Dil pe moula ki mherbani hai
Dil muhabbat ki raajdhani hai
Khaab hum dono mil ke dekhenge
Jab talak apni zindegani hai
Tumse milte hi bhool jata hun
Apne gham ki jo bhi kahani hai
Kal jo hoga oh dekha jayega
Zindegi aaj to suhani hai
Chod den uske dar se jeena kya
Mout ayegi oh to aani hai
Likh do ek aur chithi jaldi se
Jo mere paas hai purani hai
Saath mera sada nibhaoge
Meri aisi hi khushgumani hai
Us se bhi gehri hai meri chahat
Jitna sagar men gehra pani hai
Har oh tohfa sambhaal ke rakhna
Jo mere pyar ki nishaani hai
Aur Parwaaz likhte jao tum
Dunya ghazlon ki hi diwani hai
By Mujeeb Parwaaz.
Arse baad aapko padhne ka maukaa mil raha hai aur kya nayaab ghazal huyi hai janaab, khaaksaar ki daad qubool farmiyegaa yun to har sher pur asar raha par ek sher par tabiyat se muqarrar awaaz aayi use dohraa de raha hoon...
Likh do ek aur chithi jaldi se
Jo mere paas hai purani hai
Behad umdaa sher janaab.
Qasid
___________________________________________
नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ
रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
aap mashallah barson se sukhangoii se wabastah hain....aur apne qalam ke johar se sukhan nawazon ko mehzooz karti aarahi hain. aap ki daad mere liya besh qeemiti hai.
waise main eh koshish karta hun ke salees urdu men ghazal kahi jaye taake ziyada se ziyada log shayeri ko samjhe ..sher ke mafoom ko samjhen.
ek baar phir aap ki nawazish ka teh dil se shiukriya ada karta hun.
Dil pe moula ki mherbani hai
Dil muhabbat ki raajdhani hai
Raajdaani lafz halanki bahut munasib nahi hai..magar in hindustani tradition nibh jayega...magar bus nibh hi jayegA...saani ki ek koshish aur honi chaiye.
Khaab hum dono mil ke dekhenge
Jab talak apni zindegani hai