Likhna zehniyat ka kaam hai, jazbaaton ka balaatkaar nahi -
15th January 2015, 12:33 AM
Likhna zehniyat ka kaam hai, jazbaaton ka balaatkaar nahi
andhi kalam nahi, likhne waala, jo sunta hriday ki pukaar nahi
Likhna zehniyat ka kaam hai, jazbaaton ka balaatkaar nahi
kya faayda tehreer-o-takreer ka behr-o-makta-o-matle ke janib
jab zer-o-zabar ka sukoon ki siyaahi se rahta sarokaar nahi
Likhna zehniyat ka kaam hai, jazbaaton ka balaatkaar nahi
jitni shiddat se kumhaar mitti ko moorat ki shakl ata karta hai
dili soorat bhi baya karta kalaam, inkaar karta isse ashaar nahi
Likhna zehniyat ka kaam hai, jazbaaton ka balaatkaar nahi
Quality is not an act,it is a habit.
|