 |
|
|
|
|
 |
|
|
Registered User
Offline
Posts: 196
Join Date: Apr 2002
Location: junagadh
Rep Power: 23
|
" .....aa gai baarish." -
19th June 2003, 09:47 PM
mere pyaare dosto...saavan ka mausam aa pahocha he...ye baarish bhi ajeeb si muskil me daal deti he dil ko.....apani khusbu se dil ko maheka bhi deti he..aur kisi ki yaad me aankhoN ko bhigo bhi deti he......janaab yuN bhi kaha jaa shakta he ki baarish to baahar hoti he par bijaliya hamaare andar girati he....hamane yahi par khushi ko bhi zaahir kiya he..aur apane dard ko bhi bayaaN karane ki ek koshish ki he.
" room-zoom karati, khushiyaN barasaane....aa gai baarish,
apani boondo se saara aalam mahekaane....aa gai baarish.
nadiya, parabat, gulashan, ye peD-paude sab kyu na zoome?
unke tan ke par naye shingaar sajaane....aa gai baarish.
sharaab ko haraam samajakar jo maikhaane nahi aate,
saaki, un paak bando ki pyaas buzaane....aa gai baarish.
khuda se naaraz ho kar hamane kab ka rishta tod diya he,
to unka hukum maanakar hame manaane....aa gai baarish.
jisane kisi ke baalo ki khushbu ko apani saaNso me samaaya he,
lo dekho,aaj use miTTi ki khushbu se lubhaane....aa gai baarish.
naadaN he wo, registaan me paani barasaane se kya hoga?
barasoN se dil ki banajar jamiN ko bhigone....aa gai baarish.
"shyam" dil me jo pyaar ke baadal barasoN se samhaal ke rakhe he,
wo kabhi na kabhi to barasange, ye umeed ko jagaane....aa gai he baarish."
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,408
Join Date: Sep 2001
Location: New York
Rep Power: 28
|
aww -
20th June 2003, 04:11 AM
aww shyam ji badi hi khobsurati se baarish ka rutba likha hai aapne..dil le gaya...............baarish ka ana aur aapka ye likhna
Priya
Akhihaan milaake chan'na paavi na Judayi Vey .......
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jisnu Lagey, ohi'yo jaane, Kaun Jaane peer parayi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 196
Join Date: Apr 2002
Location: junagadh
Rep Power: 23
|
thanks -
20th June 2003, 01:36 PM
hi priya.
priya thanks again..ki aapane hamaare kalaam ko apani taarifo se navaza..dil se shukriya.
apana khayal rakhiyega.
|
|
|
|
|
.. ek andaaz
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
|
20th June 2003, 02:21 PM
Bahut achhe Shyaam bhai ..
Aisa mahsoos hota hai ki abhi se Barish ka rang humare dosto pe jamne laga hai .. pahle Sanam ji aur fir Aap .. bahut achha lag raha hai ..
Aapne jis khoobsorati se barish ko bayan kiya hai vo vakeyi dekhne wala hai ..
Aapne such kaha .. Ye barish jab bhi aati hai apne sath biti yadooN me fir se le jati hai .. Apne dard ko bakhoobi aapne khol ke rakh diya hai .. koi shaQ nahi issme ..
Meri taraf se tareef kabool farmaiye ..
Likhte rahiye ..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 415
Join Date: Feb 2003
Location: bombay
Rep Power: 23
|
exellent -
20th June 2003, 02:39 PM
aapne shayri se bhigaya hai sabhi padhne walo ko bahot khub.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 492
Join Date: Feb 2003
Location: Kabaristaan...
Rep Power: 23
|
20th June 2003, 04:55 PM
namaste.. shaymji...
kem cho bhai tame... wah yar..bahut khoob likha hai apne.. padh kar.. acha laga.. yar..barish too aaa gai .. apne.. samay ke sath...wah..yar.. bahut khoob.. likha hai apne.. jitni bhi tareef karun utni kaam hai sirkar... wah.. these lines were gr8-- >
sharaab ko haraam samajakar jo maikhaane nahi aate,
saaki, un paak bando ki pyaas buzaane....aa gai baarish.
khuda se naaraz ho kar hamane kab ka rishta tod diya he,
to unka hukum maanakar hame manaane....aa gai baarish.
naadaN he wo, registaan me paani barasaane se kya hoga?
barasoN se dil ki banajar jamiN ko bhigone....aa gai baarish
wah yar..bahut khoob.. aise hi likhte rahiye aur mehfill ko roshaan karte rahiye..
bye n .. take car e,,
Lamha Lamha...saSein Khatam hoo rai hai...
Zindagi Maut ke pehlu mein soo rai hai...
Us bewafa se na pucho meri maut ki wajah...
