|
|
|
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 686
Join Date: Sep 2010
Location: Rewa, Madhya Pradesh
Rep Power: 29
|
BEST SIGNATURE SHER 15-30 June 2014 -
15th June 2014, 07:10 AM
Dosto! Jaisa ke aap log pahle se jaante haiN, aaj se hum ek naya silsila shuru kar rahe haiN. Iska naam hoga "BEST SIGNATURE SHER". Aap posting aaj 15 June se 29 June Midnight tak kar sakte haiN. Contest ke rules aapki suvidha ke liye dobara likhe ja rahe haiN.
Rules kuch is tarah se hain...
1. Jo bhi members iss silsiley meN hissa lena chahte hoN wo is thread par apna SIGNATURE SHER post kareN.
2. Aapko Sher submit karne ke liye 15 din ka waqt diya jayega (i.e. 29 June)
3. Muqaable ke liye 3 judges ka panel hai jismeN Bade bhai Ahmad shakil ji, bhai Aslam Noor ji aur maiN Sumit Anjaan hongey.
4. 15 din bad (On 30 June) teenoN judges apne hisaab se members ko points denge (grades) 1 to 10... Isi thread per..
5. Jis bhi member ke points sab se zyada honge he/she will be the winner.
6. Winner ka signature next 7 days tak teeno judges aur mods ka signature rahega..
7. Signature sher aapka apna likha hua ho. Kisi doosre shayar ka sher nahiN chalega. Agar sher kisi doosre shayar ka paya jata hai to aapko muqaable se eliminate hona pad sakta hai.
8. 30 June ko panel members apne hisaab se isi thread par comment ke zariye sabhi signatures ko grade denge.
Ek baat ka aur khayaal rakhiyega ki is thread par sirf apne likhe hue signatures ke siwa doosra koi comment na kareN. Kisi bhi sawaal ya jaankaari ke liye doosre thread ka istemaal kareN. Suvidha ke liye thread ka link yahaaN diya ja raha hai.
Is silsiley ke zariye sabhi logoN ko apne talent ko pahchaanne aur saabit karne ka ek mauqa aap logoN ko mil raha hai. Ziyada se ziyada log participate kareN aur muqaable ko aur adhik dilchasp banaayeN
Sabhi ko Panel aur mods ki taraf se shubhkamna.
_____________________________________
Last edited by zainy; 13th July 2014 at 12:56 PM..
|
|
|
|
|
Tanhaa Raahi
Offline
Posts: 3,700
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 55
|
16th June 2014, 11:55 PM
My signature :
Jeene ke liye mujhe ek sapnaa dedo
Haqeekat meri jaaN liye jaa rahi hai
amanush
Jeene ke liye mujhe ek sapna dedo
Haqeekat meri jaaN liye jaa rahi hai
|
|
|
|
|
Registered Member
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 32
|
17th June 2014, 03:23 AM
My Signature Shayr:
Ahmad yay dunya walay, baatayn badee karay hayn,
AasaaN haye baat kahna, Mushkil haye kar dikhaana!
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,646
Join Date: Oct 2013
Location: Mumbai, India
Rep Power: 23
|
17th June 2014, 11:52 AM
My signature sher:
hamaare na unse koii the maraasim
kare kyuN 'Safeer' zikr phir aaj unkaa
ख़ुदा परेशां तेरी बला से तेरे सितम से तेरे अधम से
अगर हसीँ होते ज़ुल्म तेरे तू भी तो कुछ शर्मसार होता
|
|
|
|
|
RADHE RADHE
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 59
|
17th June 2014, 02:05 PM
my signature sher:
इश्क ही रब है इश्क ही ज़िन्दगी है
'इश्क' का इश्क के बिना कहाँ गुज़ारा है
Ishk Hi Rab Hai Ishk Hi Zindagi Hai
'Ishk' Ka Ishk Ke Bina Kahan Gujaara Hai
Aapka Apna Ishk
'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है
email: rkm179@gmail.com
|
|
|
|
|
~$uper M0der@tor~
Offline
Posts: 8,418
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
|
17th June 2014, 09:08 PM
Hi members/ judges/ friends..... Please find my Signature sher below.
kyaa jaaniye mil jaae wo ujaDe dayaar meiN,
dekhaa hai hamne palte hue gul ko khaar meiN.
Shaad
|
|
|
|
|
Main shayar to nahin.....
