Quote:
Originally Posted by NISHA_VIRGO16
Terii yaado.n se ulajh kar dil, kaii baar girta hai....
Girta hai, Sambhalta hai, Sambhal kar phir se chalta hai...
Ye dil ke rasm-o-riwaaz, bade pechiide hai.n janaab....
Jannat ka raasta aksar dozakh se guzarta hai...
Huii muddat ke shor-o-gul se raabta na raha apna...
Ki dil bhi ab seene mei.n khaamosh dhadakta hai...
Is qadar abtar hai aashiyaan ulfat ke khwaabo.n ka...
Sametu.n jab bhi pehlu mei.n, mera aa.nchal sisakta hai....
Laazim tha ke maange duaaein hijr-e-yaar ki har roz...
Waakif the, visaal-e-yaar ki dua koii aur padhta hai...
Masarrat baksh ke Ghafil ko, kiya ghaflat kaatib ne...
Chalo aziiyat kubool kii humne, ki parwaah kaun karta hai??
Terii yaado.n se ulajh kar dil, har baar girta hai....
Girta hai, Sambhalta hai, Sambhal kar phir se chalta hai...
|
Jannat ka raasta aksar dozakh se guzarta hai...
kyaa khoob andaaze bayaan hai, waaahhhhhhhhhhhh
yoon to poori ghazal kamaal hai magar ye quoted sher lajawaab laga...
aati rahiye, likhti rahiye
Shaad............