Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Tamanna hai ke ab ho jaau mai dast-e-hina tera
Old
  (#1)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
Tamanna hai ke ab ho jaau mai dast-e-hina tera - 5th November 2016, 05:28 PM

Tamanna hai ke ab ho jaau mai dast-e-hina tera
Pata tujh ko nahi hai kitna unncha martaba tera

Tujhey tashkeel di hai intehaayi husn se rab ne
Nahi maloom tujh ko hai fida tujh pe khuda tera

Raha na hosh pee ke jaam bhi terey nigaaho ke
Utarta hi nahi jee se gazab hai ye nasha tera

Elaaj- e -dard-e-dil ho na saka ab charagar se bhi
Kiya jisney shifa mujh ko voh nazro ka dawa tera

Karey hai shehr ke deewaaney ab tera taa'qub bhi
Tu ik chalti huee jannat hai iss mai kya khata tera

Terey kirdaar mai hai gauhar-e-nayaab kuch aisey
Kahu kya aye pari andaaz hai sab se juda tera

Karey hai rashk bhi arbaab-e-jannat husn se terey
Pasand aata hai ab ehel-e-zameeN ko har ada tera

Lage tujh ko meri har baat jhuuti par yehi sach hai
Mujahid ki ragho mai behta hai khoon-e-wafa tera



FEW MEANINGS


Dast-e-hina= haatho ki mehendi
Martaba= rank/status
Tashkeel= shape
Intehaayi= extreme
Charagar= healer/physicion
Shifa= cure
Taa'qub=follow
Gauhar-e-nayaab= rare quality
Rashk= jealous
Arbaab-e-jannat= angels of paradise


Kya ishaara karey ye hawaaiye
Gaur se sun zara tu sadaaiye

Khushk pattey bhi kehte bohat kuch
Shabnami phool jo keh na paaiye
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
6th November 2016, 09:38 AM

Elaaj- e -dard-e-dil ho na saka ab charagar se bhi
Kiya jisney shifa mujh ko voh nazro ka dawa tera

Karey hai shehr ke deewaaney ab tera taa'qub bhi
Tu ik chalti huee jannat hai iss mai kya khata tera


Karey hai rashk bhi arbaab-e-jannat husn se terey
Pasand aata hai ab ehel-e-zameeN ko har ada tera

Bahot achcha kalaam hai mujahid sahab ....ek baar dubara dekh lein in ashaar ko....

Likhte rahein.....
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
6th November 2016, 03:43 PM

Shukriya madhu sahiba

Kalaam mai kuch khamiya hai

Jinn kamiyo ka aap ishaara kar rahey thai
Mai samajh paaya hu


Kya ishaara karey ye hawaaiye
Gaur se sun zara tu sadaaiye

Khushk pattey bhi kehte bohat kuch
Shabnami phool jo keh na paaiye
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com