Woh to bus zamane ko dikhane ke liye roo rai hai...
|
|
|
|
|
Kadeer ki...
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
|
21st June 2003, 12:47 PM
Wah Shyam!! Kamaal likha hai tumne.. behad pasand aayi ye ghazal!.. pehle to ye Baarish ke baare me hai...  .. uspar itni achhi tasveer banaayi hai aapne... man khush ho gaya!!.. Isme dard ki jhalak zaroor hai, magar naa jaane kyon, baarish ke baare me soch kar hi har dard halka sa lagta hai.. khair..
Bohat achha likha likha hai tumne!.. aise hi likhte rehna aur khush rehna! 
Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 25
|
22nd June 2003, 11:13 AM
wah shyam bhai,
ik to baarish ka aana aur uska man mein ummedein jagana..wah aapka yeh sundard varnan bahut pasand aaya
sharaab ko haraam samajakar jo maikhaane nahi aate,
saaki, un paak bando ki pyaas buzaane....aa gai baarish
wah kya baat kahi hai aapne..kabhi aapne in boondo ko shringaar ka roop diya hai ,kahin ummedon ki kiran bataya hai aur yahan meh ka roop diya hai..bhai wah kamaal kiya hai aapne
kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
|
|
|
|
|
madhoSH shaKHs
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 24
|
23rd June 2003, 01:27 AM
Shyam bhai,
I must say, this honestly is one of your masterpieces!
bahot hii khoob andaaz-o-khayaal meiN aapne yeh kalaam likhaa hai dost, aur daave se kehe saktaa huuN kii yeh ghazal laakhoN meiN se ek hai!
"khuda se naaraz ho kar hamane kab ka rishta tod diya he,
to unka hukum maanakar hame manaane....aa gai baarish."
«-- waah; kyaa soch hai aapkii..!
is ghazal kaa har sher mere dil meiN bhaarish ban kar gir rahaa hai; ek baar phir se kehtaa huuN kii aapkii ghazal behad pasand aayii!
mubaaraq-baad aur daad qabuul farmaaiiye..
aman
"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"
kya karooN? aisa hi hooN maiN..
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 196
Join Date: Apr 2002
Location: junagadh
Rep Power: 23
|
thanks. -
23rd June 2003, 03:57 PM
kshitz bhai.
thanks bhai...aapane aapae anamol labzo ko hamaari taareef me navaaze....kshitiz bhai ye sahi baat he...ki baarish barasati he tab aankhe bhi barasati hi he..par kya kare....hame to jina he....anyway bhai..aap ka bahot bahot shukriya hamaari is rachana ki taarif ke liye.
mita ji
mita ji....thank you very much for taareef...par mitaaji aapake dard ko jab gazal ya kisi bhi rachana ke roop me dekhata hu..to lagata he ki hamaara dard bahot hi kam he.......khuda aapake dard ko kam kare..aisa pray phir se ek baar karata hu...aur ha thanks again.
manish bhai.
kem chhe dost?? bhai tame kya khovaai jaav chho? ghana lamba samay pachhi tamaara darshan thaya chhe...yaar mahefil ma aavata jata raho to aa dil ne saaru laage...anyway dost...thanks aapaki taarif ke liye...manish bhai tya kevok chhe varasaad?? umeed karu chhu ke badhu barobar j hoy.
aabhaar saathe.
Afshan.
kya kahu me? shukriya ada karata hu to aap daantati he...ab aap hi bataaiye ki aapaki taareef kin labzo ke saath me kabool karu?? phil haal to aap bhale hi daantiye...me thanks to kahunga hi....thanks afshan...aap hamesha hamaara kalaam padhati he aur unaki taarif karati he..thanks for it.
virendar ji
saahab........aapaki taarif ne to hame bahot hi uncha darajja de diya, unake laayak nahi he ham.....par aapaki nazaro ki inaayat he ki aapane hamaare is kalaam ko itani khoobi yo ke saath padha....aur unka reply kiya..........tahe dil se shukriya dost....!!
Aman bhai
Aman bhai....aapaka badappan he ki aapane hame itani taarifo ke saath navaaza...aur saath saath hamaari khush kismati bhi he..ki aap jaise sab shayari.com ke diggajo ki nazare is gazal par padhi........aap sab ki nazare un par padati he to taareef to apane aap hame mil jaati he...aapaki nazar pade wo taareef kya kam he????? thnaks aman bhai.
chalata hu dosto.....apana khayaaaal rakhiyega.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 36
|
waah -
24th June 2003, 08:26 AM
shyaamji,
warshad padae ne hu na bhinjaau ...
ae to na j banae ne...
bahu j sras rachna............
khuda se naaraz ho kar hamane kab ka rishta tod diya he,
to unka hukum maanakar hame manaane....aa gai baarish.
waah saras...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 196
Join Date: Apr 2002
Location: junagadh
Rep Power: 23
|
26th July 2010, 04:22 PM
pyaare dosto..
baarish aa gai...to kai saari puraani yaade taaza ho gai...to un puraani yaado me se ek gazal aapake saame rakhane ko ji chaaha..shukriya dosto.
