Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Out of sight out of mind
Old
  (#1)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Arrow Out of sight out of mind - 5th August 2002, 12:13 PM

Kabhi tere deedar ka dard
mujhe itna na tadpata tha,
jab bhi bechen hota teri
galiyoN me chala aata tha,

Wo jamana bhi ab to
ek umr hue gujar gaya,
teri aarju ka nasha bhi
dheere-dheere utar gaya,

Makhmali subhoN me ab to
tera khayal nahi aata,
her sham un rahoN se gujarta hooN,
jahaN tera saya bhi nahi jata,

Laakh koshisheN ki jindgi
teri yaadeN hi bachakar rakhoN,
per itna fijool-kharch hooN ke
ye bachat bhi nahi kar paata.


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Re: Out of sight out of mind
Old
  (#2)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
Re: Out of sight out of mind - 3rd August 2004, 12:29 AM

Quote:
Originally posted by Chaand
Kabhi tere deedar ka dard
mujhe itna na tadpata tha,
jab bhi bechen hota teri
galiyoN me chala aata tha,

Wo jamana bhi ab to
ek umr hue gujar gaya,
teri aarju ka nasha bhi
dheere-dheere utar gaya,

Makhmali subhoN me ab to
tera khayal nahi aata,
her sham un rahoN se gujarta hooN,
jahaN tera saya bhi nahi jata,

Laakh koshisheN ki jindgi
teri yaadeN hi bachakar rakhoN,
per itna fijool-kharch hooN ke
ye bachat bhi nahi kar paata.

mere chaand,

Kabhi tere deedar ka dard
mujhe itna na tadpata tha,
jab bhi bechen hota teri
galiyoN me chala aata tha,


aaj tumhari galiyon maie kyun aayi... muje batane ki koi jaroorat hai?
ab yah rachna muje kaisi lagi ...... tum hi samaj lo apne aap....

tumhari meena
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
3rd August 2004, 12:20 PM

Makhmali subhoN me ab to
tera khayal nahi aata,
her sham un rahoN se gujarta hooN,
jahaN tera saya bhi nahi jata,


Chaand saahab..

Yun to aapki puuri rachna kamaal hai.. lekin ye sher behad khubsoorat laga..

Faraz saahab ki ghazal ke ashaarr yaad aa gaye.. pesh karte hain..

aa.Nkh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa

zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa

Bohat khoob!.. likhte rahiye..


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
3rd August 2004, 12:39 PM

Meena ji...per ye sahi hai...waqt saari baateiN dhuNdhla deta hai...or khaas kar tab jab wo jazroN ke saamne nahi ...

kuchh arz karooN kya...


Wo meri galiyoN me kyoN aata tha...
Meine ye baat na poochhi us.se....
Mujhe pata tha....mera khier-khwaah hai wo bhi
Mai bhi to uske...aane ko taras jaata tha..


Chaand


aa.Nkh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa
zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa

Faraz ...Banno ji...mujhe maalooM nahi tha...ke aap reply me itna khoob soorat tohfa deiNgi...wakai bahut pasand aaya Faraz saahab ka likh ye sher....dil khush ho gaya ise parhkar...

Tahe dil se Shukriya aapkha ise yahaaN post karne ke liye.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
4th August 2004, 03:24 AM

Chaand ji,

Sabse pehle to yeh bataana chaahungi ki nazm bahut pasand aayi..

Lekin woh sab.. aise to nahi hota...

Out of sight out of mind... Kehne ko sahi hai, par hota nahi hai.. Yeh main isliye keh rahi hun, kyunki mujhe bhi unko dekhe hue ek saal ho chala hai, lekin hum har din us din us pal ka intzaar karte hain jab ham phir se milenge.. Khair..

Yaadein ek baar jo ban jaati hain, phir kahan jaati hai?? Dil mein jo bas jaata hai, phir woh saamne aaye ya na aaye kya farak padta hai.. aankhen band karo aur chehra saamne aa jaata hai..

Aap bas khush rahiye!

~Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Shukriya priya
Old
  (#6)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Shukriya priya - 4th August 2004, 12:27 PM

Priya...ek baar phir tahe dil se shukrgujaar hooN aapka...jo aap meri rachnaaoN par mera hausla barhati haiN....sach...badi him.mat milti hai aap dostoN ke in replies se...

