Alag nahi hai teri sharaab meri sharaab sey... -
22nd September 2014, 04:44 PM
Alag nahi hai teri sharaab meri sharaab sey...
Farak nahi hai yeh azaab uss azaab sey...
Aankhon sey pilakar mujhe barbaad kardiya
Ab jaam ki ijaazat nahi leta main jenaab sey....
Suroor-e-ishq kho gaya kahan hai aaj kal,
Itna hee jaanta hoon mukhaalif hai shabaab sey....
Ab kya karoon' sawaal iss maiqadey sey main
Har saans chal rahi hai iskey jawaab sey....
Pehchaan khudko ab tu peekar meri sharaab
Nafrat si hogi tujhko apne naqaab sey....
Alag nahi hai teri sharaab meri sharaab sey...
Farak nahi hai yeh azaab uss azaab sey...
(SR)©
|