Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 2 votes, 5.00 average. Display Modes
Unka karam hai yaaroN
Old
  (#1)
naadaan
Registered User
naadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud of
 
naadaan's Avatar
 
Offline
Posts: 567
Join Date: Jul 2009
Location: Dubai
Rep Power: 29
Unka karam hai yaaroN - 13th August 2009, 05:58 PM

Bazm-E-Mehfil ko Aadaab,
Aaj kaafi mashq ke baad pesh-e-khidmat hai ek ghazal. Iska beh’r hai 122,1222,2212,122 yaane fa-uu-lun,ma-faa-ii-lun,mus-taf-i-lun,fa-uu-lun. Jaankaar dostoN se guzaarish hai ke apni tabsiraat se zaruur nawaazeiN aur khaamiyoN ko durust karne meiN meri madad kareN.

1---2--2/-1---2--2—2/---2-2---1—2/--1—2---2
Ye jo dil hai tuutaa saa, unka karam hai yaaroN
1---2-----2/-1--2----2-2/--2-2---1—2/--1—2---2
Kafan meiN jahaaN soya, unka haram hai yaaroN

1---2---2/-1----2--2--2/--2---2---1--2/--1----2---2
Ye hasrat hai, unkaa jii bharkar karuuN mai deedaar
1---2----2/-1----2---2/--2—2--1---2/---1----2---2
Be-pardaa kha.daa wo, apnaa bharam hai yaaroN

1---2---2/--1---2---2--2/--2----2--1---2/--1---2----2
Alfaaz tak bayaaN humse naa huuey, wo hai farhaNg
1---2---2/-1---2—2----2/---2--2--1--2/-1---2----2
Zamaane ke riiwaaz haiN yaa fir sitam hai yaarooN

1----2-----2/-1---2—-2--2/-2-2--1---2/1--2--2
Pa.dhaa thaa kahiiN faaeli hotii hai, soch dil kii
1----2---2/1----2---2---2/2-2---1---2/--1---2----2
Ye “naadaan” maantaa isii ko dharam hai yaaroN

Be-pardaa kha.daa woh, apnaa bharam hai yaaroN

(farhaNg=Dictionary)

Pa.dhaa thaa kahiiN faaeli hotii hai soch dil kii

(Faaeli=Asardaar=Effective)

Love and Peace to all,
Shyam

"Wo kaun hai jinhe tauba ki mil gai fursat,
HumeN gunah bhi karne ko zindagi kam hai."
-Anand Narayan Mulla.

वो कौन है जिन्हें तौबा की मिल गई फुरसत,
हमें गुनाह भी करने को ज़िंदगी कम है.
-आनंद नारायण मुल्ला

Last edited by naadaan; 13th August 2009 at 06:01 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
15th August 2009, 06:35 PM

shyam sahab .aadaab.........
thele ke address par mujhe to walmart nazar aa raha hai
ap bhi kabhi kabhi comedy kar dete hai
post mortem karne ki meri aukat nahin hai.....jo thodi bahut jaankari hasil hui hai apke hawale karta hu...

Quote:
Originally Posted by naadaan View Post
Bazm-E-Mehfil ko Aadaab,
Aaj kaafi mashq ke baad pesh-e-khidmat hai ek ghazal. Iska beh’r hai 122,1222,2212,122 yaane fa-uu-lun,ma-faa-ii-lun,mus-taf-i-lun,fa-uu-lun. Jaankaar dostoN se guzaarish hai ke apni tabsiraat se zaruur nawaazeiN aur khaamiyoN ko durust karne meiN meri madad kareN.

paahle ye declare kar du ki mai khud talib e ilm hu......meri knowledge rudimentary hai....lekin mai apke juzbaat samjta hu.....seekte seekhte kabhi break lag jata hai....us waqt ki tapish mai samajta hu
mera kaha galat bhi ho sakta hai...bus mai walmart me 1 int rakh raha hu...tedi ho to use phenk dijiyega

1---2--2/-1---2--2—2/---2-2---1—2/--1—2---2
Ye jo dil hai tuutaa saa, unka karam hai yaaroN
1---2-----2/-1--2----2-2/--2-2---1—2/--1—2---2
Kafan meiN jahaaN soya, unka haram hai yaaroN

apka matla wazn me lag raha hai.......soya par thoda doubt hai magar mujhe confirm nahin....apne 'hai' ka wazn 1 liya hai...jo possible to hai par usual nahin.....mujhe personally 'hai' 1 ke wazn me ada karna muskil lagta hai..

