Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

View Poll Results: i feel the nazm is..
very good 4 50.00%
very touching 5 62.50%
average 1 12.50%
Multiple Choice Poll. Voters: 8. You may not vote on this poll

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Tamanna.
Old
  (#1)
prashant vasl
Registered User
prashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 333
Join Date: May 2008
Location: mumbai(maharashtra)
Rep Power: 22
Tamanna. - 25th December 2009, 12:05 AM

Main tujhe baahon mein le loon,
ye tamanna bhi nahin
Main teri zulf se kheloon,
ye tamanna bhi nahin
Meri hasrat hai ki,main bas tera deedaar karoon
Tujh ko maloom na ho,aise tujhe pyar karoon.

Jism ki pyas to pal bhar ki hai,mar jaayegi
Ye wo aandhi hai,jo aayegi,guzar jaayegi
Kaise main khud ko tere ishk se be-zaar karoon.

Tu ibaadat hai meri,dil ki dua hai tu hi
Mere hone ki vajah,mera khuda hai tu hi
Tu mujhe gum bhi agar de,to na inkaar karoon.

(all rights reserved with prashant vasl,the author.this nazm will appear in author's new upcoming publication,'Nazm-My Heart Beat'.)
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
janumanu
Banned
janumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 2,586
Join Date: Jun 2008
Location: New Delhi
Rep Power: 0
25th December 2009, 12:11 AM

vasl ji

aapka bahut dino maheeno se intzaar tha aap aye .. aapka shukriyaa
aapko padhna apen aap mai garv ki baat hai .........

Kaise main khud ko tere ishk se be-zaar karoon.
Tujh ko maloom na ho,aise tujhe pyar karoon.

very intersting .........

khud ko bhoolke tujhe chahu
tujhse chupke tujhe chahu
pyar mai girna nahi hai mujhe
khud se uth ke tujhe chahu

and yes waiting for ur new book
best of luck for future
ur fan

Janumanu
  Send a message via Yahoo to janumanu  
Reply With Quote
Old
  (#3)
prashant vasl
Registered User
prashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 333
Join Date: May 2008
Location: mumbai(maharashtra)
Rep Power: 22
25th December 2009, 11:29 AM

Dear Janumanu,
Bada achcha laga ye jaan kar,ki koi mera bhi intezaar kar sakta hai..shukriya.
Kya aap ki nazar se meri last released book.."Laut -Te-Huye" guzri..!?
regards
prashant vasl
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
25th December 2009, 11:59 AM

Quote:
Originally Posted by prashant vasl View Post
Main tujhe baahon mein le loon,
ye tamanna bhi nahin
Main teri zulf se kheloon,
ye tamanna bhi nahin
Meri hasrat hai ki,main bas tera deedaar karoon
Tujh ko maloom na ho,aise tujhe pyar karoon.

Jism ki pyas to pal bhar ki hai,mar jaayegi
Ye wo aandhi hai,jo aayegi,guzar jaayegi
Kaise main khud ko tere ishk se be-zaar karoon.
Tujh ko maloom na ho,aise tujhe pyar karoon.

Tu ibaadat hai meri,dil ki dua hai tu hi
Mere hone ki vajah,mera khuda hai tu hi
Tu mujhe gum bhi agar de,to na inkaar karoon.
Tujh ko maloom na ho,aise tujhe pyar karoon.

(all rights reserved with prashant vasl,the author.this nazm will appear in author's new upcoming publication,'Nazm-My Heart Beat'.)
prashant sahab namaste..........

apki nazm badi acchi lagi.............
aj pahli baar apko dekha .........bahut accha laga..............isliye apke pichli kuch ghazalon par bhi nazar dali.............sab bahut acchi lagi...........hasya wali bhi

apka published work kaha milega mujhe pata nahi..........agar kuch aap bataye to baro meherbani( mumbai me)...........apka likha aur sunne ka mann kar raha hai

regards
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
25th December 2009, 03:38 PM

Mujhe koi khaas asar chorti nahi lagi ... koi naye khyaal nahi lage ... theek hai padhne ke liye...

