Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Waalid ki Wafat Par [Nida Fazli]
Old
  (#1)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Post Waalid ki Wafat Par [Nida Fazli] - 23rd December 2002, 11:37 AM

DostoN ye ek Khoobsurat Rachna Shri Nida Fazli saahab ki aap sabhi ko pesh karta hooN, aap logoN ne mehboob ke baare me to bahut kuchh likha ya suna hoga ab ek Pita(Father) ke liye Putra(Son) ke jazbaat parhiye, aasha hai aap sabhi ko bhi pasand aayegi.

Waalid ki Wafat Par

Tumhaari Qabr par mai
Fatwa parhne nahi aaya,
Mujhe maaloom tha tum mar nahi sakte
Tumaari maut ki sacchi khabar
Jisne udaai thi, wo jhutha tha,
Wo tum kab the
Koi sukha hua patta, hawa se gir ke tuta tha,

Meri aankheiN
Tumhaare maNzaaroN me qeid hai abtak
Mai jo bhi dekhta hooN, sochta hooN
wo- wo hi hai
Jo tumhaari neknaami or badnaami ki duniya thi,

KahiN kucch bhi nahi badla

Tumhaare haath, meri ungliyoN me saaNs lete haiN
Mai likhne ke liye jab bhi, kagaz kalam uthata hooN,
Tumhe baitha huwa mai
Apni hi kursi me paata hooN,

Badan mai mere , jitna bhi lahu hai
Wo tumhaari
LagzishoN nakaamiyoN ke sath behta hai,
Meri aawaaj me chhupkar, tumhaara zehen rehta hai,

Meri BeemaariyoN me tum
Meri LachaariyoN me tum,

Tumhaari Qabr par jisne tumhaara naam likha hai
Wo jhutha hai,
Tum mujh me jinda ho
Kabhi fursat mile to, fatwa parhne chale aana.

By Nida Fazli

DostoN yadi koi galati ho to maaf kijiega, mai urdu ka achha jaankaar nahi hooN.


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand

Last edited by maikasH; 19th April 2005 at 10:20 PM..
   
Reply With Quote
Wah !!!
Old
  (#2)
JheelEyes
Registered User
JheelEyes is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 3
Join Date: Jan 2003
Location: Norway
Rep Power: 0
Wah !!! - 18th January 2003, 12:09 AM

Assalam.o.Alaikum Chaand

Bohaaaaaaaaaaat Khoobbbbbb , lajawab post hay ap ki,

Keep it upper )) our aisi hi achi chezain post kartay rahiye

Allah Hafiz
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
18th January 2003, 10:41 AM

Shukriya dost apne is post ko parha or apne khayaalat se nawaza, par Maafi chaahuNga is Tareef ka asli haqdar mai nahi

shri Nida Fazli sahab haiN, mai to unke kadmoN ki dhool bhi nahi, ye rachna unki hi hai, mai to unka ek fan hooN.

Par aapki doNoN posts parhi sachmuch bahut achhi hai, Likhte rahiyega.

Ijaajat chahooNga,

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
hammmmmmmmmmm
Old
  (#4)
govind
Registered User
govind is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Mar 2002
Location: KUTCH-GUJARAT
Rep Power: 23
Red face hammmmmmmmmmm - 19th April 2003, 07:20 PM

dear,

ek galti ho to mauf ki jaati hai---

galti'o bhari tumhari gazal bahoot boaring hain...


Some love THREE,
Some love TWO,
But I love ONE,
Only YOU
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Rani
Registered User
Rani is on a distinguished road
 
Rani's Avatar
 
Offline
Posts: 124
Join Date: Apr 2003
Location: Canada
Rep Power: 21
20th April 2003, 02:47 AM

Salaam

lol lagtha hai govind ko choti choti hi poems pasand hain.Mind na

karna govind par app iss poem ko pare na,phir comment karna.

chaand bohut hi niceeeeeeeeeeee poem hai.


w.s.
Rani


Log Kehtein hain mujhe aadat hai muskurane ki,
Par woh yeh nahi jaante ki yeh bhi ek adaa hai gam chupaane ki.
   
Reply With Quote
Shukriya DostoN
Old
  (#6)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Cool Shukriya DostoN - 28th April 2003, 11:11 AM

Govind ji Khushi hui ke yahaaN appreciate karne ke alawa galatiyaaN batane wale log bhi haiN.

YakeeN jaaniye meri Urdu ki samajh itni achhi nahi hai to galati hone ki puri sambhawnaaeiN haiN, isiliye aapse gujaarish hai jab bhi koi galati ho to jaroor mention kijiyega is.se hame galatiyaaN sudhaarne ka mauka to milega.

Waise ye Post meri likhi hui nahi hai, Ye janaab Nida Fazli saahab ki hai, jinka ke mai fan hooN.

