Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
beniyaazee dekh^iye, meHshar-numaayee dekh^iye
Old
  (#1)
Sarwar A. Raz
Registered User
Sarwar A. Raz is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 70
Join Date: Dec 2002
Location: Fort Worth, TX, U.S.A.
Rep Power: 22
beniyaazee dekh^iye, meHshar-numaayee dekh^iye - 20th March 2004, 10:58 AM

yaaraan-e-bazm: tasleemaat!

abh^ee kuch^ hee din pehle meree aik dost Naheed SaaHeba ne aik aur meHfil meN Ghazal i'naayat farmaayee thee (Khudaayee dekh^iye, naa-rasaayee dekh^iye). us kee zameen mujh^ ko bh^alee lagee aur aaj us par aik Ghazal bh^ee ho gayee jo HaaZ^ir-e-Khidmat hai! aap ke tabSire kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah!

Sarwar A. Raz :Sarwar:
---------------------------------

GHAZAL:

beniyaazee dekh^iye, meHshar-numaayee dekh^iye!
shaam-e-Gham ik shaKhS kee shaan-e-Khudaayee dekh^iye!

Khud-sitaayee, bevafaayee, kaj-adaayee dekh^iye!
ahl-e-dunyaa kee yeh t^arz-e-aashnaayee dekh^iye!

kaun jaane hastee-e-mauhoom kis manzil meN hai
:aarzoo ke saath^ dard-e-naa-rasaayee dekh^iye:

har qadam par ik Ghazal hai, har gh^aRee ik naz^m hai
shaai'r-e-fit^rat kaa shauq-e-Khud-numaayee dekh^iye!

she'r ke pardeh meN :Sarwar: kaa bayaan-e-aarzoo!
a'ashiqee aur us pe aisee paarsaayee? dekh^iye!

yooN na mujh^ ko dekh^iye, lillah! bazm-e-shauq meN
ph^ir vohee meree zabaaN par baat aayee, dekh^iye!

aarzoo? Khwaab-e-pareshaaN! HasrateN? daam-e-Khayaal!
i'shq ne ham ko gh^aRee kyaa kyaa dikh^aayee, dekh^iye!

boltee aaNkh^eN, zabaaN Khaamosh aur dil mut^ma,in!
HaZ^rat-e-:Sarwar: ke jee meN kyaa hai aayee, dekh^iye!

Sarwar A. Raz :Sarwar:


"Raz" se mil ke aap Khush hoNge
aadmee hai baRee muHabbat kaa

(Raz Chandpuri)
   
Reply With Quote
Adaab Kabool Framiye Janab...
Old
  (#2)
salman shaikh
Ek Anjaan Shaks...
salman shaikh has a spectacular aura aboutsalman shaikh has a spectacular aura about
 
salman shaikh's Avatar
 
Offline
Posts: 497
Join Date: May 2002
Location: London (UK)
Rep Power: 23
Adaab Kabool Framiye Janab... - 25th March 2004, 06:04 PM

Salam Muhtraam Sarwar Sahab....Janab apne is kubhsuraat kalaam ke liye is nacheez ki daad kabool famaiyr aur is umeed ke sath apse ijazat ke talaab karte hain inshallah agey bhi apke aisi kalaam hamare nazr-e-haya ke tajweez hunge...Shukriya...Kudha Hafiz...


EK ANJAAN SA SHAKS...
SALMAN SHAIKH...


Chal parin hain kashtiyaan samandar dur hai kinaara.....
in majon se puch lena kia haal hai hamaara....

______________________

Ashk bankaar woh mere chashm-e-tar main rehta hai....
ajeeb woh shaks hai jo pani ke ghar main rehta hai........
  Send a message via Yahoo to salman shaikh Send a message via AIM to salman shaikh Send a message via MSN to salman shaikh  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Eh Dekh Eh Ohi Jgh Hai Dr. Preet Chhou Punjabi Poetry 8 19th November 2009 10:02 AM
"..Dekh-dekh unhe ,yuh hi apni Gazal keh jate.." heart_killer Shayri-e-Ishq 15 2nd June 2009 11:38 PM
tuje dekh dekh sona..kaliyug!!! rahulpmehta Hindi/Urdu Lyrics 1 1st January 2006 03:24 AM
din to dekh nahi paaya....kahi raat bhi na dekh paau. akant Shayri-e-Dard 2 22nd February 2004 09:30 PM
sonch-sonch ke pyar kiya ,dekh - dekh ke dil diya Zeba Shayri-e-Dard 2 8th May 2003 05:31 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com