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#6)
prashant vasl
Registered User
prashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 333
Join Date: May 2008
Location: mumbai(maharashtra)
Rep Power: 22
25th December 2009, 11:48 PM

Quote:
Originally Posted by zidd View Post
prashant sahab namaste..........

apki nazm badi acchi lagi.............
aj pahli baar apko dekha .........bahut accha laga..............isliye apke pichli kuch ghazalon par bhi nazar dali.............sab bahut acchi lagi...........hasya wali bhi

apka published work kaha milega mujhe pata nahi..........agar kuch aap bataye to baro meherbani( mumbai me)...........apka likha aur sunne ka mann kar raha hai

regards
shukriya.agar aap mumbai mein hain to crossword(shopperstop) ya granth book store,juhu tara road mein milega."Laut-Te-Huye' naam se.sath mein ek audio CD complementary hai,meri nazmen/gazlen meri hi awaaz mein.
agar aap kisi aur shahar mein hain to mujhe mail kariye prashant_vasl@yahoo.com par.main bataaoonga kaise mil sakti hai.
prashant vasl
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
prashant vasl
Registered User
prashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 333
Join Date: May 2008
Location: mumbai(maharashtra)
Rep Power: 22
25th December 2009, 11:52 PM

Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
Mujhe koi khaas asar chorti nahi lagi ... koi naye khyaal nahi lage ... theek hai padhne ke liye...

Kunaal
Bahut inaayat hai comment ke liye.Abhi bismillah hai janab.Likhna aate aate hi aata hai.Filhaal sifar samajh kar,nazar andaaz karen.Allah Haafiz.
aap ka naa cheez
prashant vasl
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
26th December 2009, 02:12 AM

Aadaab o tasleemaat !

kaise haiN moHteram janab vasl saHb , baRi muddat ho gai hai appke kalam se ru ba ru huwe , waise kahan masroof haiN ?

nazm beHad achi lagi , meri jaanib se daad qabool fermaaieN , Huzoor hum ahl e e'lm na sahi mager aqal se andhe bhi naheiN keh apne siwaa kuch bhi acha na lage .

likhte rahieN aur hamieN apne kalam se ru ba ru hone ke zyada se zyada mawaqe fermaahm kerieN , beHad shukriyah

Mujeeb
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#9)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
26th December 2009, 03:05 AM

Quote:
Originally Posted by Mujeeb View Post

Bohat hi aala khyaal hai.. lekin aapko apne likhe hue pasand to aate hai... kisi ko to apne bhi pasand nahi aate ... ab use aqla se andha kaheN ya zubaan se paidal... par ye kahan ki aqlamandi hai... ki jo humeN pasand aaye hum doosre se bhi umeed kareN .. ki wo pasand kareN .... log bhi na ... kamaal karte hai,,, aur phir kehte hai hum aqla se andhe nahi,,,.. hai naa..

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#10)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
26th December 2009, 04:52 AM

huzoor ager kisi ko apna hi likha passand nahieN aata to likhta hi kiyoN hai ? aur waise bhi koi apni koshish se mutmain hota hai jabhi to meHfil maiN tareefieN looTne ke liye aata hai . maiN kuch ghalat to nahieN keh raha moHteram KunaaL saHb ?

app konse acar choRne ki baat keh rahe haiN aur konsi taazgi chahte haiN app kalam maiN ... konsi kami hai zara uski bhi wizaHat fermaaieN tab bane gii baat ... mohteram KunaaL saHb

jee haaN saHeeH fermaaya appne log waaqi kamaal kerte haiN pehle khud ke girebaan maiN jhaankte nahieN nikal peRte haiN dosroN ko samjhaane .

hum khud likhieN to ba-acar koi aur likhe to be-acar , itna bakheel hona bhi acha naheiN janab.

nacheez
Mujeeb
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#11)
prashant vasl
Registered User
prashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 333
Join Date: May 2008
Location: mumbai(maharashtra)
Rep Power: 22
26th December 2009, 11:09 AM

