Pyaare dosto ye koi gazal nahi...par jab kalam chalti hai kuch bhi likh deti hai...socha jo bhi ho aapke saath share karu bas isliye hi post kar raha hu.....
shukriyah
**************
Ye zakham hai kisi apne ka Kisi aur ko kahe kya
Marna hi hai ab agar to fir aag kya sagar kya
Usse mera rishta kya usse mera nataa kya
Pass rehkar bhi naa hua mera fir pass bhi raha kya
Ish mein kisi ki galati kya Sab hai meri nadani
bhool hai meri apni hi ab kisi aur ko dosh dena kya
Diggaj