Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > English/Hindi/Other Languages Poetry > Hindi Kavitayen

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 2 votes, 5.00 average. Display Modes
prem aur gulab ki kahani
Old
  (#1)
bhushan
Registered User
bhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 13
Love prem aur gulab ki kahani - 15th January 2015, 04:28 PM

Bohot pehle jab dharti par insaan raha karte the
Patthar ki murat me jab bhagwaan raha karte the

Sur, asur, insaan,vruksh tab saath raha karte the
Phool tab gulaab ke berang raha karte the

Char baal mitro ki ye ajab kahani hai
Nasihat mile sabko isliye sunani hai

Pehla mitra tha "prem" vo suroon ka putra tha.
Tyag, paropkar sanskar the uske,vachan baddhata uska sutra tha

Duji thi "eersha" madhur uski vani thi,
dikhti thi bholi bacchi par asuroon ki vo nani thi

Teja tha "bhram" vahi pas me uska gaon tha
Bada bhola bhala tha vo manushya ka swabhav tha

Chautha tha "gulab" vo phoolon ki santaan tha.
Par berang tha vo bada khusboo se anjaan tha.

Khel nit naye khelte mil kar charoon yaar
Prem jata jeet hamesha eersha jaati haar

Ek din eersha ne apna asuri daav lagaya
Chupan chupai ka anokha khel usne rachaya

Eersha boli gulaab se ab milke chalna chaal
Lahu peeke prem ka tu ho jana laal

Ati divya tha Prem uski aabha aapratim
Uske liye chupna kahin tha bada kathin

Bhram ki ab bari thi vo dhoondane sabko aaya
Gulaab ne prem ko chupne katoon ke ghar bulaya

Eersha ne kateen prem ki aankhon me piro diye...
Jab lahoo baha prem ka to farishte bhi ro diye

Lahoo laga prem ka to gulaab hua laal
Khushbo hui aisi jiski nahi koi misaal

Hara kar prem ko eersha badi itraayi
Haalat dekh prem ki bhram ne di duhai

Bhram bola prem se mitra rahna mere saath
Meri aankhoon se jag dekhna din raat

Karni dekh mitro ki prabhu ko krodh aaya
Samay ke ant tak Gujab ko Prem ka das banaya

Eersha ko shrap mila tu bhi andhi ho jayegi
Chahe kitni sampanna ho tu trupt nahi ho payegi

Par prem tha mahan usne maaf bhi sabko kiya
Fir se sabki oor usne mitrata ka hath kiya

Prabhu bole prem se bhram sada rahega tere sang
Uski drusti se dekhna ab tu jag ke rang

Kahani sunke ye tum lena thodi seekh
Samay chahe kaise bhi ho, mitra rakhna theek

Bhushan Joshi



Bhushan Joshi

Last edited by bhushan; 15th January 2015 at 04:54 PM..
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com