Offline
Posts: 2,796
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 51
|
18th June 2014, 11:12 AM
hi friends.....my signature sher is.....
uske liye vo zindagi ke kuch pal the,
mere liye vo kuch pal hee zindagi the,
एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था
Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
Last edited by aru; 18th June 2014 at 11:19 AM..
|
|
|
|
|
~"REBELLIOUS IN LOVE"~
Offline
Posts: 3,264
Join Date: Feb 2008
Location: Ruatonga, Cook Islands
Rep Power: 52
|
18th June 2014, 11:19 AM
My signature sher...
________________________________________
Mayus thi kabhi Pari, chamka kismat ka taara hai
KhushiyoN se bhari zindagi, Ananthpak humara hai
_______________________________________________ PRANEETA
Kaash k khamoshi bhi ek zabaaN hoti
Main dekta rehta unhe aur haal-e-dil bayaaN hota
Ananthpak
|
|
|
|
|
Some Mirrors Lie...
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 45
|
18th June 2014, 02:08 PM
aadmiyat k aagay khud ko nelaam kar dala
dheere dheere be-hijaab hone laga hon....
*hSn* : parStaar
tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN... ("Asad")
|
|
|
|
|
~“ REBELLIOUS IN LOVE “~
Offline
Posts: 492
Join Date: Dec 2011
Location: Ruatonga,Cook Islands
Rep Power: 25
|
18th June 2014, 04:17 PM
My signature sher......
na maloom mujhe hasrr mera,na koi jaan ne ki aarzoo hai
tuhi aagaaz tuhi anzaam ho,ab na koi aur justuju hai
Mohabbat ke ye silsile na the
Jab tak tum hum mile na the
*pari*
|
|
|
|
|
Aapki dost
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
|
18th June 2014, 04:22 PM
Khamoshi ab sahi na jaaye,kuch to tum kaho
Mujh se gilay hi karlo meri jaaN! Kabhi kabhi
Zainy
PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...
Nm
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 30
|
19th June 2014, 01:58 PM
Go gair mere rekhte ko laakh saraahe,
'Talib' huun nuktachiini-e-yaraaN kabhi khabi.
|
|
|
|
|
Shayar
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
|
Sinature sher -
25th June 2014, 08:40 PM
Mera signature sher hai
raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
|
|
|
|
|
MaiN Our Meri Tanhaayii
Offline
Posts: 984
Join Date: Oct 2006
Location: Delhi
Rep Power: 32
|
25th June 2014, 09:43 PM
मेरे इश्क का तूफ़ान जो, उसने अंदर झेला होगा,
शायद कभी यूँ समंदर ने, ऐसा मंज़र खेला होगा |
Mere ishq ka toofaan jo, usne ander jhela hoga,
Shayad kabhi yuN samander ne, aisa manzer khela hoga.
===================================
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,753
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 38
|
25th June 2014, 11:53 PM
Aadaab
Mera signature sher hai ...
yooN to the hameshaa hi lab-e-zarraa pe shikwe
talkhee to n aisee thii kabhii us ki zubaaN meiN
-zarraa
Last edited by zarraa; 26th June 2014 at 12:01 AM..
|
|
|
|
|
Nazish
Offline
Posts: 215
Join Date: May 2007
Location: Dubai UAE
Rep Power: 25
|
26th June 2014, 01:02 AM
Dil jalaa ke poochhte haiN badii masoomiyat se woh.
Shamaa ka hi kyuN muqaddar hai raat bhar jalnaa.
Dr. Imtiaz Nazish
.....................................
Dil jalaa ke poochhte haiN badii masoomiyat se woh.
Shamaa ka hi kyuN muqaddar hai raat bhar jalnaa.
Dr. Imtiaz Nazish
Last edited by Nazish; 26th June 2014 at 01:06 AM..
|
|
|
|
|
Kuchh dil se~
Offline
Posts: 36
Join Date: Dec 2012
Rep Power: 0
|
26th June 2014, 07:05 AM
My Signature Sher:
Mujhko haridwaar kaashii ke darshan mile
Maine teerath ko Maa Baap meiN paa liyaa~
|
|
|
|
|
Talib-e-ilm
Offline
Posts: 213
Join Date: Aug 2010
Location: NOIDA (U.P.)
Rep Power: 24
|
26th June 2014, 11:55 AM
For ZAINY Sahiba,
मेरा हस्ताक्षर शेर....
puraane libaasoN mein laakhoN hain paivand,
Khyalon ko chola naya de raha hooN.
पुराने लिबासों में लाखों हैं पैवंद,
ख़यालों को चोला नया दे रहा हूँ .
Thanks.
Last edited by zainy; 28th June 2014 at 02:33 PM..
Reason: Edited on request
|
|
|
|
|
Tere Intzaar Mein....
