originally Posted by Qasid View Post
Behad khoob ghazal aur mere dil behad khaas kyunki aapne makhta ke sher mein mujhe yaad farmaaya hai...

Yunhi likhte rahiYeGaa
masha allah jo bazm me mere bhai maujood hain... aapko yaad kaise na karte jo dil me rahte hain ghazal me unka zikr aa hi jaata hai....

tahe dil se shukrguzaar hoon aapka.. aate rahiyegaa.

Shaad....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
5th June 2018, 04:25 PM

Quote:
Originally Posted by MANOJTANHA View Post
बहुत खुब लिखा है शाद जी। कुछ पुराने ज़ख्म हरे कर दिये
दर्द छलक्ता है हर शब्द में , और याद दिलाता है कुच खोये हुये लम्हों की
meri khushnaseebi aur ghazal ki kaamyaabi hai jo aapne nacheez ke adna ehsaason me khud ko sukoon paate dekha hai...

aage bhi aapka intzaar rahega...

shukriyaa

Shaad....


Shaad...
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com