Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Apnii Pehchaan
Old
  (#1)
naadaan
Registered User
naadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud of
 
naadaan's Avatar
 
Offline
Posts: 567
Join Date: Jul 2009
Location: Dubai
Rep Power: 29
Apnii Pehchaan - 13th August 2009, 02:27 PM

Pyaare DostoN Aadab,

YuuN to kahteN haiN ke pyaar ki koi wajah nahi hoti, magar fir bhi hum sab apne pyaar meiN kuch khuubiyaaN to zaruur dekhte haiN aur unki wajah se unhe pasand bhi karte haiN. Magar insaani fitrat ya ana keh leiN hum unhi khuubiyoN ko apne raNg mein dhaalne ki koshish meiN lag jaate haiN, mano do alag insaan ek raah chal hi nahi sakte. Mai zyaati taur par is muktalif pehchaan ko dafanaa dene meiN yakeeN nahi karta aur isi jazbaat ko apne is nazm mein bayaaN kar raha huuN. Ummiid hai pasand aayegi…

Kaisey bhuul gaye aap, pyaar ka bhi usuul hai?
Gar bhula do kaydoN ko, to rishtaa fazuul hai.

Aap ki bhi pehchaan hai, aur hum bhi haiN nirale,
chahuuN agar aapko badalna, to kya ye qabuul hai?

kyuN banana chaahte haiN mujhey apna sa?
Aap-hi sa banuN to-hi Aapka, ye soch bhuul hai.

Kya mere wajood se inkaar kar sakte haiN Aap?
KyuN badal duun merii siirat? Ye ghair maqbuul hai.

Hai kudrat ka kanuun, har shai ki alag pehchaan,
Gehraa, fiika har raNg ka, chaman meiN phuul hai.

Is farq ko tasliim kareN aur fir bane mere humsafar,
Humaari pehchaan hi humaari ziinat hai, baaki dhuul hai.

Jab aapki shinaakht ho mujhsey, to hum do se ek nahi,
Ek hi tuut kar huey do, kyun deta apni anaa ko tuul hai

Na dhal apne saaNche meiN mujhey o “naadaan”,
Banaaya muktalif khuda ne tumhe, hume aur rasuul hai.

Love and Peace to all,
Shyam

"Wo kaun hai jinhe tauba ki mil gai fursat,
HumeN gunah bhi karne ko zindagi kam hai."
-Anand Narayan Mulla.

वो कौन है जिन्हें तौबा की मिल गई फुरसत,
हमें गुनाह भी करने को ज़िंदगी कम है.
-आनंद नारायण मुल्ला
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
13th August 2009, 02:51 PM

Quote:
Originally Posted by naadaan View Post

bahut sahi kaha apne...........
apki ghazal bi un ehsanso ko describe karti hui acchi lagi..........
daad kabool kijiye

regards
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
naadaan
Registered User
naadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud of
 
naadaan's Avatar
 
Offline
Posts: 567
Join Date: Jul 2009
Location: Dubai
Rep Power: 29
15th August 2009, 03:23 PM

Quote:
Originally Posted by zidd View Post
bahut sahi kaha apne...........
apki ghazal bi un ehsanso ko describe karti hui acchi lagi..........
daad kabool kijiye

regards
Manish Sahab Aadab Arz Hai,

Aur aapki pichli ghazal "Daaman pe khuna O ashq" ke liye bhai jaan, Farshi Salaam. Maasha-Allah kalam to.d kar syaahi pee gaye janaab. Aur meri is adna koshish pe daad ke liye bahot bahot shukriya bhai. Mashq jaari hai beh'r ki taaliim ki aur jald hi haazir houNga ek ghazal ke saath.

Tab tak apna khayaal rakhiyega,
Rab Rakha,
Shyam

"Wo kaun hai jinhe tauba ki mil gai fursat,
HumeN gunah bhi karne ko zindagi kam hai."
-Anand Narayan Mulla.

वो कौन है जिन्हें तौबा की मिल गई फुरसत,
हमें गुनाह भी करने को ज़िंदगी कम है.
-आनंद नारायण मुल्ला
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
17th August 2009, 12:33 PM

Quote:
Originally Posted by naadaan View Post
Manish Sahab Aadab Arz Hai,

Aur aapki pichli ghazal "Daaman pe khuna O ashq" ke liye bhai jaan, Farshi Salaam. Maasha-Allah kalam to.d kar syaahi pee gaye janaab. Aur meri is adna koshish pe daad ke liye bahot bahot shukriya bhai. Mashq jaari hai beh'r ki taaliim ki aur jald hi haazir houNga ek ghazal ke saath.

