Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 7 votes, 5.00 average. Display Modes
A Tribute To Parveen Shakir................
Old
  (#1)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Thumbs up A Tribute To Parveen Shakir................ - 16th March 2010, 10:28 AM

Aks-e-khushboo hooN bikharne se na roke koi
or bikhar jaaoN to phir mujhko na samaitay koi

kaanp uthti hooN maiN yeh soch ke tanhai meiN
mere chehre pe tera naam na padh le koi

jis tarha khwab mere hogaye raiza raiza
is tarha se na kabhi toot ke bikhre koi

maiN toU us din se hirasaan ke jab hukm mile
khushk phooloN ko kitaaboN meiN na rakhe koi

Ab to is raah se woh shaks guzarta bhi nahi
ab kis umeed pe darwaaze se jhanke koi

koi aahat, koi awaz, koi chaap nahi
dil ki galiyaN badi sunsaan haiN, aaye koi


--PARVEEN SHAKIR




Parveen Shakir was born on 24th November, 1952 in Karachi, Pakistan. She was highly educated with two masters degrees, one in English literature and one in linguistics. She also held a Ph.D and another masters degree in Bank Administration.

She was a teacher for nine years before she joined the Civil Service and worked in the Customs department. In 1986 she was appointed the second secretary, CBR in Islamabad.


Parveen Shakir initially wrote under the pen-name of 'Beena'. She considered Ahmed Nadeem Qasmi her 'ustad' and used to called him 'Ammujaan'. She was married to Dr. Nasir Ahmed but got divorced from him sometime before her untimely demise in 1994. They had one son - Murad Ali.


A number of books of her poetry have been published. In chronological order, they are Khushboo (1976), Sad-barg (1980), Khud-kalaami (1990), Inkaar (1990) and Maah-e-Tamaam (1994). Her first book, Khushboo, won the Adamjee award. Later she was awarded the Pride of Performance award, which is the highest award given by the Pakistan government.




On 26th December, 1994, on her way to work, her car collided with a truck and the world of modern Urdu poetry lost one of its brightest stars.







PLS CONTINUE THIS THREAD WITH THE CREATIONS OF PERVEEN SHAKIR.........




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 15th June 2010 at 04:03 PM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
rukne kaa samay guzar gayaa hai
Old
  (#2)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
rukne kaa samay guzar gayaa hai - 16th March 2010, 07:11 PM

rukne kaa samay guzar gayaa hai
jaanaa teraa ab Thahar gayaa hai

ruKhsat kii ghaDii khaDii hai sar par
dil ko_ii do-niim kar gayaa hai

maatam kii fazaa hai shahar-e-dil men
mujh men ko_ii shaKhs mar gayaa hai

bujhne ko hai phir se chashm-e-nargis
phir Khvaab-e-sabaa bikhar gayaa hai

bas ik nigaah kii thii us ne
saaraa chehraa nikhar gayaa hai


Parveen Shakir






YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#3)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
16th March 2010, 11:51 PM

Dilke bauhat qareeb eik nazm.......



~*Shart*~

tera kehna hai...
"mujh ko Khaliq-e-kon-o-makaan ne
kitni dheron naimatein dee hain
meri aankhon mein gehri shaam ka daaman kushaan jadoo
meri baaton mein ujle mausamon ki gul fishaan khushboo
mere lehje ki garmi mauja-e-gul ne tarashi hai
mere alfaz per qaus-e-qazah ki rang paashi hai
mere honton mein daisy ke gulabi phool ki rangat
mere rukhsaar per gulnaar shaamon ki jawan hiddat
mere haathon mein pankharion ki shabnam lams narmi hai
mere baalon mein barsaaton ki raatein apna rasta bhool jaati hain
mein jab dheeme surron mein geet gaati hoon
tu sahil ki hawaein
adh khule honton mein, piyase geet leker
saaya-e-gul mein samat kar baith jati hain
mera fun soch ko tasveer deta hai
mein hurfon ko naya chehra
tu chehron ko huroof nau ka rishta nazar karti hoon
zaban takhleeq karti hoon "
tera kehna mujhe tasleem hai
mein maanti hoon
us ne meri zaat ko behad nawaza hai
Khuda-e-barg-o-gul ke saamne
mein bhi dua mein hoon, sarapa-e-shukar hoon
us ne mujhe itna bohot kuch dedia...

lekin

tujhe de de tu mein jaanoon!

___________________________________

Dilke bauhat hee qareeb parveen shakir ka ye kalam....apki sama'atoun ke liye haazir kar rahee hei maham....

http://www.esnips.com/doc/936e5613-0cd6-4956-8ff0-fa659647fb05/Perveen-Shakir--Chalnay-Ka-Hausla-Nahin

__________________________________________________ ______________


shab ke kisi pehar ka eik 'sach'
parveen shaakir ki zubaan mein.........