Mohtaram Mujeeb Saaheb
Aadaab.Khairiyat se hoon.Apne naye 'majmuye' ko poora karne mein laga hoon.Unvaan hai,'Main Bhi Akela'..Kuchh aur na kah kar,sirf apna ek matla pesh karoonga:
"KAHIN AISA NA HO APNI HI AANKHON SE UTAR JAAYEN
BAHUT MUMKIN HAI,DARPAN DEKH KAR,KUCHH LOG DAR JAAYEN."
Bahut purana judaav hai,SDC se,wahi kheench laaya..achcha laga.
Allah Haafiz.
Prashant vasl
Quote:
Originally Posted by Mujeeb View Post
Aadaab o tasleemaat !

kaise haiN moHteram janab vasl saHb , baRi muddat ho gai hai appke kalam se ru ba ru huwe , waise kahan masroof haiN ?

nazm beHad achi lagi , meri jaanib se daad qabool fermaaieN , Huzoor hum ahl e e'lm na sahi mager aqal se andhe bhi naheiN keh apne siwaa kuch bhi acha na lage .

likhte rahieN aur hamieN apne kalam se ru ba ru hone ke zyada se zyada mawaqe fermaahm kerieN , beHad shukriyah

Mujeeb
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
26th December 2009, 01:14 PM

Quote:
Originally Posted by Mujeeb View Post
huzoor ager kisi ko apna hi likha passand nahieN aata to likhta hi kiyoN hai ? aur waise bhi koi apni koshish se mutmain hota hai jabhi to meHfil maiN tareefieN looTne ke liye aata hai . maiN kuch ghalat to nahieN keh raha moHteram KunaaL saHb ?

app konse acar choRne ki baat keh rahe haiN aur konsi taazgi chahte haiN app kalam maiN ... konsi kami hai zara uski bhi wizaHat fermaaieN tab bane gii baat ... mohteram KunaaL saHb

jee haaN saHeeH fermaaya appne log waaqi kamaal kerte haiN pehle khud ke girebaan maiN jhaankte nahieN nikal peRte haiN dosroN ko samjhaane .

hum khud likhieN to ba-acar koi aur likhe to be-acar , itna bakheel hona bhi acha naheiN janab.

nacheez
Mujeeb
Janaab

janaab apni kamiyoN ko pehchaan-na galat nahi hai .. aur khud ka likha pasand na aane ka matlab hai.. ki kami hai aur seekha jaye aur durust kiya jaye .. aisi hi umeed na-pasandgi pe doosroN se kee jaati hai .. ye kahan ka dastoor hai ki likhna hi chor deN kisi bhi wajah se.. is tarah se jo abhi shuwaati daur main hai wo to char kalaam ke baad hi maidaan chor deNge... aur har kisi ke mehfil main aane ka sabab alag alag hai.. har koi tareef lootne nahi aata... koi gham baant-ne aata hai .. aur dost dhundhne . .. aur koi seekhne... aap kya keh rahe hai wo aap jaane .. sahi aur ghalat ke maiyne har kisi ke alag alag hai ...

aur yahan jo bhi asar chorne ki baat hai .. saahab ne ek nazm likhi maine padhi .. padhne ke liye accha bhi kaha maine.. mujhe kuch khaas jazbaat nahi nazar aaye ... itni lambi chaudi kahani nahi thi to maine seedha saa jawaab likh diya ... aap kisi pe apni pasand nahi thop sakte saahab ... aur na use mazboor kar sakte...

Aur aapne wakai apne liye sahi baat likh dee hai janaab... kyuNki maine ye nahi likha tha.. maine ye likha tha log kisi se jabardasti karte hai .. aur kehte hai hum akla se andhe nahi hai .. jabardasti to bevakoofi hai .. andho mai to phir bhi dimaag hota hai...

aur hum humesa hi be asar nahi rehte .. kayi baar khud ke aur doosroN ke likhe se bhi mutmain hote hai.. jiska udaharan .. aapki bhi koi post hai .. jahan aapki tareef kee gayi hai... aur kayi baar doosre ke kya khud k likhe se mutman nahi hote... jaur jo khud se mutmain nahi hai .. iska matlab wo apne girabaaN main jhaankta to hai...

khair .. aap nahi samjhoge...

