Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
wo kisi aur ki dulhan bani hai...
Old
  (#1)
shoaib_malik21
Registered User
shoaib_malik21 will become famous soon enough
 
shoaib_malik21's Avatar
 
Offline
Posts: 186
Join Date: Oct 2005
Location: bhopal(mp)
Rep Power: 19
Thumbs up wo kisi aur ki dulhan bani hai... - 14th December 2005, 04:32 PM

hiii friends, ye shayri maine doosre forum me post ki thi.aur shayad ispe aapki nazar nahi gai hogi. maine yahan dobara isliye post kiya hai taki aap ek baar ise zaroor padhen kyonki agar ise aapne nahi padha to meri mohabbat ki tauheen hogi....


zindgi aaj meri jaan ki dushman bani hai.
mere khwabon ki rani aaj kisi aur ki dulhan bani hai.

aisi zindgi se kya faayda maula,
le kyon nahi leta ye jaan jo chand saanson ki mehmaan bani hai.

kya kahoon kitni mahir hai wo chehre badalne me,
kar ke khoon mere jazbaton ka dekho kitni nadaan bani hai.

socha na tha meri mout ka bhi faayda utha legi wo,
mere khoon ki mehndi aaj uske sajne ka samaan bani hai.

jise kahta tha main kabhi mohabbat ki devi,
wahi devi aaj mere liye haivaan bani hai.

humsafar tha main jiske liye kabhi,
hoke begane ki wo mujhse aaj anjaan bani hai.

kaash ki main tere sehre ka phool hota 'farha',
to choom leta tere maathe ko ki tu aaj malika-e-paristaan bani hai.

yoon to dono ne ghar badle hain aaj,
wahan tujhe mahal mile yahan kabr hamara makaan bani hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Monarch
Registered User
Monarch is on a distinguished road
 
Monarch's Avatar
 
Offline
Posts: 10
Join Date: Dec 2002
Location: Bison
Rep Power: 0
14th December 2005, 04:36 PM

nice .. very touchyy


kar saku to hamare liye sirf ek dua karna,
zindagi ki nahi hamare Maghfirat ki dua karna..

-----------------------
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
shoaib_malik21
Registered User
shoaib_malik21 will become famous soon enough
 
shoaib_malik21's Avatar
 
Offline
Posts: 186
Join Date: Oct 2005
Location: bhopal(mp)
Rep Power: 19
14th December 2005, 05:02 PM

thanx monarch .ese hi aap log padhte jayen to mujhe bahut khushi hogi. esa laga jaise meri mehnat safal ho gai. take care bye
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
14th December 2005, 05:10 PM

sach kahoon is kalaam ke katre-katre me dhoons-dhoons ke dard bhara hua hai janab.bas itna hi kahunga itna beintahasha dard le kar ghoomne se koi fayda nahi dard zindagi ka hissa hai use kabhi apni zindagi na ban.ne dijiye.kyunki agar ye ek baar zindagi ban jaye to fir jeene me bahut dikkat hoti hai.umeed hai aapko bura nahi laga hoga.aur agar kuch bhi bura lage to main maafi ka talabdar hoon.bas itni hi darkhwast hai ki yunhi likhte rahiye aap.

aapka LUCKY



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#5)
shoaib_malik21
Registered User
shoaib_malik21 will become famous soon enough
 
shoaib_malik21's Avatar
 
Offline
Posts: 186
Join Date: Oct 2005
Location: bhopal(mp)
Rep Power: 19
14th December 2005, 05:18 PM

ji haan ghayal sahab main aapki baaton se sahmat hoon. mujhe aapi kisi baat ka bura nahi laga allah kasam. mian ab to haal esa hai ki hum dushmano se bhi gila nahi rakhte fir aap to hamare dost hain.bhala doston se bhi koi bura maanta hai kya.aap hame apna samajhte hain tab to hame samjhate hain balki main aapka shukrguzar hoon ki aap ne hame is layaq samjha.


ghayal sahab jiusne zindgi me itne dukh jhele hain aponi mahbooba ki shadi apni aankhon se dekhi hai uske liye zindgi me ab aur kuch bura baaki hi nahi rah gaya.bas aap duaon me yaad rakhna.ok dear .thanx 4 d responce.
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
~.. Kal ki dulhan janumanu Shayri-e-Dard 13 26th May 2009 02:51 PM
Wo dulhan bani hui hain prashant_ai Shayri-e-Ishq 0 23rd September 2006 11:25 PM
wo kisi aur ki dulhan bani hai... shoaib_malik21 Anjuman-e-Shayri 0 13th December 2005 10:58 AM
dulhan..... Zunera Shayri-e-Ishq 4 9th February 2004 12:46 AM
Dulhan Irfan Hakeem Shayri-e-Ishq 1 22nd December 2003 06:34 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com