Agli baar galatiyaaN bhi jaroor mention kijiyega.

shukriya Aaabhaari....Chaand


Rani ji, Shukriya aapki is taareef ke liye, par ye sahi hai ki hame, hamaari galatiyaaN pata chaleiN or galatiyaaN bataane waale bhi apne hi hote haiN.

Ye Chaand aapka bhi shukrgujaar hai.


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Monarch
Registered User
Monarch is on a distinguished road
 
Monarch's Avatar
 
Offline
Posts: 10
Join Date: Dec 2002
Location: Bison
Rep Power: 0
4th May 2003, 02:23 AM

chaand sahab maafi kijiyega... lekin is ghazal main 2nd line main jo alfaaz fatwa likha hai woh mujhe kuch galat saa lag raha hai.. waise meri urdu itni sahi to nahi hai lekin mere khaya se waha fatya hona chahiye tha.. just thats whati feel.. may be i am wrong..

thanks for the this posting such great stuff for us..


kar saku to hamare liye sirf ek dua karna,
zindagi ki nahi hamare Maghfirat ki dua karna..

-----------------------
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
10th September 2003, 08:53 AM

chaand dost,
Nida Fazli saahab ki rachna ho aur oose tum hamaare saamne roshni maie laao...... is se badh kar kya baat....
aabhari hu jo itni achhi rachna se hamae parichit karwaya...

sathh he..... jagjit singh ki gaayi hui..... par likha kisne hai woh yaad nahi..... muje yaad aa gayi... yah bhi ek pita ne apne betae ki maut par kahi hui hai...
chithhi na koi sandesh
jaane woh konsa desh
jaha tum chale gayae

Last edited by meena chheda; 10th September 2003 at 08:57 AM..
   
Reply With Quote
Shukriya Meena ji
Old
  (#9)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Cool Shukriya Meena ji - 10th September 2003, 10:32 PM

Shukriya Meena ji, ye Rachna wakai bahut khoobsoorat hai ek roj TV par nida sahab ka programme dekhte hue ise pehli baar suna tha, Mene father ke liye likhi gai itni barhiya rachna is'se pehle kabhi nahi parhi thi.

Dusra Geet jo aapne likha hai, Anand Bakshi sahab ne likha hai shayad (I'm not sure about it) Dushman film ke liye, Film me to sister ke liye gaya gaya hai, real life me is gaane ki history mujhe nahi maaloom.

Chalta hooN.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
khushiii
Registered User
khushiii has a spectacular aura aboutkhushiii has a spectacular aura aboutkhushiii has a spectacular aura about
 
khushiii's Avatar
 
Offline
Posts: 934
Join Date: Aug 2003
Rep Power: 23
11th September 2003, 01:01 AM