Khuda hafiz khyaal rakhiye apna...

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..

Last edited by KunaaL; 26th December 2009 at 01:20 PM..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#13)
kwahish
An Incomplite Dream
kwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud ofkwahish has much to be proud of
 
kwahish's Avatar
 
Offline
Posts: 3,017
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 30
26th December 2009, 03:43 PM

Vasl sahab Aadaab

Aapko pahele bhi padha tha aapka woh bhi kalam bahut khoob laga tha aur yeh bhi Masha Allah hia ........behad simple words aur gehre ahsaas hia aapke, jo puri nazm mein ek kashish bandhe rakhi hia aapne....... mujhe aapki yeh nazm bahut khoob lagi.......

Likhate rhiaye aur bazm mein aate rhiaye......
Khush rahiye,
Khuda Hafez............

  Send a message via Yahoo to kwahish  
Reply With Quote
Old
  (#14)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
27th December 2009, 01:48 AM

Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
khair .. aap nahi samjhoge...

Khuda hafiz khyaal rakhiye apna...

Kunaal

Aadaab o tasleemaat moHteram ,

smajhdaari ka sirf aik hi piyaala tha jo sirf app hi ko naseeb huwa baaqi to saare na smajh hi reh gaey haiN ,

seekhne ke andaaz aur taane ke andaaz maiN farq smajh paate haiN app ?

app per apni merzi kon thop raha hai moHteram ? maiN ne to app se yehi a'rz kiya keh app zara tafseel se bayaN kereiN keh kiya kami thi is maiN aur isse ba-asar kaise banaya jaa sakta hai ? shayad mujh jaise bewakoof kuch seekh sakieN aur prashant jee ko bhi koi clue mil jaaey agli dafa ba-asar likhne ka .

zaberdasti kis ne kii app se mahraaj ?

aur moHteram aqal ke andhe se muraad hai jinke aqal meN sirf andhera ho unhaiN e'lm ka kuch nazar na aaye, na jaane app kis andhe ko ro rahe haiN.

ma'zrat mohteram na jaane app baat ko kahaN se kahaN gol maTol ker rahe haiN , app daana haiN hum na ahl be aql aur bewakoof

ma'jra khatam , qisaah tamaam barahe karam ab koi baat kerni ho to PM se ker sakte haiN yahaN per aur hungaama na kerna hi behter hai .

khush rahieN
talKh kalaami ke liye ma'zrat .
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#15)
prashant vasl
Registered User
prashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 333
Join Date: May 2008
Location: mumbai(maharashtra)
Rep Power: 22
27th December 2009, 10:46 PM

vajah main hoon aur main is ke liye sharmsaar hoon..maafi ka talabgaar bhi.phir aap ko 'dukh' na doon,is liye behtar hai,main SDC par phir na aaoon.Kunaal saahen aur Mujeeb Bhai baraye-karam ye mubaahisa yahin khatm kar ke,khush rahen...aap logon ke beech bahas 'zaaviye(angle) ke farq ki hai,Bas.Allah Haafiz.

prashant vasl
Jaate Jaate apna sher apna,jo shayad kisi qaabil ho.
"Main Us Kitaab Ki Maanind Hoon Jise Ab Tak
Kisi Ne Khol Ke Achchi Tarah Padha Hi Nahin."

Last edited by prashant vasl; 27th December 2009 at 10:51 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
janumanu
Banned
janumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 2,586
Join Date: Jun 2008
Location: New Delhi
Rep Power: 0
27th December 2009, 10:54 PM

vasl saheb

aap kahi na jayen plzzzz.........

plzz
  Send a message via Yahoo to janumanu  
Reply With Quote
Old
  (#17)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
28th December 2009, 01:58 AM

samajh aaya mujeeb bhai... isi liye kam kehna accha hota hai....