Offline
Posts: 1,181
Join Date: Feb 2010
Location: Ludhiana(Punjab)
Rep Power: 39
|
26th June 2014, 01:52 PM
My Signature Sher:
चलती गयी यूं ही बेखबर जिंदगी
दो गज कफन का सफर जिंदगी
==========================
chalti gyi yuN hi bekhabar ziNdagi
do gaz kafan ka safar ziNdagi
Last edited by Rajeev Sharma; 26th June 2014 at 02:08 PM..
|
|
|
|
|
Member
Offline
Posts: 1,477
Join Date: Oct 2012
Location: Delhi .. ovalswitches@gmail.com
Rep Power: 27
|
26th June 2014, 10:35 PM
Jinki ek jhalak ke sadke guzaree tamam zindagee,
Vo itne paas aa ke bhi hum se wabasta na hue.
khone Pane ki daur mein yun uljha hai har bashar ,
Isee kashmeqash mein kat raha Zindagee ka safar.
Last edited by aru; 27th June 2014 at 04:12 PM..
|
|
|
|
|
'Bismil'
Offline
Posts: 773
Join Date: Mar 2006
Rep Power: 38
|
kyun tu naashaad nazar aata hai... -
27th June 2014, 05:43 PM
gore ghareeban hai ye 'bismil', kyun tu naashaad nazar aata hai?
musht-e-khaak hai basi yahan, bata kahan fuwaad nazar aata hai?
Pradhyuman - Bismil
-------------------------------------------------
gore ghareeban hai ye 'bismil', kyun tu naashaad nazar aata hai?
musht-e-khaak hai basi yahan, bata kahan fuwaad nazar aata hai?
--------------------------------------------------
Last edited by Pradhyuman; 27th June 2014 at 06:09 PM..
|
|
|
|
|
Super Mod
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 46
|
29th June 2014, 04:05 PM
aakhiri din ki ek koshish hai...
kya paa liya kya kho gaya is zikr mein kya rakha janaab
jo kho gaya muqaddar na tha jo aayegaa woh lajawaab
क्या पा लिया क्या खो गया इस ज़िक्र में क्या रखा जनाब
जो खो गया मुक़दर न था जो आएगा वह लाजवाब
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
|
|
|
|
|
Aapki dost
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
|
30th June 2014, 02:16 PM
DostoN intezaar ke lamhe khatm hone waale hain...bohat hi jald hamaare teeno judges yahaan apne apne points denge...aur InshaAllah kal subah mods results declare karenge. ..
Good luck to everyone! ...
Btw meri taraf se sabko 10/10...har ek sher anmol hai..lajawaab hai...jiska koi saani nahi.
Hatss off to one and all....
STAY TUNED FOR A SURPRISE GIFT FOR THE FIRST 3 WINNERS....
Zainy
PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...
Nm
Last edited by zainy; 30th June 2014 at 04:04 PM..
|
|
|
|
|
~$uper M0der@tor~
Offline
Posts: 8,418
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
|
30th June 2014, 03:49 PM
Jis tarah se abhii zainy ne bataaya, main bhi aap sab ko kahnaa chahunga ke ab aapke mehnat a nateejaa aapke saamne aane waala hai aur aap sab ko apni galtiyaan seekhne aur aage se aur bhi zyaada acchaa likhnaa seekhna ka mauqaa milne waalaa hai....
Mods ka result chaahe jo bhi ho meri taraf se aap sab ko 10 on 10....
All the best aur agli baar ke liye aap sab ko abhii se shubhkaamnaaen.......
Shaad...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,105
Join Date: Oct 2010
Location: Faisalabad
Rep Power: 35
|
30th June 2014, 04:00 PM
Aadaab Dosto……….!
Sab Se Pehlay To Me Is Competiton Me Shamil Tamaam DostoN Ka Shukria Adaa Karta Huun, JinhoN Ne Apni Shamuliyyat Se Is Programm ko Kaamiyaab Banaya…..
Majmui Taur Par Dekha Jaaye To Sabhi Participants Ki Kaawishaat Khubsurat Hain….
Ab Main Apni Taraf Se Grade Denay Ja Raha Huun…..
