Aaj wo puchte hain kya pyar kam ho gaya tumhara??
aur main kahti hun,
hadd hai....
pyar jab se unhe kiya, sukuun se kaun jiya
din ke ujaalo mein, raat ke andhero mein,
har pal, har lamha, khayal unhi ka aaya,
aur aaj wo puchte hain kya pyar kam ho gaya tumhara??
zamaane ki to aukaat kya thi,
par unke liye hamne apno ko bhi nakaara
aur aaj wo puchte hain kya pyar kam ho gaya tumhara??
baaton ne unki dil mein ek kona banaya,
phir hontho ke raaste uss dil ko hee unhone churaya
aur aaj wo puchte hain kya pyar kam ho gaya tumhara??
na jaane kitni shyaame unki baahon mein guzri
aur saanso ko unki hamne apne seene mein utaara
aur aaj wo puchte hain kya pyar kam ho gaya tumhara??
sach hai maut aani hai ek din,
magar dur unse rah kar hamne khud ko kishton mein maara
aur aaj wo puchte hain kya pyar kam ho gaya tumhara??
ye unki berukhi ki hadd hai, ya bewakufi ki
maayusi ki hadd hai, ya dillagi ki
magar jo bhi hai,
hadd hai
Last edited by anita7608; 21st August 2004 at 11:19 AM..
pyar jab se unhe kiya, sukuun se kaun jiya
din ke ujaalo mein, raat ke andhero mein,
har pal, har lamha, khayal unhi ka aaya,
aur aaj wo puchte hain kya pyar kam ho gaya tumhara??
Really Nice Words.... Plz doo keep it up.. Do keep Writing.. Tc..
Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
nahi thii koii hadd
ye tao pyaar kii haddhon
ne hadd kar dii
jaise baat kisi paiimane rakh dii
aur dil kii dharkan na sunii
jab hadd tuutii tao jana
jaanam ne tao hadd kar dii.....