Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
kuchh namak se bhari thailiyaN kholiye
Old
  (#1)
yati_om
Registered User
yati_om will become famous soon enough
 
yati_om's Avatar
 
Offline
Posts: 7
Join Date: Nov 2006
Location: greater noida,india
Rep Power: 0
Post kuchh namak se bhari thailiyaN kholiye - 13th December 2006, 10:50 PM

kuchh namak se bhari thailiyan kholiye.
phir mere ghav ki pattiyan kholiye.

mere par to katar hi diye aapne,
ab to pairon ki ye rassiyan kholiye.

pehle aahat ko pehchaniye to sahi,
jaldbazi me mat khidkiyan kholiye.

bhej sakta hai kagaz ke 'bum' bhi koi,
aise jhatke se mat chitthiyan kholiye.

jisko bikna hai chupke se bik jaega,
yun khule'aam mat mandiyan kholiye.
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
koi to ho
Registered User
koi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to behold
 
koi to ho's Avatar
 
Offline
Posts: 3,851
Join Date: Dec 2005
Location: karachi
Rep Power: 31
17th December 2006, 11:22 PM

Quote:
Originally Posted by yati_om View Post
kuchh namak se bhari thailiyan kholiye.
phir mere ghav ki pattiyan kholiye.

mere par to katar hi diye aapne,
ab to pairon ki ye rassiyan kholiye.

pehle aahat ko pehchaniye to sahi,
jaldbazi me mat khidkiyan kholiye.

bhej sakta hai kagaz ke 'bum' bhi koi,
aise jhatke se mat chitthiyan kholiye.

jisko bikna hai chupke se bik jaega,
yun khule'aam mat mandiyan kholiye.

wah janab bohat bohat acha likha hai alfaz nahi hain meray pas aap ke likhay ki tareef ke liye aesay hi likhtay rahiye


Waqt ke jisam ki kharash hoon main
apne ander se pash pash hoon main
zaaat hai aetbaar e zaaat nahin
ab to main khud bhi apne saath nahin
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
dilip200
Adhoori Aas
dilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud of
 
dilip200's Avatar
 
Offline
Posts: 1,543
Join Date: Jul 2006
Location: india , shivpuri
Rep Power: 31
18th December 2006, 12:48 PM

Quote:
Originally Posted by yati_om View Post
kuchh namak se bhari thailiyan kholiye.
phir mere ghav ki pattiyan kholiye.

mere par to katar hi diye aapne,
ab to pairon ki ye rassiyan kholiye.

pehle aahat ko pehchaniye to sahi,
jaldbazi me mat khidkiyan kholiye.

bhej sakta hai kagaz ke 'bum' bhi koi,
aise jhatke se mat chitthiyan kholiye.

jisko bikna hai chupke se bik jaega,
yun khule'aam mat mandiyan kholiye.
bahut khoob janab bakai main loot liya aapki shayri ne
dil se daad kabool farmaiye janab
shukriya
dilip


" Dilip " -Ek Adhoora khwab


Dard bantne se ab darr lagta hai
mere gamo ka usnane falsafa bana diya
  Send a message via Yahoo to dilip200  
Reply With Quote
Old
  (#4)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
18th December 2006, 09:55 PM

Quote:
Originally Posted by yati_om View Post
kuchh namak se bhari thailiyan kholiye.
phir mere ghav ki pattiyan kholiye.

wah dost wha bahot khub agaaz kiya hai aapne achha laga

mere par to katar hi diye aapne,
ab to pairon ki ye rassiyan kholiye.

azadi ka ehsas......

pehle aahat ko pehchaniye to sahi,
jaldbazi me mat khidkiyan kholiye.

bahot khub mere dost bilkul sahi bata kahi hain aapne

bhej sakta hai kagaz ke 'bum' bhi koi,
aise jhatke se mat chitthiyan kholiye.

kagaz ke bam? ye dusri line bahot pasdand aayi aise jhatke se mat chhithiyan kholiye ha hota hai dost kabhi kabhi aise hi jaisa aapne kaha hai sach kaha hai


jisko bikna hai chupke se bik jaega,
yun khule'aam mat mandiyan kholiye.

bahot hi khub anjaam diya hai mere dost aapne
mere dost yeti om ji janab namskaar!!

bahot hi khub likhte ho dost ek damdar kalaam k liye dad hazir hai dost ummid hai aage bhi aapke aise hi behtrin se kalaam is mehfil mein hame padhne ko milenge

khus rahiye aur apna khayal rakhiye

is duaon ke sath iajajat leta hun

aapka dost
dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
~#~kuchh pyar bhari sayari~#~ Diya_Jale Pyaar Bhari SMS Shayri 1602 24th July 2010 04:34 PM
Namak Halal friendnidhi Humourous Shayri 0 2nd March 2006 02:53 PM
Aankh Hain Bhari Bhari Eyes Hindi/Urdu Lyrics 0 11th February 2006 05:51 PM
jakhamon pe namak rkgupta78 Shayri-e-Dard 8 14th March 2005 12:57 PM
zakhm dil ke dikhaayo na duniya namak mal degi tumhare dard par sanjana_19 Shayri-e-Dard 1 22nd March 2003 01:38 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com