NAME GRADES
1-Amanush Ji…....... 10
2-Ahmad Hyderabadi Sahab .......08
3-Aadeil Ji ......... 08
4-Ishq Aik Ibadat Ji........... 07
5-Janab Sameer Shaad Sahab......... 09
6-Aru Ji............... 09
7-Paraneeta Ji .........06
8-Hassab Sahab ............ 08
9-Ananthpak Ji ..............07
10-Zainy Ji .................09
11-Talib Ji ....................10
12-Parasexena Ji ...........07
13-Harash Mahajan Ji ..........06
14-Zarrah Sahab ............. 08
15-Janab Imtiaz Nazish Sahab.............. 08
16-Abhi Tamrakar Ji ..................... 07
17-Anaarhi Ji ......................09
18-Rajeev Sharma Ji… ............07
19-Hamdam Sahab............... 07
20-Pradhyuman Sahab.............. 08
21-Janab Mast Ji ..................... 08
Ay Chaara-Saaz Dil Pe M're Daal Ik Nazar
Mujhko Bas Aik Jism Ka Aazaar Hee Nahi
AHMAD ALI SHAKIL
Last edited by AHMAD SHAKIL; 30th June 2014 at 04:03 PM..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 101
Join Date: Apr 2013
Rep Power: 14
|
30th June 2014, 04:25 PM
Ehle bazm ko mera aadaab,
Sabse pehle to is shaandaar thread ki kaamyaabi par mods aur Sumit sahab ko bhut bhut mubarakbaad paish karna chahunga, ek achi soch jo ki qabil e daad hai, uske saath hi saath isey kaamyaab banaane ke liyN tamaam participant jinhone is thread mai baR chaD kar hissa liaaur ise kaamyaab banaya uhne bhi bhut bhut mubarak,
Mujhy jo zimmedaari soNpi gayi thi uske chalte meiN aap sabhi ke saamne apni raaey ke sath hazir huN jo ki meine apni janib behad imaandaari ke sath nibhaaii hai,
Tamaam aashaar bhut khoob rahe har kisi ne bakhoobi apni khoobsurat soch ka muzahera kia, bharhaal in tamaam aashaaroN mai do she aise they jinhone mujhay behad mutassir kia ek sher apni soch ke naye pan ki wajh se to dusra sher apne lab o lehje ki bina par aakhir mai zahir hai kahiN na kahiN to jhukaaw ziyadaH hona hi tha to mera jhukaaw sirf ek point ke difference se nayi soch ki inferaadiyat ki taraf ho gaya wo jo do sher mujhay behad pasnd aaye aapki nazr haiN
Pehla sher
Jeene ke liyN mujhay ek sapna de do
Haqeeqat meri jaaN liye ja rahi hai (Amanush sb.)
Behtreen sher kaha gaya hai khayaal ki vusat lajawab, sher ki usb ”haqeeqat ka jaan laina hai” kis qadar ke haqeeqat aamez khyaal ko ek nazuk sa ehsaas diya gya lajawaab.
Dusra sher
Go ghair mere raikhtey ko laakh sarahe
Tailb huN nuqtacheeniye yaara kabhi kabhi
Takhallus ka behtreen istemaal aur lab o lehja ka bhi jawaab nahi sher jab nazr ke saamne aaya aur padha to dil shaad shaad ho gaya umdaa andaaz e bayaaN
Khair baat ko ziyada taweel na karte hue apni raaye aapke saamne rakh raha huN aur ek baar phir ye bata duN ke har sher apni waza mai behtreen sher hai magr meri naqis soch ki vusat mujhay jahaN lai gayi meine usi ke according points diye haiN, umeed karta huN ke mere in teyshuda points se kisi ki dilshikni nahi hui hogi. Bhut shukriyH
Points Table
1.Jeene ke liyN mujhay ek sapna de do
Haqeeqat meri jaan liye ja rahi hai(Amanush sb.) 10 points
2. Ahmad ye dunia waale bateiN badi karte haiN
Aasaan hai baat karna mushkil hai kar dikhana(Ahmad sb.) 8 points
3. hamare na unse koi they marasim
kareiN kyuN safer zikr phir aaj unka (Aadil sb.) 8 points
4. ishq hi rab hai ishq hi zindagi hai
Ishq ka ishq ke bina kahaN guzara (Ishq sb.) 7 points
5. kya jaaniye mil jaaye wo ujdey dayaar mai
Daikha hai hamne palte hue gul ko khaar mai (shaad sb.) 8 points
6. uske liyN wo zindagi ke kuch pal they
Mere liyN wo kuch pal hi zindagi (Arvind sb.) 7 points
7. mayoos thi kabhi pari chamka qismat ka tara hai
khushiyoN se bhri zindagi, ananthpak hamara hai (Praneeta jii) 7 points
8. Aadmiyat kea age khud ko nilaam kar daala
Dheere dheere behijaab hone laga huN (Hassan sb.) 8 points
9. Na maloom mujhy hashr mera, na koi jeene ki aarzoo hai
Tu hi aaghaaz tu hi anjaam, ab na koi aur justujoo hai (Ananthpak sb) 7 points
10. khamoshi abhi sahi na jaaye, kuch to tum kaho
