Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
naye chiraaGh jalaa'o kih roshanii kam hai!
Old
  (#1)
B.G.M.
Moderator
B.G.M. will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 113
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 10
naye chiraaGh jalaa'o kih roshanii kam hai! - 15th May 2015, 01:24 AM

Shaahid Siddiqi ki ik Ghazal pesh-e-Khidmat hai,

Ghazal

yeh kyaa sitam hai kih eHsaas-e-dard bhii kam hai
shab-e-firaaq sitaaroN meN roshanii kam hai

yeh kaisi mauj-e-karam thii nigaah-e-saaqi meN
kih us ke b’aad se tuufan-e-tishnagi kam hai

qareeb-o-duur se aati hai aap ki aawaz
kabhi bahut hai Gham-e-justujuu, kabhii kam hai

sha’uur-e-‘ishq ab aayaa hai apni manzil par
huzuur-e-Husn tamannaa-o-bekhudii kam hai

tamaam ‘umr tira intezaar kar leiNge
magar yeh ranj rahegaa kih zindagi kam hai

nah thay bahaar-e-chaman ham, magar yeh sunte haiN
hamaare b’aad guloN meN shaguftagii kam hai

nah saath deNgi yeh dam to’Rtii hu’i shamm’eiN
naye chiraaGh jalaa’o, kih roshanii kam hai


~Shaahid Siddiqi
-------------------------------------------------------------------------------

+
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
15th May 2015, 09:30 AM

har ek sher ek nageenaa hai janaab..................... kyaa khoob intekhaabi kalaam bazm me pesh kiyaa hai aapne ke masarrat ka ye aalam hai ke daad doon to zubaan ladkhadaa jaae...... bahot hi khoob ghaazal peshe nazar farmaai hai............ Allah aabad rakhe.....

aate rahiyegaa

Shaad....


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
15th May 2015, 10:51 AM

Quote:
Originally Posted by B.G.M. View Post
Shaahid Siddiqi ki ik Ghazal pesh-e-Khidmat hai,

Ghazal

yeh kyaa sitam hai kih eHsaas-e-dard bhii kam hai
shab-e-firaaq sitaaroN meN roshanii kam hai

yeh kaisi mauj-e-karam thii nigaah-e-saaqi meN
kih us ke b’aad se tuufan-e-tishnagi kam hai

qareeb-o-duur se aati hai aap ki aawaz
kabhi bahut hai Gham-e-justujuu, kabhii kam hai

sha’uur-e-‘ishq ab aayaa hai apni manzil par
huzuur-e-Husn tamannaa-o-bekhudii kam hai

tamaam ‘umr tira intezaar kar leiNge
magar yeh ranj rahegaa kih zindagi kam hai

nah thay bahaar-e-chaman ham, magar yeh sunte haiN
hamaare b’aad guloN meN shaguftagii kam hai

nah saath deNgi yeh dam to’Rtii hu’i shamm’eiN
naye chiraaGh jalaa’o, kih roshanii kam hai


~Shaahid Siddiqi
-------------------------------------------------------------------------------

+
Bohot khoob jenab.
Nice sharing. Ek alag, nayaab si ghazal paDhne ko mili.
Bohot bohot Shukriya.


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
15th May 2015, 10:58 AM

Bahut umda.........Thanks for sharing BGM jiii.....



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com