meri aankhon main..... -
9th June 2004, 10:50 PM
meri aankhon main ek khwab basa hai,
chaho to such kardo,
chaho to bhool jao...
k tumse milne ki tamanna thi humko
par ab judai ka taqaza hai
majboorian badh gayi hain
raaste bhi tang paane lage hain
mohobat ki yeh kahani hai muskil
ghor say suno to bayan kar dain
ek dost ki dosti maangi thi humne
pyaar ki kahani ka afsana bana
logon say door dunya basane lage hum
apne jaan ka usko rakwala kaha
maasoom se is dil kay aangan main
ek ajnabi ka thikana bana
pukar sakte ho to ek bar pukar layna
dooriyan badha kar yoon chod kar bhula naa dena
haathon ki mutthi main band kar kay
apni zindagi ka saathi, humsafar bana layna.
bichad k tujhse naa milna toh ek bahana tha,
mujhe to sirf tera waada aazmana tha.
|