Mujhse gile hi kar lo, meri jaan kabhi kabhi (Zainy saheba) 8 points
11. Go ghair mere raikhtey ko laakh saraahe
Tailb huN nuqtacheeniye yaara kabhi kabhi (Tailb sb.) 9 points
12. Raah mai hi manzilo ka zikr mat chedo parveen
Manzilo ne sun lia to aur bad jaayengii (Parveen sb) 8 points
13. Mere ishq ka tufaan jo, usne andar jhaila hoga
Shayd kabhi yuN samandar ne, aisa manzar khaila hoga( Harash sb) 8 points
14. Yun to tha hamesha hi lab e zarra pe shikwa
Talkhi to na aisi thi kabhi uski zabaan mai (Zarra sb.) 8 points
15. dil jala ke poochte haiN badi masoomiyat se wo
Shama ka hi kyuN muqaddar hai raat bhr jalna (Naazish sb.) 8 points
16. mujhko haridwaar kaashi ke darshan mile
Mene teerath ko maa baap mai paa lia (Abhi. Tamarakar sb.) 8 points
17. Puraane libaas mai laakho haiN payband
khyaloN ko chola naya de raha huN (Anaarhi sb.) 7 points
818. chalti gayi Yun hi bekhabr zindagi
Do gaz kafan ka safar zindagi (Raveej sb.) 8 points
19. jinki ek jhalak ke sadqe guzaari tamaam zindagi
Wo itne pass aa ke bhi hamse wabasta na hue (Hamdam sb.) 7 points
20. gor e ghareebaaN hai ye bismil kyuN tu nashaad nazr aata hai
Musht e khaak hai basi yahN bata kahaN fuwaad nazr aata hai (Bismil sb.) 7 points
21. kya paa iya kya kho gaya zikr mai kya rakha janaab
Jo kho gaya muqaddar na tha jo aayega wo lajawaab 8 points
aslam
zindagi ke haseen lamhe ka
Khoobsurat sa intekhaab ho tum
Last edited by aslam noor; 30th June 2014 at 05:12 PM..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 686
Join Date: Sep 2010
Location: Rewa, Madhya Pradesh
Rep Power: 29
|
30th June 2014, 05:18 PM
Sabhi Dosto ko mera namaskar
Best Signature Sher (BSS) ka program aapki ahbaab ki madad aur dilchaspi ke chalte bahut achche se muqammal hua jata hai. Mujhe khushi hai aap logoN ne hamari iss koshish ko pasand kiya aur program meN participate kar ke meyaar ki bulandiyoN ko khoob se khoobtar banaya.
I thank each and every member of sdc for praising our effort in BSS. I pay my thanks to all the talented participants of BSS. Ab aur ziyada waqt na lete hue grades ki taraf badhta huN.
Grade Distribution for Best Signature Sher (BSS) 15-30 June 2014 is as following:
1. Amanush ji .............9
2. Ahmad Hyderabadi ji .....8
3. Aadeil ji .....................7
4. Ishk Ek Ibadat .............6
5. Sameer'shaad' ji ...........9
6. Aru ji ....................10
7. Praneeta .............7
8. Hassan ji .............7
9. Ananthpak ji .............7
10. Zainy ji .............8
11. Talib ............10
12. Prasaxena ji .............9
13. Harash Mahajan .....6
14. Zarra ji .............8
15. Nazish ji .............7
16. Abhi Tamarakaar ji .....7
17. Anaarhi ji .............9
18. Rajeev Sharma ji .....6
19. Hamdam ji .............8
20. Pradhyuman ji ............6
21. Mast ji .....................8
_____________________________________
|
|
|
|
|
Main shayar to nahin.....
Offline
Posts: 2,796
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 51
|
30th June 2014, 07:44 PM
wow...what a competition....congrats to all the participants...and well done judges....really a difficult task for u......
एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था
Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
|
|
|
|
|
~$uper M0der@tor~
Offline
Posts: 8,418
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
|
30th June 2014, 09:24 PM
Sabhi members ko bahot bahot badhaai aur winners ko pyaar bahree daad...
aapka dost
Shaad...
|
|
|
|
|
Registered Member
Offline
Posts: 933
Join Date: Oct 2011
Location: Hyderabad (Deccan)
Rep Power: 32
|
5th July 2014, 10:59 PM
AsSalamAlaykm Bhaeeo wa Behno!!
Taakheer e haazri k liye maazrat!!
Sabsay pahlay Danny Sir & Talib bhaee dono ko bayhad bayhad Mobarakbaad!! Aur saath he Tahe dil se SHUKRIYAAA tl all organizers Judges and Participants!!!!!
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Linear Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
|