1---2---2/-1----2--2--2/--2---2---1--2/--1----2---2
Ye hasrat hai, unkaa jii bharkar karuuN mai deedaar

yaha 'deedaar' ki taktee hogi dee2 daa2 r1....magar phir bhi apka beher toota nahi hai......misra phir bhi wazn me hai.....
1---2----2/-1----2---2/--2—2--1---2/---1----2---2
Be-pardaa kha.daa wo, apnaa bharam hai yaaroN

yaha ek takta kum ho gaya hai....ye misra wazn me nahin hai...
agar ap 'hai'( suggested) add kar den...jaise ki....
"Be-pardaa kha.daa HAI wo, apnaa bharam hai yaaroN"....to shayad wazn me aa jaye........

1---2---2/--1---2---2--2/--2----2--1---2/--1---2----2
Alfaaz tak bayaaN humse naa huuey, wo hai farhaNg
1---2---2/-1---2—2----2/---2--2--1--2/-1---2----2
Zamaane ke riiwaaz haiN yaa fir sitam hai yaarooN

dono misre bebehere hai....takt jyada hai dono me.....taktee ki mistakes lag rahi hai mujhe jaise......al2 faa2 z1( apne al1 faaz2 liya hai)
1----2-----2/-1---2—-2--2/-2-2--1---2/1--2--2
Pa.dhaa thaa kahiiN faaeli hotii hai, soch dil kii
1----2---2/1----2---2---2/2-2---1---2/--1---2----2
Ye “naadaan” maantaa isii ko dharam hai yaaroN

dono misre me takta jyada hai........isliye wazn me nahin hai.....
apke takkalus ki taktee ap shayad na2daan2 kar rahe hai.....jabki vo na1/2 daa2 n1 hoga shayad....aur agar nadaa.N hai to phir naa2 daa2.......

ap kisi real ustaad se meri batein confirm jurur kar lijiyega.........

Ye jo dil hai tuutaa saa, unka karam hai yaaroN
Kafan meiN jahaaN soya, unka haram hai yaaroN

Ye hasrat hai, unkaa jii bharkar karuuN mai deedaar
Be-pardaa kha.daa woh, apnaa bharam hai yaaroN

Alfaaz tak bayaaN humse naa huuey, wo hai farhaNg
Zamaane ke riiwaaz haiN yaa fir sitam hai yaarooN
(farhaNg=Dictionary)

Pa.dhaa thaa kahiiN faaeli hotii hai soch dil kii
Ye “naadaan” maantaa isii ko dharam hai yaaroN
(Faaeli=Asardaar=Effective)

Love and Peace to all,
Shyam
apki ghazal bahut acchi hai...........apka presentation to khair shuru se hi lajawab raha hai.......

ek jururi baat aur..........

mai hajir hu at your service for next 1 month( i guess)...........
uske baad mujhe yakeen hai mai apse salah lene aaunga.........us samay mujhe yaad rakhiyega aur nirash na kijiyega..........
apse salah/muswara lene me mera number sabse first hona chaiye...ye promise mai apse extract kara raha hu.........

regards

Last edited by zidd; 15th August 2009 at 06:48 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
naadaan
Registered User
naadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud of
 
naadaan's Avatar
 
Offline
Posts: 567
Join Date: Jul 2009
Location: Dubai
Rep Power: 29
15th August 2009, 07:36 PM

Manish Bhai, my responses are in red.

paahle ye declare kar du ki mai khud talib e ilm hu......meri knowledge rudimentary hai....lekin mai apke juzbaat samjta hu.....seekte seekhte kabhi break lag jata hai....us waqt ki tapish mai samajta hu
mera kaha galat bhi ho sakta hai...bus mai walmart me 1 int rakh raha hu...tedi ho to use phenk dijiyega

1---2--2/-1---2--2—2/---2-2---1—2/--1—2---2
Ye jo dil hai tuutaa saa, unka karam hai yaaroN
1---2-----2/-1--2----2-2/--2-2---1—2/--1—2---2
Kafan meiN jahaaN soya, unka haram hai yaaroN

apka matla wazn me lag raha hai.......soya par thoda doubt hai magar mujhe confirm nahin....apne 'hai' ka wazn 1 liya hai...jo possible to hai par usual nahin.....mujhe personally 'hai' 1 ke wazn me ada karna muskil lagta hai..
Noted.
1---2---2/-1----2--2--2/--2---2---1--2/--1----2---2
Ye hasrat hai, unkaa jii bharkar karuuN mai deedaar

yaha 'deedaar' ki taktee hogi dee2 daa2 r1....magar phir bhi apka beher toota nahi hai......misra phir bhi wazn me hai.....
Bilkul sahii. Deedaar ke wazan bayaanii meiN ghalati hui hai.
1---2----2/-1----2---2/--2—2--1---2/---1----2---2
Be-pardaa kha.daa wo, apnaa bharam hai yaaroN

yaha ek takta kum ho gaya hai....ye misra wazn me nahin hai...
agar ap 'hai'( suggested) add kar den...jaise ki....
"Be-pardaa kha.daa HAI wo, apnaa bharam hai yaaroN"....to shayad wazn me aa jaye........