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 608
Join Date: May 2009
Location: Surat (Gujarat)
Rep Power: 36
|
26th July 2010, 04:41 PM
Bohaat Khoob Shyaam.. Kyaa Khoob Nikhara Hai .. Barish Shabdo se... Sahi Main Aa Gayi ... Barish...
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 64
|
26th July 2010, 05:21 PM
Quote:
Originally Posted by shyam
mere pyaare dosto...saavan ka mausam aa pahocha he...ye baarish bhi ajeeb si muskil me daal deti he dil ko.....apani khusbu se dil ko maheka bhi deti he..aur kisi ki yaad me aankhoN ko bhigo bhi deti he......janaab yuN bhi kaha jaa shakta he ki baarish to baahar hoti he par bijaliya hamaare andar girati he....hamane yahi par khushi ko bhi zaahir kiya he..aur apane dard ko bhi bayaaN karane ki ek koshish ki he.
" room-zoom karati, khushiyaN barasaane....aa gai baarish,
apani boondo se saara aalam mahekaane....aa gai baarish.
nadiya, parabat, gulashan, ye peD-paude sab kyu na zoome?
unke tan ke par naye shingaar sajaane....aa gai baarish.
sharaab ko haraam samajakar jo maikhaane nahi aate,
saaki, un paak bando ki pyaas buzaane....aa gai baarish.
khuda se naaraz ho kar hamane kab ka rishta tod diya he,
to unka hukum maanakar hame manaane....aa gai baarish.
jisane kisi ke baalo ki khushbu ko apani saaNso me samaaya he,
lo dekho,aaj use miTTi ki khushbu se lubhaane....aa gai baarish.
naadaN he wo, registaan me paani barasaane se kya hoga?
barasoN se dil ki banajar jamiN ko bhigone....aa gai baarish.
"shyam" dil me jo pyaar ke baadal barasoN se samhaal ke rakhe he,
wo kabhi na kabhi to barasange, ye umeed ko jagaane....aa gai he baarish."
|
shayam jii, aapka wapis sdc par suwagat hai 
barish ke mausam meiN aapki likhi hue yeh bheegi bheegi poetry padna bahut accha laga, ahsaas bahut khoob haiN.
god bless u
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
Anshumali
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
|
26th July 2010, 05:33 PM
Quote:
Originally Posted by shyam
" room-zoom karati, khushiyaN barasaane....aa gai baarish,
apani boondo se saara aalam mahekaane....aa gai baarish.
nadiya, parabat, gulashan, ye peD-paude sab kyu na zoome?
unke tan ke par naye shingaar sajaane....aa gai baarish.
sharaab ko haraam samajakar jo maikhaane nahi aate,
saaki, un paak bando ki pyaas buzaane....aa gai baarish.
khuda se naaraz ho kar hamane kab ka rishta tod diya he,
to unka hukum maanakar hame manaane....aa gai baarish.
jisane kisi ke baalo ki khushbu ko apani saaNso me samaaya he,
lo dekho,aaj use miTTi ki khushbu se lubhaane....aa gai baarish.
naadaN he wo, registaan me paani barasaane se kya hoga?
barasoN se dil ki banajar jamiN ko bhigone....aa gai baarish.
"shyam" dil me jo pyaar ke baadal barasoN se samhaal ke rakhe he,
wo kabhi na kabhi to barasange, ye umeed ko jagaane....aa gai he baarish."
|
Very Nice Poetry......Shyam Ji ! baarish ke mausam me....beeghe yeh ehsaas padhke accha laga......bahut arse baad .....aaj aapko phir se padhna bhi accha laga.....aise hi aate rahen....apne behtar qalaam se bazm ko sajate rahen... khush rahen...
apna khayal rakhen...
duaaon ke saath....
YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...
Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...
---Naresh Mehra----
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 196
Join Date: Apr 2002
Location: junagadh
Rep Power: 23
|
Thanks -
30th July 2010, 08:43 PM
Sunita ji..
kalaam pasand karake hoshala badhaane ka bahot bahot shukriya...sdc par continue karane ko to bahot ji chaahata he..par kya kare...kher...thanks once again.
Naresh ji
shukriya dost...
aapako kalaam pasand aaya..aur aapane hoshala badhaaya...isake liye bahot bahot shukriya..
thanks.
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Linear Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
 |