chand ji assalam u alaikum
sach aapne hum sab ke saamne jo nazm pesh ki hai us nazm se humein waaqif karane ka shukriya.yeh nazm yahan pe post hui sabhi nazmo se alag hai.
sach waldain ke liye jo mohobbat is mein pesh ki gai hai woh lajawaab hai
keep posting friend


~~~~~~~Khushiii~~~~~~~
smile n make others also smile

those sparkling eyes
A 100 watt smile
the majestic walk
the cheerful talk
truly charming personality
Guess,thats enough abt me :D
   
Reply With Quote
Shukriya Khushii Ji
Old
  (#11)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Cool Shukriya Khushii Ji - 11th September 2003, 08:46 PM

Shukriya Khushiiiji, aapne is post ko parha, or khushi hui ke aapko ye post pasand bhi aai.

Sahi farmaaya aapne unka ye kalaam kuchh hatkar bhi hai.

Or HaaN Khushiii ji aapke profile se pata chala ke kal aapka B'day tha, kal to na kar paaya,........ Very Happy Belated Barthday to You.

Khush raho.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
11th September 2003, 08:58 PM

chhand dost,
jaha tak muje pata hai ke jab se jagjit singh ke son ki akasmaat maut ho gayi tab se oonhe maine har prog; maie yah gajal gaate jaroor soona hai. is liyae muje laga ke yah ek pita apne bachhae ki maut par ga rahe hai...
jaankari k liyae shukriaa.
waakai maie nida ji ki gajal ka to kya kahna.......
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
29th September 2003, 12:45 AM

Chand dost

mein behad shirminda hoon ke is nazm ko bohat der se parha mein ne.
mein behad shukur guzaar hoon aap ka ke nida faazli saheb ki itni khoobsoorat aur munfarid poetry father per aap ne post ki.
ham se shair ki.
mujhe zaati taur per yeh nazm bohat pasand aayee.
mein ne nida faazli saheb ko kaafi parha hai magar yeh nazm pehle naheen suni.
aap ne bohat ahchca kiya jo ise yahan post kiyaa.
mere father ki death bhi bohat jaldi ho gaee thee when i was 17.
us waqt mein ne ek shayr parha thaa jo aaj tak mujhe yaad hai balke mere dil per naqsh hai.
"UMR BHAR HAM AAP KI AAGHOSH MEIN PALTE RAHE
JAB HUE KHIDMAT KE QAABIL AAP RUKHSAT HO GAE"

Ek baar phir aap ka shukriya chaand.

musharrafhusain
   
Reply With Quote
Shukriya dost
Old
  (#14)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Cool Shukriya dost - 29th September 2003, 11:35 AM

Musharrafhusain ji, sabse pehle to aapka abhinandan(welcome) karta hooN ke aapne Nida saahab ki is post ko itna maan diya, Nida saahab ko sun.na tak apne aap me kuchh seekhne jaisa hai.

Rahi baat deri se parhne ki to mere dost jindgi ki aapa-dhaapi (dour-dhoop) me na jaane kyaa kya chhoot jaata hai, so der se hi sahi aapki nazar to padi ispar ye bhi to baat hai.

Pita ki ahmiyat hamaari jindgi me is aasmaan ki tarah hai, wo hai ya nahi har waqt hamaare upar haath rekhe huwe haiN, so mere dost mai khud Nida saahab ka shukr gujaar hooN pita par itni khoobsoorat rachna likhne par.

Shukriya Dost.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#15)
romana
Registered User
romana will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 754
Join Date: Sep 2002
Location: uk
Rep Power: 22
hi - 31st October 2003, 06:25 PM

hi rakesh

hw r u well is rachna ko to hum pehle hi reply kar chuke hai its a really nice poem

but i wantred to ask u sumfin is this ur favourite poem
pls dont mind me askin i just wana know

aur hws life gng

take care
lu
roma


~,ROMANA,~
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
17th June 2004, 02:38 AM

Bahut hi achi rachna hai Nida ji ki.
Shukriya Chaand ji, jo aapne yahan post karke hum sab ke saath ise share kiya!



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Shukriya DostoN...
Old
  (#17)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Shukriya DostoN... - 17th June 2004, 12:37 PM

Romana....aapko reply bahut deri se de raha hooN...ji haaN kisi shaayar ki likhi kam-s-kam father par ....to mujhe ye sabse achchhi rachna lagi....weise bhi pehle hi keh chuka hooN...Nida saahab ka fan hooN mai.

Aapki is taareef ke liye shukriya....tahe dil se.

Chahat123 ji...Shukriya tahe dil se aapka bhi....aapne ise parha pasand kiya, ye Chaand aapka shukriya ada karta hai.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
18th January 2005, 10:18 PM

Thanks Chaand ji..


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
4th May 2005, 07:26 PM

Dear Chand ji,

Thank you very much for sharing this here, and I can feel the value of this creation... It's such a true!
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
4th May 2005, 09:29 PM

chaNd bhai....

aaj lag bhag 2 sal 5 mahine ho gaye aapko ye post kiye hue... na jane nida sahab ne ise kab anjaam diya hoga.. par iske ehsasoN maiN us waqt jo ravangi rahi hogi .. utni hi aaj bhi hai.. ye saboot hai is kalaam ke nekdili ka ... ye saboot hai ek bete ka pyar apne walid ke liye ... ye saboot hai ki wakai ehsaas kabhi mar nahi sakte... aur ye duniya wale chahe jitna badal jayen ehsaas ke saye se bachg nahi sakte ... bohat hi khoob .. aisa pyar har beta apne baap ko kare.. aur sach hai ki kuch sath aise hote hai jo kabhi nahi chooth sakte... aur baap bete ka sath bhi apne aap maiN ek mukaam rakhta hai ...

