Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
kaise baithe haiN?
Old
  (#1)
s_jafri123
Registered User
s_jafri123 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 8
Join Date: Jan 2002
Location: aligarh
Rep Power: 0
Question kaise baithe haiN? - 12th February 2002, 11:37 AM

adaab arz hai,,
ek kaafi purani ghazal yaad aa gayee .arz hai,


wo aur honge jo jag ke sataye baithe haiN
hum unki yaad me duniya bhulye baithe haiN

humare paas hai kya,koi joke cheenega
keh apne aap ko hum khud lutaye baithe haiN

han jinko chota ye paagal jahan samajhta hai
wo apne dil hi me duniya samaye baithe haiN

hai duniya ke sabab choti si do aankhon meiN
na jaane kitne samundar chupaye baithe haiN

na jaane kaun se haalat me marna ho shams
kafan ko odh abhi se nahaye baithe haiN

bas filhal itna hi ..enshaallah aage bhi hazir hota rahoonga
khuda hafez
shams jafri
aligarh
   
Reply With Quote
hum unki yaad me duniya bhulye baithe haiN
Old
  (#2)
Feroz
None
Feroz will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 88
Join Date: Oct 2001
Location: Canada
Rep Power: 23
hum unki yaad me duniya bhulye baithe haiN - 12th February 2002, 01:11 PM

shams sahab

aadaab.

bhai aap to achhaa Khaasaa sher kah letey haiN. bahut Khushii huii ye haan kar. achhey sher sunaaye haiN aap ney. wah

wo aur honge jo jag ke sataye baithe haiN
hum unki yaad me duniya bhulye baithe haiN
>.............achaa matlaa hai, Khoob.

humare paas hai kya,koi joke cheenega
keh apne aap ko hum khud lutaye baithe haiN
>.............waaaaaaahhh!!!! kyaa aNdaaz hai, apne aap ko hum Khud luTaaye baiThey haiN. .....wah. waise, agar lafz "jo key" kii bajaai " jis ko " lagaayaa jaaye to kaisaa raheygaa.......

han jinko chota ye paagal jahan samajhta hai
wo apne dil hi me duniya samaye baithe haiN
>............achhaa sher hai.

hai duniya ke sabab choti si do aankhon meiN
na jaane kitne samundar chupaye baithe haiN
>............. muaaf kiijiiyegaa, mujhey ye sher samajhney meiN kuchh diqqat pesh aa rahii hai, aap ThoDaa saa tafsiil se bataayiiyegaa.

na jaane kaun se haalat me marna ho shams
kafan ko odh abhi se nahaye baithe haiN
................ek aur achhaa sher hai, lekin is meiN taKhallus ko "fit" kartey huey bahr laDkhaDaa gayii. :-) baharhaal , is ko yuN Theek kiiyaa jaa saktaa hai.............
na jaaney kaun sii haalat meiN shams marnaa ho
kafan ko oDh abhii se nahaaye baiThey haiN.

aaiNdaa bhii apne kalaam se nawaaztey rahiiyegaa.

Feroz
  Send a message via Yahoo to Feroz  
Reply With Quote
good gazal
Old
  (#3)
rajender
shayar-a-bindas
rajender will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 64
Join Date: Jul 2001
Location: NRI(NON RELIABLE INDIAN)
Rep Power: 23
good gazal - 13th February 2002, 07:03 PM

very good work jafri jii...bahut khub likha hai......


RAJENDER AGNIHOTRI......

faisla hone se pehle,
main bhala har kyun manu.
ke jag abhi jeeta nahin hain,
main abhi hara nahin huin.
   
Reply With Quote
bahut khoob..!!
Old
  (#4)
shumaila
Registered User
shumaila will become famous soon enoughshumaila will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 432
Join Date: Aug 2001
Location: NRI
Rep Power: 24
Thumbs up bahut khoob..!! - 13th February 2002, 07:37 PM

Wah Wah Wah jaafri sahab..bahut hi khoob.Aap bahut accha likhte hain I must say..ye shers to bahut hi pasand aaye .....


humare paas hai kya,koi joke cheenega
keh apne aap ko hum khud lutaye baithe haiN

han jinko chota ye paagal jahan samajhta hai
wo apne dil hi me duniya samaye baithe haiN

na jaane kaun se haalat me marna ho shams
kafan ko odh abhi se nahaye baithe haiN


...wooow..too good..kya maqtaa kaha hai..baat seedhe dil ko lag gayi!!


aur bhi sunate rahiyega!!BTW,Aap Aligarh mein kaun se year me hain aur kya kar rahe hain?Mere bhai ne Engg. wahin se ki hai aur meri saheli ne bhi aur bhi kuch log hain ja wahan abhi parh rahe hain!!

shumaila


kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta
kahiiN zameeN to kahiiN aasmaN nahi milta!!
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
s_jafri123
Registered User
s_jafri123 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 8
Join Date: Jan 2002
Location: aligarh
Rep Power: 0
13th February 2002, 08:45 PM

azeezon....
adaab arz hai,
kaafi masarrat hoti hai jab aap jaise log hausla afzai karta hai,
shukriya
nawazish
karam
meharbaani
bas isi tarah hum bejaan se logon me kuch jaan phoonkte raha karen....waise rahta adab ke shahr me hoon magar kya karoon ab to har jagah matam e adab hai....khair choden in baaton ko..aur batayen kya haal hai.........bhai apne ko to yun maza aata hai ke..........

wajood apna zamane me gar bachana hai
apne taajoN ko ajayab gharon se laana hai

yazeed e waqt hai gar apni sarkashi par to
husain(as) ki tarah islam ko bachana hai

kah ke kaatil na jaane kitnoN ko maara tumne
maare dahshat tumhare saath ye zamana hai

tum apni harkaton se baaz na aaye to suno
khoone nahaq ko ayk din to rang laana hai

tum karo theek: hum karen to katl
aise insaaf se ab humko baaz aana hai

tum na la paoge phir taab kuwat e haq ki
bas apne soye hue sheron ko jagaana hai

shams bachchoN me jo kirdaar ki mahek chaho
seerat e mustafa si kahkashan pe jaana hai.....

doston chand sher aur hain magar yahan nahi ...
umeed hai aap logon ko pasand aayegi...
mai aligarh me engg ka tallib e ilm hun aur ye mera final year year..doston se darkhwast hai ke meri naukri ke liye dua karen..thoda sa pareshaan hun naukri ki wajah se....kyonki..

jise bhi dekhiye wo apne aap me gum hai
zaban mili hai magar hum zaban nahi milta...

khair khuda aap logon ko khush rakhe
take care
khuda hafez o naser o negahdaar
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
palken jhukaae baithe hain......... sameer'shaad' Shayri-e-Dard 10 18th August 2006 06:09 PM
Nazrein bichaye baithe hain Narendra Shayri-e-Dard 0 27th March 2006 04:25 PM
SiTam KaRKe BaiThE hAiN...... dard_thesorrow Shayri-e-Ishq 55 5th August 2005 11:22 PM
hazaaron mar chuke hain saikdon tayiyaar baithe hain.......!!!!!!!! allahabadrptds Shayri-e-Ishq 9 18th August 2003 05:39 PM
baithe hain RICKY_DIL_SE Shayri-e-Dard 1 11th February 2002 11:11 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com