Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Muskura, muskura
Old
  (#1)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Thumbs up Muskura, muskura - 21st October 2002, 05:16 PM

Ahl-e-mehfil ko mera salaam

Choti behar mei aik nayee koshish ke saath haazir huaa hoon. Is se pehle itnii chotii behar meiN mainey kabhii sher nahiN kahe. Jab ye ghazal kahi toh mainey socha ke aap sab ke tassuraat ke liye saamney rakhooN. Ummeed hai aap hazraat apni qeemti rae se nawazenge.
--------------------------------------------------------------------------

GHAZAL

Muskura, muskura
Har lamha muskura

Zindaganii agar
Hai tanha, muskura

Kya hua gar koii
Hai khafa, muskura

ManziloN se hai gar
Faasla, muskura

Lag na jaye nazar
Itna na, muskura

Zakhm ko dard ko
Bhool ja, muskura

Shab ke baad aayegi
Phir sub-ha, muskura

Talkh bhi hai agar
Rasta, muskura

Bhool jaayega gham
Ik dafa, muskura

Raastey haiN kathin
Kya hua, muskura

Barha gham mileiN
Barha muskura

Kal ki sochenge kal
Is lamha, muskura

Zindagi ka banaa
Falsafa, muskura

TalkhiyoN se zara
Dil laga, muskura


---------
Muntazir
Praveen Saxena


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi

Last edited by prasaxena; 22nd October 2002 at 10:06 AM..
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Old
  (#2)
Anamika
Registered User
Anamika is on a distinguished road
 
Anamika's Avatar
 
Offline
Posts: 39
Join Date: Mar 2002
Location: US
Rep Power: 0
22nd October 2002, 11:16 PM

Namaste guruji......kaise hai aap?....aapki is ghazal ka khyaal bahut hi pasand aaya......aur choti behr me hone se padhne me bahut saral hain......

Muskura, muskura
Har lamha muskura
Zindaganii agar
Hai tanha, muskura
Kya hua gar koii
Hai khafa, muskura
ManziloN se hai gar
Faasla, muskura
.... ...

Lag na jaye nazar
Itna na, muskura
...guruji yahan hume samajh me nahi aaya ki aapne apne message me mod kaise ya kyu liya...matlab pehle chaar sheron me to aap keh rahe hai ki chahe kuch bhi ho, muskurao...lekin is sher me keh rahe hain ki itna na muskurao ki nazar lag jaaye...aisa kyu?..

Bhool jaayega gham
Ik dafa, muskura
... bahut khoob!... waqai bahut sahi baat hain...

Kal ki sochenge kal
Is lamha, muskura
...bilkul thik kaha....

TalkhiyoN se zara
Dil laga, muskura
....bahut khoob!...

...hum aapke doosri ghazal par bhi ghaur karenge thodi der me....tab tak ke liye aapko humara salaam


ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN
kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte haiN

woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai
kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte haiN

nazar lage na kaheeN uske dast-o-baazoo ko
ye log kyoN mere zaKHm-e-jigar ko dekhtaiN haiN ?
  Send a message via Yahoo to Anamika  
Reply With Quote
Shukria Anamika
Old
  (#3)
prasaxena
Shayar
prasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to allprasaxena is a name known to all
 
prasaxena's Avatar
 
Offline
Posts: 569
Join Date: Apr 2002
Location: New Delhi, India
Rep Power: 29
Thumbs up Shukria Anamika - 31st October 2002, 04:53 PM

Anamika ji

Aadaab

Bade dinoN ke baad aapse kuch sunne ko mila. Warna maiN to ye soch raha tha ke aap kahaN gum ho gayiiN. Aapne ghazal ko pasand kiiya isse merii badi hausla afzaii hui hai kyuNke choti behar meiN mainey pehle kabhi sher nahiN kahe.

Beech hi meiN ye sher kehne kii koi wajah nahiN thii phir bhi is par abhi maiN sirf yehi keh sakta hooN ke jaisa ke zyada muskurane ko nazar bhi lag jaatii hai to socha ke uska yeh shade bhi capture karke dekheN.

...hum aapke doosri ghazal par bhi ghaur karenge thodi der me....tab tak ke liye aapko humara salaam

doosri ghazal ko abhii bhii aapke tabsare ka intezaar hai. Lagtaa hai kuch zyaadaa hii masroof ho gayiiN haiN aap.

Bharhaal daad ke liye shukria. Aur aapka kalaam yahaN kab dekhenge hum log. Bahut arsa guzar gaya hai.

Praveen


raah meiN hi manziloN ka zikr mat chedo Praveen
manziloN ne sun liya toh aur woh badh jaayeNgi
  Send a message via Yahoo to prasaxena  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Muskura Praneeta Shayri-e-Dard 4 26th February 2008 03:46 PM
muskura rajeev lal Shayri-e-Ishq 2 28th February 2006 02:18 PM
muskura ke dhokha newbornlyshayar Shayri-e-Dard 1 25th January 2006 05:19 PM
muskura dena...!!! alps_0043 Shayri-e-Dard 1 5th February 2005 12:26 AM
Muskura Dena.... Goldy Shayri-e-Ishq 1 30th September 2003 01:32 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com