Feel like kicking myself. Original mai "be-pardaa kha.Daa tha wo" hai magar copy paste meiN nikal gayaa..Damn!!!!
1---2---2/--1---2---2--2/--2----2--1---2/--1---2----2
Alfaaz tak bayaaN humse naa huuey, wo hai farhaNg
1---2---2/-1---2—2----2/---2--2--1--2/-1---2----2
Zamaane ke riiwaaz haiN yaa fir sitam hai yaarooN

dono misre bebehere hai....takt jyada hai dono me.....taktee ki mistakes lag rahi hai mujhe jaise......al2 faa2 z1( apne al1 faaz2 liya hai)
Yeh bhi sahi hai Manish bhai. Al2faa2z1 durust lagta hai kaanoN ko bhi.
1----2-----2/-1---2—-2--2/-2-2--1---2/1--2--2
Pa.dhaa thaa kahiiN faaeli hotii hai, soch dil kii
1----2---2/1----2---2---2/2-2---1---2/--1---2----2
Ye “naadaan” maantaa isii ko dharam hai yaaroN

dono misre me takta jyada hai........isliye wazn me nahin hai.....
apke takkalus ki taktee ap shayad na2daan2 kar rahe hai.....jabki vo na1/2 daa2 n1 hoga shayad....aur agar nadaa.N hai to phir naa2 daa2.......
Blue highlights ke maayne nahi samjha aur "naadaan" ki taktii 221 hi hai (in Green)
ap kisi real ustaad se meri batein confirm jurur kar lijiyega.........

To aap ka virtual ustaad haiN?

Manish bhai maiN 6'1'' aur 82kgs ka huuN. Chane ke jhaa.D par cha.Dhayenge to kamar tuut jaayegi!! Bhai mere mainey ghazal ki definition July meiN jaani hai aur ye to ek mukammal art hai jise jaan ney mein saaloN guzar jaate haiN, main to abhi paida bhi nahi huaa huun aap logo ki banispat. Mera thela hi meri aukaat ke mutabik hai. Abh to dukaan, super market, department store, Hypermarket, Mega Market aur fir kahin Int'l chain store hai.Bas saath banaaye rakhiyega.

Aakhiir meiN aapka shat shat dhanyavaad waqt nikaal kar taqti karne ke liye.

Thanks a ton and god bless.
Shyam

"Wo kaun hai jinhe tauba ki mil gai fursat,
HumeN gunah bhi karne ko zindagi kam hai."
-Anand Narayan Mulla.

वो कौन है जिन्हें तौबा की मिल गई फुरसत,
हमें गुनाह भी करने को ज़िंदगी कम है.
-आनंद नारायण मुल्ला
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
15th August 2009, 08:04 PM

Quote:
Originally Posted by naadaan View Post
Ye jo dil hai tuutaa saa, unka karam hai yaaroN
Kafan meiN jahaaN soya, unka haram hai yaaroN

Ye hasrat hai, unkaa jii bharkar karuuN mai deedaar
Be-pardaa kha.daa woh, apnaa bharam hai yaaroN

Alfaaz tak bayaaN humse naa huuey, wo hai farhaNg
Zamaane ke riiwaaz haiN yaa fir sitam hai yaarooN
(farhaNg=Dictionary)

Pa.dhaa thaa kahiiN faaeli hotii hai soch dil kii
Ye “naadaan” maantaa isii ko dharam hai yaaroN
(Faaeli=Asardaar=Effective)

Love and Peace to all,
Shyam
shyaam shaab,

aadaab arz hai..

sab se pahle, aap apni is koshish ke liye meri aur se mubaaraq baad qwubool keejiyegaa.. aap behr seekhne me.n kaafi mehnat karrahe hai.n, yeh baat aap ki Ghazal se saaf zaahir hai.. par kaii baar mujhe aisa lagtahai kii behr Theek karne ke liye khayaal ulajh jaate hai.n, jo kii nahii.n hona chaahiye.. sab se pahle aap khayaal ko ek dum saaf aur sujha huaa rakkhe.n.. aur phir usay behr ke sturcture me.n set karne kii koshish kare.n.. chaliye, mai.n aap ki Ghaazal par apni 2 kauDi ki raa'ey de raha huu.n.. jo achchi lagii usay aap apna sakte hai.n aur jo achchhi na lage, usay khaariz kar deejiyegaa...

