Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > General Stories

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 19 votes, 5.00 average. Display Modes
Lie vs Truth
Old
  (#1)
asdfgh
Guest
 
Posts: n/a
Lie vs Truth - 18th June 2009, 01:03 PM

Ye story maine school me padhi thi... Is story ne mujhe prerna di k jhoot bolne wala aakhir me bahut pachtata hai...
Aaj mai ye story yaha post kar raha hu... Aasha hai ki aapko pasand aayegi aur aapne jo keemti waqt is post ko padhne k liye nikala,wo waste nahi hoga...


Ek baar ek gao me ek gadariya ( bhed bakri charaane wala ) rehta tha... Wo gaaowalo ki bhed bakriyo ko charaata tha aur usi se apna guzara chalata tha... Usko jhoot bolne ki bahut aadat thi, usko jhoot bolkar logo ko pareshaan karne me bahut maja aata tha..

Ek din wo bhed charaata charaata gao k paas he k pahaad pe pahucha aur usko ek tarkeeb soojhi.. Usne jor-2 se chillana shuru kar diya ' bhediya aaya,bhediya aaya, koi bachao bhediya aaya'
uski cheekh sunke gao wale daude daude aaye aur dekha k waha koi bhediya wagairah nahi tha aur gadariya unko dekh k hansne laga... Uska jhoot kaam kar gaya aur gao wale budhhu ban gaye...
Gaaowalo ko bahut bura laga aur ve chupchaap waha se laut gaye...

Kuch dino baad gadariye ko fir se shaitani soojhi aur wo fir chillane laga 'bhediya aaya,bhediya aaya'
is baar fir gao wale aaye aur budhhu bankar chale gaye.. Gaao walo ki b majburi thi.. Aakhir gadariya unhi ki bhedo ko charaata tha..
Ab gadariye ko isme bahut maja aane laga...
Usne gaao walo ko kai baar budhhu banaya...

Ek din gadariya bhed chara raha tha, tabhi usko kuch doori pe pedo k peeche kuch sarsarahat sunaai di.. Usne paas jaakar dekha to uske hosh ud gaye... Us se Kuch he doori par ek bahut bada cheeta uski ek bhed ko kha raha tha...
Uske to mano badan me khoon na raha...

Wo bhaga aur chilla chilla k gao walo ko bulane laga k 'cheeta aaya,cheeta aaya'

is baar gaao walo ne usko ignore kar diya.. Aapas me kehne lage 'ye har baar hame budhhu banata hai,is baar b iski koi nayi chaal hai, ham nahi jaayenge'

ab kya tha, gadariye k sach ko gaao walo ne jhoot samajha aur usko bachaane koi nahi aaya, gadariye ki cheekh sun k gaao wale to aaye nahi lekin wo cheeta uske paas jarur aaya aur gadariye ne jab cheete ko apne itne karib dekha to wo darr k maare behosh ho gaya...

Jab uski aankh khuli to wo gaao k beecho beech ek khaat pe leta hua tha aur sab gaao wale usko dekh k jor jor se hans rahe the...

Fir gaao k sarpanch ne usko bataya ki ye sab tumko sahi karne k liye hamaari ek chaal thi...
Hamaare he kuch log nakli cheeta aur nakli bhed bane the.. Tumko darane k liye...

Gadariye ko apne kiye pe bahut sharmindgi mehsus hui aur usne sab gaao walo se maafi maangi aur zindgi me kabhi jhoot na bolne ki kasam khaayi...



Moral :- Agar wo cheeta asli hota to gadariya is duniya me nahi hota...
Isiliye insaan ko jhoot bolkar dusro ko kabhi pareshaan nahi karna chahiye...

Kabhi-2 ham jhoot bolkar logo ko pareshaan karte hain.. Par kya ho, jab hamare sach ko log jhoot maan le . . . . . . . .
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com