prashaant jee .. maiN aapse teh dil se muafi maangta huN ... aap kahin na jayeN .. aur main mujeeb aur apni dono ki jaanib se aapse muafi ki darkhuast karta huN .. hum abhi itne aqlamand nahi hue hia... aap jaise sukhanwar ki humesha zaroorat hai humeN .. aap beeti baateN darkinaar karte hue... apni rawaangi jaari rakheN .. ye sab to hissa hai shayri ka takraar aur pyaar

Aap humeN muaf zaroor karenge ilteza bhi hai aur umeed bhi

Kunaal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#18)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
28th December 2009, 10:07 AM

Quote:
Originally Posted by prashant vasl View Post
vajah main hoon aur main is ke liye sharmsaar hoon..maafi ka talabgaar bhi.phir aap ko 'dukh' na doon,is liye behtar hai,main SDC par phir na aaoon.Kunaal saahen aur Mujeeb Bhai baraye-karam ye mubaahisa yahin khatm kar ke,khush rahen...aap logon ke beech bahas 'zaaviye(angle) ke farq ki hai,Bas.Allah Haafiz.

prashant vasl
Jaate Jaate apna sher apna,jo shayad kisi qaabil ho.
"Main Us Kitaab Ki Maanind Hoon Jise Ab Tak
Kisi Ne Khol Ke Achchi Tarah Padha Hi Nahin."
Quote:
Originally Posted by KunaaL View Post
samajh aaya mujeeb bhai... isi liye kam kehna accha hota hai....

prashaant jee .. maiN aapse teh dil se muafi maangta huN ... aap kahin na jayeN .. aur main mujeeb aur apni dono ki jaanib se aapse muafi ki darkhuast karta huN .. hum abhi itne aqlamand nahi hue hia... aap jaise sukhanwar ki humesha zaroorat hai humeN .. aap beeti baateN darkinaar karte hue... apni rawaangi jaari rakheN .. ye sab to hissa hai shayri ka takraar aur pyaar

Aap humeN muaf zaroor karenge ilteza bhi hai aur umeed bhi

Kunaal

PRASHANT JEE..... i agree with kunaal ji.....pyaar aur takraar tou shayri parivaar ka hissa hai....aap plzz aysi choti choti baaton ko dil se na lagaayiye....aur yahaan pehle ki tarah hi aate rahiyega....

Zainy

PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#19)
prashant vasl
Registered User
prashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to beholdprashant vasl is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 333
Join Date: May 2008
Location: mumbai(maharashtra)
Rep Power: 22
28th December 2009, 10:11 AM

Kunaal..Zainy..Mujeeb..Jaanumanu..and all SDC members.
mehrbaani kar ke is baat ko yahin khatm karen.main hoon..aap ke pyar aur takraar ke beech..hamesha..shayad 'main hi kahin galat tha'..umra aur tajurba zaroori nahin ki hamesha aap ko 'sahi soch' hi den.to err is human.
taaza hava ke aaane jaane ke liye makaan ki khidkiyan khuli rakkhen to beemaariyan kam aati hain..

Last edited by prashant vasl; 28th December 2009 at 10:15 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
28th December 2009, 10:12 AM

Main tujhe baahon mein le loon,
ye tamanna bhi nahin
Main teri zulf se kheloon,
ye tamanna bhi nahin
Meri hasrat hai ki,main bas tera deedaar karoon
Tujh ko maloom na ho,aise tujhe pyar karoon.

Prashant Vasl Sahib !

Aap ki poem "very good" bhi hai aur "very touching" bhi....

Mujhe aap ka likha boht hi ziyaada pasand aaya,,

khaas kar oper quote ki lines......

Aur aap SDC choorne ki baat kar rahe haiN,
to aisa mat kariye ga....plz...plz..plz...

Aap hi to yahan ka sarmaya ho,
agar aap aise chale jao ge to yakenan yahan
ke members ko aik qeemti asaasa chuut jane ka boht
gham ho ga....

Aap meri baat samjh gaye hooN ge..

Ok apna khiyaal rakhiye ga,
aur aate rahiye ga,,,,

*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")

Last edited by Hassan; 28th December 2009 at 10:14 AM..
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com