EITRAAF

Jaane kab tak teri tasveer nigaahon mein rahee
Ho gayee raat tere aks ko takte takte
mein ne phir tasavur ke kisi lamhe mein
teri tasveer pe lab rakh diye aahista se

__________________________________________________ _______________


ye dil soye hoay jazbon ka hei aisa mehal jis mein
kisii jazbe ka ab mumkin nahi bedaar ho jana
_____________________________________
eik lamha e visaal tha vaapis na aaska
vo waqt ki micaal tha vaapis na aasaka

mujh ko mere vajud se jo kar gaya judaa
kaisa vo baakamal tha vaapis na asaka
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
MahamAzmi
Registered User
MahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to beholdMahamAzmi is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 514
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 23
16th March 2010, 11:57 PM

chehra mera tha nigaahain theen uski
khamoshi mein bhi vo baatain uski

mere chehre pe ghazal likhtee gayeen
sher kehtee hoee aankhain uski

shokh lamhon ka pata dene lageen
taiz hotee hoee saansain uski

neend is soch se tooti akcar
kiss tarha kat'tee hein raatain uski

aise mausam bhi guzaare humne
subhain jab apni theen shaamain uski

dur reh kar bhi sada rehtee hein
mujhko thaame hoay baanhain uski


ye dil soye hoay jazbon ka hei aisa mehal jis mein
kisii jazbe ka ab mumkin nahi bedaar ho jana
_____________________________________
eik lamha e visaal tha vaapis na aaska
vo waqt ki micaal tha vaapis na aasaka

mujh ko mere vajud se jo kar gaya judaa
kaisa vo baakamal tha vaapis na asaka

Last edited by MahamAzmi; 17th March 2010 at 12:10 AM..
   
Reply With Quote
Ay moj-e-Hawa tu hi bata...
Old
  (#5)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
Ay moj-e-Hawa tu hi bata... - 18th March 2010, 09:01 AM

Ay moj-e-Hawa tu hi bata !!
Wo dost Hamara kesa hai?

Jo bhool chuka hai hamain kab sey !
Wo jo jaan se pyara kesa hai?

Kya us ke jeevan lamhon mein…
Koi Lamha mera baaqi Hai?

Kya us ki jaagti ankhooN mein,,,
meri Yaad abhi bhi baqi hai?

Agr aisa nahi to!!!
Tu hi Batta,,,
Hum yad ussey kyun kartey hain?

Wo Hum se bichar k khush hai agar!
Tu pal pal kyun hum marttay hain?

Ay “moj-e-hawa” tu hi bata,,!!


-Parveen Shakir
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
LAMHA
beautiful moment.........
LAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant future
 
LAMHA's Avatar
 
Offline
Posts: 6,429
Join Date: Jul 2007
Location: u.s.a
Rep Power: 42
Smile 18th March 2010, 06:37 PM

vo to Khushbuu hai havaao.n me.n bikhar jaayegaa


vo to Khushbuu hai havaao.n me.n bikhar jaayegaa
masalaa phuul ka hai phuul kidhar jaayegaa

ham to samajhe the ke ek zaKhm hai bhar jaayegaa
kyaa Khabar thii ke rag-e-jaa.N me.n utar jaayegaa

vo havaao.n kii tarah Khaanaa_bajaa.N phirataa hai
ek jho.nkaa hai jo aayegaa guzar jaayegaa

vo jab aayegaa to phir us kii rafaaqat ke liye
mausam-e-gul mere aa.Ngan me.n Thahar jaayegaa

aaKhirash vo bhii kahii.n ret pe baiThii hogii
teraa ye pyaar bhii dariyaa hai utar jaayegaa

---------------------------------------------------


"LAMHA"

mujhko acchaa nahiiN lagtaa ko’ii hamnaam teraa ,
ko’ii tujhsaa ho to phir naam bhii tujhsaa rakhe....
  Send a message via Yahoo to LAMHA  
Reply With Quote
Old
  (#7)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
24th March 2010, 11:27 AM

THANK YOU ALL FOR SHARING THESE BEAUTIFUL GHAZALS.............

ku-ba-ku phail gai baat shanasai ki
us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki


kaise kah dun k mujhe chor diya hai us ne
baat to sach hai magar baat hai ruswai ki


wo kahiN bhi gaya lauta tou mere pas aya
bas yahi baat hai achi mere harjai ki


tera pahlu tere dil ki tarah abad rahe
tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki


us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha
ruh tak a gai tasir masihai ki



---PARVEEN SHAKIR




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
isii me.n Khush huu.N meraa dukh ko_ii to sahataa hai
Old
  (#8)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
isii me.n Khush huu.N meraa dukh ko_ii to sahataa hai - 15th June 2010, 04:07 PM

isii me.n Khush huu.N meraa dukh ko_ii to sahataa hai


isii me.n Khush huu.N meraa dukh ko_ii to sahataa hai
chalii chaluu.N ki jahaa.N tak ye saath rahataa hai

zamiin-e-dil yuu.N hii shaadaab to nahii.n ai dost
qariib me.n ko_ii dariyaa zaruur bahataa hai

na jaane kaun saa fiqraa kahaa.N raqm ho jaaye
dilo.n kaa haal bhii ab kaun kis se kahataa hai

mere badan ko namii khaa ga_ii ashko.n kii
bharii bahaar me.n jaise makaan Dahataa hai

-Parveen Shakir


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com