1---2--2/-1---2--2—2/---2-2---1—2/--1—2---2

Ye jo dil hai tuutaa saa, unka karam hai yaaroN
Kafan meiN jahaaN soya, unka haram hai yaaroN

khayaal mujhe kamzor laga.. aur kafan me.n sona, mujhe sahii nahii.n lag rahaa hai.. aadmii ka kabr me.n sona sahii hai, kafan oDhna sahii hai, kafan oDh kar sonaa bhii sahii hai, par kafan par sona sahii nahii.n lag raha hai mujhe.. aap bhii ek baar tasalli kar leejiyegaa...

aur rahii baat behr kii to dono misre ke behr Theek hai.n...

Ye hasrat hai, unkaa jii bharkar karuuN mai deedaar
Be-pardaa kha.daa hai woh, apnaa bharam hai yaaroN

pahle misra behr par hai, kyun ki aakhiri aarkaan fa-uu-lun ki jagah fauulaan kiya jaa sakta hai .

duusra misra behr par nahii.n hai..

be-pardaa: be-->2

Alfaaz tak bayaaN humse naa huuey, wo hai farhaNg
Zamaane ke riiwaaz haiN yaa fir sitam hai yaarooN

pahal misra buuri tarah se behr se khaariz hai dusra misra bhi khaariz hai... khayaal bhii lujhaa huaa lagaa...

alfaaz:221 , huye: 12
riwaaz hai.n ko riwaaze.n kiyaa jaa sakta hai..

Pa.dhaa thaa kahiiN faaeli hotii hai soch dil kii
Ye “naadaan” maantaa isii ko dharam hai yaaroN

Duusra misra khaariz hai behr se:

maanta: 212

isee ko: 122

shaayam saahab, mai.n samjh sakta huu.n ki meri baate.n aap ko achchhi nahii.n lag rahii hogii, par mera yeh farz ban,ta hai ki, aap ko sahii raa'ey duu.n.. gar, koii baat burii lagii ho to,mazrat chaahunga.. aur yeh raa'ey meri nijii raa'ey hai, aap is se ittefaaq rakkhe.n yeh zaruuri nahii.n hai...

koshish zaari rakhiye.. ooparwaala aap ko kaamyaabi de..

zor-e-qalam ho aur zydaah

-mayank

  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#5)
naadaan
Registered User
naadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud of
 
naadaan's Avatar
 
Offline
Posts: 567
Join Date: Jul 2009
Location: Dubai
Rep Power: 29
15th August 2009, 08:27 PM

Quote:
Originally Posted by Mayank View Post
shyaam shaab,

aadaab arz hai..

sab se pahle, aap apni is koshish ke liye meri aur se mubaaraq baad qwubool keejiyegaa.. aap behr seekhne me.n kaafi mehnat karrahe hai.n, yeh baat aap ki Ghazal se saaf zaahir hai.. par kaii baar mujhe aisa lagtahai kii behr Theek karne ke liye khayaal ulajh jaate hai.n, jo kii nahii.n hona chaahiye.. sab se pahle aap khayaal ko ek dum saaf aur sujha huaa rakkhe.n.. aur phir usay behr ke sturcture me.n set karne kii koshish kare.n.. chaliye, mai.n aap ki Ghaazal par apni 2 kauDi ki raa'ey de raha huu.n.. jo achchi lagii usay aap apna sakte hai.n aur jo achchhi na lage, usay khaariz kar deejiyegaa...

1---2--2/-1---2--2—2/---2-2---1—2/--1—2---2

Ye jo dil hai tuutaa saa, unka karam hai yaaroN
Kafan meiN jahaaN soya, unka haram hai yaaroN

khayaal mujhe kamzor laga.. aur kafan me.n sona, mujhe sahii nahii.n lag rahaa hai.. aadmii ka kabr me.n sona sahii hai, kafan oDhna sahii hai, kafan oDh kar sonaa bhii sahii hai, par kafan par sona sahii nahii.n lag raha hai mujhe.. aap bhii ek baar tasalli kar leejiyegaa...

aur rahii baat behr kii to dono misre ke behr Theek hai.n...