YahaaN phir mai kahooNga...out of sight out of mind...se yahaaN itna hi matlab hai ....ke milna milana jaroori hai....nazroN ke saamne rehna bhi jaroori hai...agar koi wada nahi hai to....or prem ka sakaaratmak hona bhi jaroori hai....aap khush kismat haiN ke aapki chaahat aapke prem me ek sakaratmak darshan hai.....so aap ek saal hi nahi kitna bhi intzaar kar sakti haiN...

per aapki baat hamesha saath rakhunga...

Thanks

Keep smiling

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Re: Shukriya priya
Old
  (#7)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
Re: Shukriya priya - 5th August 2004, 01:58 AM

Quote:
Originally posted by Chaand
Priya...ek baar phir tahe dil se shukrgujaar hooN aapka...jo aap meri rachnaaoN par mera hausla barhati haiN....sach...badi him.mat milti hai aap dostoN ke in replies se...

YahaaN phir mai kahooNga...out of sight out of mind...se yahaaN itna hi matlab hai ....ke milna milana jaroori hai....nazroN ke saamne rehna bhi jaroori hai...agar koi wada nahi hai to....or prem ka sakaaratmak hona bhi jaroori hai....aap khush kismat haiN ke aapki chaahat aapke prem me ek sakaratmak darshan hai.....so aap ek saal hi nahi kitna bhi intzaar kar sakti haiN...

per aapki baat hamesha saath rakhunga...

Thanks

Keep smiling

Chaand
Sach hai.. nazron ke saamne rehna zaroori hai.. Arsa ho gaya nazre milaaye hue.. yeh bilkul sahi kaha aapne..

Khush rahiye

~Priya



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
superb..
Old
  (#8)
inspired_humour
inspired shayar
inspired_humour will become famous soon enoughinspired_humour will become famous soon enough
 
inspired_humour's Avatar
 
Offline
Posts: 511
Join Date: Jan 2004
Location: i m from india gujrat.......dawoodi bohra
Rep Power: 22
Love superb.. - 5th August 2004, 03:06 PM

chand i dnt hve words to describe u bt i cant tell u mine i m


"SPEECHLESS"....!!!


be!maan mohabbat.....!!!

Sal!m.....!!!
  Send a message via Yahoo to inspired_humour  
Reply With Quote
hi
Old
  (#9)
akant
Registered User
akant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to beholdakant is a splendid one to behold
 
akant's Avatar
 
Offline
Posts: 1,774
Join Date: Apr 2003
Location: UP, India
Rep Power: 30
hi - 6th August 2004, 12:21 PM

Chaand ji,

kya kahe..ki kitani khamoshi odhi thi man ne jab padh raha tha paaki subah-o-sham.. kherchila etana tha yaade bhi bacha ker nahi rakh paya... sachchhi touchable lagi aapki yah rachana... likhate rahiye..



Akant...


*********
आहट सी कोइ आये तो समझ लेना कि तुम हो...
AahaT si koi aaye to samajh lena ki tum ho...
   
Reply With Quote
Shukriya DostoN
Old
  (#10)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Shukriya DostoN - 7th August 2004, 12:26 PM

Shukriy Priya....kabhi kabhi dil ki baat aa ji jaati hai laboN par...ham laakh chaaheiN phir bhi...milna jaroori hai.

Chaand

Thanks inpired_humour...thanks a lot for ur touchy reply.

Chaand

akantji ...ye aapka badappan hai jo aap is nacheez ko itna sammaan dete haiN...ye Chaand aapka tahe dil se shukrgujaar hai.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Luv At First Sight RAJ KI DEEWANI Shayri-e-Ishq 1 20th February 2006 04:10 PM
Thanks for your sight abdul dost Humourous Shayri 0 25th July 2005 04:07 PM
first sight nehakhan Shayri-e-Ishq 2 19th June 2002 07:04 PM
first sight nehakhan Shayri-e-Dard 0 21st March 2002 04:14 PM
At First Sight Aunali Shayri-e-Ishq 0 25th January 2002 12:46 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com