Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > Inspiring Stories

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
An Inspiring article by Amim Jafri sahab
Old
  (#1)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Thumbs up An Inspiring article by Amim Jafri sahab - 1st June 2014, 01:48 AM

Duniya ke samundar men is waqt do jahaaz maujood haiN... Ek jahaaz men nafrat karne waale tamaam mazhabi aur siyaasi Captains aur unko samarthan dene waale beshumaar andhe bhakt sawaar haiN... Doosre jahaaz men Mohabbat karne waale Captains aur unko mazbooti se pakde hue chand log........... Dono hi jahaaz is waqt puri raftaar ke saath aage badhh rahe hain.... Farq itna hai ki Nafrat ke jahaaz men bheed bahut hi ziyaada hai aur iska balance bigadta hi ja raha hai jabki Mohabbat ke jahaaz men bheed ki betahaashaa kami hai aur ye puri tarah se balanced hai jismen sawaar saare log sukoon se safar ka mazaa le rahe hain aur manzar dekh rahe hain pahle jahaaz ka jiska doobna tai hai............ RahnumaaoN ke doob jaane ka mujhe bilkul afsos nahin hoga magar wo log jo anjaan the.. andhere men the... aankh band kar ke jahaaz pe sawaar hote gaye hote gaye unke doob jaane ka mujhe hameshaa afsos hota rahega.....

Na kabhi nafrat mohabbat ko shikast de saki hai aur na hi kabhi ujaalaa andheroN se haaraa hai.......... NafratoN ke captains se cheekh ke kahiye ki jahaaz fauran rokeN... us jahaaz se utar kar mohabbat ke jahaaz par sawaar ho jaaiye jo baraabar se hi aapke sath is waqt chal raha hai aur us par sawaar log aapko haatho haath lene ko taiyaar haiN...... Utar aaiye isse pahle ki samundari toofaan us jahaaz ke tukde tukde kar daale....... Har kaali raat ki ek subah hoti hai aur us mohabbat ki subah ne dastak de di hai...... Aap aaj jo bo rahe hain iski fasl aapko nahin balki aapki generation ko kaatni hai.. yaqeen na ho to ghaur kar leejiye un logoN par jinhone nafrat ki fasl boyi thi aur unki generations ke saath kya hua aur kya ho raha hai......... Waqt kisi ka nahin hota... na hindu ka na musalmaan ka na sikh ka na eesaai ka...... iske qahr se koi na bach saka hai na bachega.... Aise ped laga ke jaaiye ki aapki generation jab uski chhaaoN men baithe to use naaz ho ki wo ek aise maali ke phool haiN jise baaghbaani ka hunar maaloom tha....

HINDU... MUSLIM... SIKH... EESAAI NA BANIYE... INSAAN BANIYE INSAAN...



BY AMIM JAFRI SAHAB




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 1st June 2014 at 01:51 AM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#2)
zidd
Registered User
zidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.comzidd is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zidd's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Mar 2009
Rep Power: 47
1st June 2014, 03:15 PM

hats off for the article zainyji
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
1st June 2014, 04:03 PM

I liked it too...truly inspiring one...




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com