Ye hasrat hai, unkaa jii bharkar karuuN mai deedaar
Be-pardaa kha.daa hai woh, apnaa bharam hai yaaroN

pahle misra behr par hai, kyun ki aakhiri aarkaan fa-uu-lun ki jagah fauulaan kiya jaa sakta hai .

duusra misra behr par nahii.n hai..

be-pardaa: be-->2

Alfaaz tak bayaaN humse naa huuey, wo hai farhaNg
Zamaane ke riiwaaz haiN yaa fir sitam hai yaarooN

pahal misra buuri tarah se behr se khaariz hai dusra misra bhi khaariz hai... khayaal bhii lujhaa huaa lagaa...

alfaaz:221 , huye: 12
riwaaz hai.n ko riwaaze.n kiyaa jaa sakta hai..

Pa.dhaa thaa kahiiN faaeli hotii hai soch dil kii
Ye “naadaan” maantaa isii ko dharam hai yaaroN

Duusra misra khaariz hai behr se:

maanta: 212

isee ko: 122

shaayam saahab, mai.n samjh sakta huu.n ki meri baate.n aap ko achchhi nahii.n lag rahii hogii, par mera yeh farz ban,ta hai ki, aap ko sahii raa'ey duu.n.. gar, koii baat burii lagii ho to,mazrat chaahunga.. aur yeh raa'ey meri nijii raa'ey hai, aap is se ittefaaq rakkhe.n yeh zaruuri nahii.n hai...

koshish zaari rakhiye.. ooparwaala aap ko kaamyaabi de..

zor-e-qalam ho aur zydaah

-mayank

Mayank sahab Aadab,

Aaj kal North America or Europe meiN latest psychological fad hai "Affirmative action" bachhoN ko ba.Daa karne aur unki taaliim ke mutalliq, jiske tehat bachhoN ko mara, piita aur daaNta nahi jaata sirf behlaaya, fuslaaya jaata hai. To sahab, ye nayaa adab goroN ko hi mubaarak. Hum to apne shagirdoN ku khari khoti sunaate bhi haiN, mauke bemauke kaan niiche baja bhi dete haiN aur shaayad isi liye duniya ki kisi bhi kone meiN Indian subcontinent ke intelligence aur capability ki koi saani nahi hai.
To bhaijaan aap bejhijhak humeN lata.D sakte haiN aur mai isey apni khushnaseebi samjhuNga agar aap jaisey sukhanwar is naachiiz ki koshish ko tabsiraat ke qaabil samjhte haiN aur apna qimati waqt aur ilm mujh par kharch karte haiN.
Aapke saare points maine note kiye haiN aur jald hi unhe amal meiN laakar fir tabsiraat ke liye haazir houNgaa.
Aap ka tah-e-dil se fir se shukriya waqt nikalne ke liye.

Have a great evening,
Shyam

"Wo kaun hai jinhe tauba ki mil gai fursat,
HumeN gunah bhi karne ko zindagi kam hai."
-Anand Narayan Mulla.

वो कौन है जिन्हें तौबा की मिल गई फुरसत,
हमें गुनाह भी करने को ज़िंदगी कम है.
-आनंद नारायण मुल्ला
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
17th August 2009, 12:44 PM

shyam sahab adaab......

chalo accha hua mayank sahab ne shikat kiya.............
jo maine hickichate kaha tha...vo confirm ho gaya ,,,isse mera bhi confidence bad gaya

apke matle pe unhone jo aitraaz vaisa khayal mujhe bhi aaya tha.........magar socha kahi embarrasment na ho jaye isliye nahin bataya apko..........
waise mere mann me ek surat aayi thi matle ki
do kaudi ki to nahi hai...aadhi kaudi ka samaj lijiye....

ye dil jo tutaa hai unka hi karam hai yaron
ye meri kabr nahin unka haram hai yaron

wazn bhi sahi hai......waise ye jo khayal laye hai aap bahut dur ki kaudi haibadhai apko....is soch ke liye

regards
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
sajid_ghayel
Registered User
sajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant future
 
sajid_ghayel's Avatar
 
Offline
Posts: 1,849
Join Date: Feb 2009
Location: Mumbai
Rep Power: 32
29th December 2010, 10:41 AM

Bohat khoobsurat rahi Nadaan saheb aapki yeh peshkash........har sher lajawab raha.

Jhoot kehdu yeh meri fitrat me nahi shamil

Par tujhe bevafa bhi kehna achcha nahi lagta...

Mob.: +971 501297654
  Send a message via Yahoo to sajid_ghayel  
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com