aadab -
22nd November 2004, 05:26 PM
ek chota sa kata pesh kiya hai....
achi khasi dosti bhi jati rahi,
wo mile to jindagi bhi jati rahi,
kabhi jinke kah kaho se gunjta tha ye aangan,
pyar hua to wo husi bhi jati rahi,
kabhi jo khil khila kar mila karte the,
na jane kyo unki dillagi bhi jati rahi,
yaad aa gaye wahi purane din,
sub kuch mila hai jindagi mein yaaron,
magar jamana hua,wo aavargi jati rahi......
is nachij ko dheeraj kahte hai dosto..... aapka ek naya dost...
|