bohat bohat shukriya ise yahaN lane ke liye .. sharminda huN ki meri kismat ab layi mujhe yahaN ....

likhte rahiye yuN hi

aapka bhai

kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#21)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
4th May 2005, 09:38 PM

Ghayalparwana or Parul ji, mai aap donoN ka hi pita ke prati prem samajh sakta hooN so socha ke ek or bete ki ye kriti aap donoN ki nazar karooN ...

KyoNki mai khud bahut hi prabhavit huva tha , jab Nida saahab ne ise khud gaakar sunaya tha ek TV Programme me...


Shukriya dostoN ise pasand karne ke liye.

Kunal mere dost......mai jaanta hooN ke tumhe khoob pasand aayi hogi Nida saahab ki ye rachna....

wo haiN hi itne mahaaN shaayar...

Khair...tum der se aaye...isme sharmindgi keisi...ham khud is jindgi ki daud-dhoop me jaane kya kya ...parhne or sun.ne se chook jaate haiN

So ...koi baat nahi...tumne parha pasand kiya ...ye khushi ki baat hai.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
hi!
Old
  (#22)
komal5
Eyes and Dreams..
komal5 will become famous soon enoughkomal5 will become famous soon enough
 
komal5's Avatar
 
Offline
Posts: 1,228
Join Date: Jan 2005
Location: Mumbai
Rep Power: 22
hi! - 5th May 2005, 02:48 PM

....m wordless...its so touching!
bahot bahot bahot shukriya...ise share karne ka..! chhand ji!

Nida ji k naam Dil se salaam!
tc
komal


~a tender touch~
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
5th May 2005, 03:18 PM

Tumhaari Qabr par mai
Fatwa parhne nahi aaya,
Mujhe maaloom tha tum mar nahi sakte
Tumaari maut ki sacchi khabar
Jisne udaai thi, wo jhutha tha,
Wo tum kab the
Koi sukha hua patta, hawa se gir ke tuta tha,

WaaaaH.. so touching!!


Meri aankheiN
Tumhaare maNzaaroN me qeid hai abtak
Mai jo bhi dekhta hooN, sochta hooN
wo- wo hi hai
Jo tumhaari neknaami or badnaami ki duniya thi,
KahiN kucch bhi nahi badla

Beautful!!


Tumhaare haath, meri ungliyoN me saaNs lete haiN
Mai likhne ke liye jab bhi, kagaz kalam uthata hooN,
Tumhe baitha huwa mai
Apni hi kursi me paata hooN,

Very Touching!!


Badan mai mere , jitna bhi lahu hai
Wo tumhaari
LagzishoN nakaamiyoN ke sath behta hai,
Meri aawaaj me chhupkar, tumhaara zehen rehta hai,

Amazinggggg... bahut hi asardaar!!

Chaand Bhai!!

This one is gem of a creation.. as expressive as a shayri can get...Har lafz me emotions ka flow hai... simply loved it!!

Thx for sharing it here!


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#24)
chandsi
Registered User
chandsi will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,192
Join Date: Sep 2004
Rep Power: 21
24th November 2005, 07:32 AM

....m wordless...its so touching!
bahot bahot bahot shukriya...ise share karne ka..! chhand ji!

Nida ji k naam Dil se salaam!
tc
komal
&
CHANDSI..

------------
~a tender touch~




.
Bada hua to kya hua jaisay paid khajoor,
Panthi ko chhaya nahin, phal laagen ati door.

Nahaye dhoye kya bhala jo man ka mail na jaay
Meen sada jal mein rahe par tan ki baas na jaay

Akath Kahani Prem Ki, Kutch Kahi Na Jaye
Goonge Keri Sarkara, Baithe Muskae





.................................bye and tc ..................
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
red_ruchika
Registered User
red_ruchika will become famous soon enoughred_ruchika will become famous soon enough
 
red_ruchika's Avatar
 
Offline
Posts: 381
Join Date: Feb 2003
Location: apni dillii
Rep Power: 23
16th April 2006, 04:47 PM

ho to gai hai bahot der padne main,
par mujhe bahot acchi lagi...


"sanam" chahe zindagi se bas itna
aik mutthi main kaid kar loon,
yeh aasman hai jitna!"
  Send a message via Yahoo to red_ruchika  
Reply With Quote
Old
  (#26)
sharifa_786
Registered User
sharifa_786 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 41
Join Date: Oct 2004
Location: pune
Rep Power: 0
19th April 2006, 05:41 AM

Hi,

bahoot khub......
Achha laga kuchh naya hatke padhne mila....


Allah hafiz.


Regards,
Sharifa
   
Reply With Quote
Old
  (#27)
mittal_pali
Webeater
mittal_pali is a splendid one to beholdmittal_pali is a splendid one to beholdmittal_pali is a splendid one to beholdmittal_pali is a splendid one to beholdmittal_pali is a splendid one to beholdmittal_pali is a splendid one to behold
 
mittal_pali's Avatar
 
Offline
Posts: 716
Join Date: Jun 2010
Location: Bathinda-Punjab-India
Rep Power: 20
19th August 2011, 11:52 PM



Pali Mittal
   
Reply With Quote
Correction
Old
  (#28)
mittal_pali
Webeater
mittal_pali is a splendid one to beholdmittal_pali is a splendid one to beholdmittal_pali is a splendid one to beholdmittal_pali is a splendid one to beholdmittal_pali is a splendid one to beholdmittal_pali is a splendid one to behold
 
mittal_pali's Avatar
 
Offline
Posts: 716
Join Date: Jun 2010
Location: Bathinda-Punjab-India
Rep Power: 20
Correction - 20th August 2011, 12:23 AM

Its 'Faatya' or 'Faatha' not 'Fatwa'.

Faatya or Faatha : is a Muslim prayer

Fatwa : is a legal opinion or decree handed down by an Islamic religious leader


Pali Mittal

Last edited by mittal_pali; 20th August 2011 at 12:28 AM..
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com