Tab tak apna khayaal rakhiyega,
Rab Rakha,
Shyam
shyam sahab aadab
ye meri khush nasibi hai ki ap jaise fankar ko thoda pasand aa jata hu....
koshish to mai jurur karunga ki agee bhi apka khayal aisa hi bana rahe
apki daad ke liye bahut shukriya..............bhale hi apne galat thread par daad di hi.....magar usse kya?
baat to wahi hai !!!!!!!!
ek baar phir shukriya.......

regards
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
30th September 2009, 05:17 PM

Quote:
Originally Posted by naadaan View Post
Pyaare DostoN Aadab,

YuuN to kahteN haiN ke pyaar ki koi wajah nahi hoti, magar fir bhi hum sab apne pyaar meiN kuch khuubiyaaN to zaruur dekhte haiN aur unki wajah se unhe pasand bhi karte haiN. Magar insaani fitrat ya ana keh leiN hum unhi khuubiyoN ko apne raNg mein dhaalne ki koshish meiN lag jaate haiN, mano do alag insaan ek raah chal hi nahi sakte. Mai zyaati taur par is muktalif pehchaan ko dafanaa dene meiN yakeeN nahi karta aur isi jazbaat ko apne is nazm mein bayaaN kar raha huuN. Ummiid hai pasand aayegi…

Kaisey bhuul gaye aap, pyaar ka bhi usuul hai?
Gar bhula do kaydoN ko, to rishtaa fazuul hai.

Aap ki bhi pehchaan hai, aur hum bhi haiN nirale,
chahuuN agar aapko badalna, to kya ye qabuul hai?

kyuN banana chaahte haiN mujhey apna sa?
Aap-hi sa banuN to-hi Aapka, ye soch bhuul hai.

Kya mere wajood se inkaar kar sakte haiN Aap?
KyuN badal duun merii siirat? Ye ghair maqbuul hai.

Hai kudrat ka kanuun, har shai ki alag pehchaan,
Gehraa, fiika har raNg ka, chaman meiN phuul hai.

Is farq ko tasliim kareN aur fir bane mere humsafar,
Humaari pehchaan hi humaari ziinat hai, baaki dhuul hai.

Jab aapki shinaakht ho mujhsey, to hum do se ek nahi,
Ek hi tuut kar huey do, kyun deta apni anaa ko tuul hai

Na dhal apne saaNche meiN mujhey o “naadaan”,
Banaaya muktalif khuda ne tumhe, hume aur rasuul hai.

Love and Peace to all,
Shyam

Bohat khoobsurat ehsaas haiN shyam saheb,......mujhe behad acchi lagi aapki yeh ghazal.....

khayaal bohat hi sacche aur seedhe saadhe haiN...

yuhi likhte rahiye....

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#6)
naadaan
Registered User
naadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud of
 
naadaan's Avatar
 
Offline
Posts: 567
Join Date: Jul 2009
Location: Dubai
Rep Power: 29
6th October 2009, 02:24 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Bohat khoobsurat ehsaas haiN shyam saheb,......mujhe behad acchi lagi aapki yeh ghazal.....

khayaal bohat hi sacche aur seedhe saadhe haiN...

yuhi likhte rahiye....

Zainy Ji Aadab,

Tah-e-dil se shukriya jo aapne kalaam ko saraaha. Koshish karuNga ke aage aur bhi behtar likh sakuuN aur aap ke saamne pesh kar sakuuN.

Aap ke waqt ke liye fir se shukriya.
Khush rahiye,
Shyam

"Wo kaun hai jinhe tauba ki mil gai fursat,
HumeN gunah bhi karne ko zindagi kam hai."
-Anand Narayan Mulla.

वो कौन है जिन्हें तौबा की मिल गई फुरसत,
हमें गुनाह भी करने को ज़िंदगी कम है.
-आनंद नारायण मुल्ला
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
sanam khan
Registered User
sanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the roughsanam khan is a jewel in the rough
 
sanam khan's Avatar
 
Offline
Posts: 121
Join Date: Oct 2008
Location: zindagi ki baaho me
Rep Power: 19
Post 6th October 2009, 08:47 PM

thank u very much shyam isse post karne ke liye bohut hi khubsurat
ghazal hai

Har ek prem kahaani main,
mera hi kissa aata hai..........
surat main apni dekhu,
aur nazar woh aata hai..........
   
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com