Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Aurat
Old
  (#1)
fakhri
Registered User
fakhri has a spectacular aura aboutfakhri has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Feb 2012
Rep Power: 14
Aurat - 26th August 2015, 08:48 AM

Aurat ka darjah Humanity mei.N aur Insaniyat mei.N sub se baala ter hai aur koii ise jhuTla nahi.N sakta. Aurat per ik Nazam likhi hai, Ummeed hai aap ko pasand aaegi

Yeh aurat woh paheli hai jo jaani hai na jane.Nge
Hazaaro.N gham yeh sehti hai
Magar haNsti hi rehti hai
Zamane ki isey parvah
Sabhi log is se la parvah
Hai aurat zaat hi aesi
Na jeeti hai na marti hai
Magar hai baala ter sub se
Yeh mana hai na mane.Nge

Yeh aurat woh paheli hai jo jaani hai na jane.Nge

Kabhi Maryam kabhi Seeta
Kabhi Qura.N kabhi Geeta
Kabhi Sheeri.N kabhi Heera
Kabhi Laila kabhi Meera
Kabhi biwi kabhi Maa.N hai
Kisi ka dil hai aur Jaa.N hai
Sabhi ka yeh sahara hai
PhaNsi kashti ka toofa.N mai.N
Yehi tou ik kinara hai
Yeh sub ki raah takti hai
Mohabbat ko tarasti hai
Magar aakhir tou aurat hai
Sisakti hai bilakti hai
Yeh ik aesa moamma hai
Na samjha hai na samjhe.N ge

Yeh aurat woh paheli hai jo jaani hai na jane.Nge

Ise parvah nahi.N apni
Magar sehti hai gham sub ke
Gharasti ki khooshi khatir
Magar rehti hai yeh dub ke
Yeh sub ke saath haNsti hai
Yeh sub ke saath roti hai
Jub ghar mei.N sub hei.N so jate
Tou jaa ker phir yeh soti hai
Ajab iski lagan dekhi
Ajab iska chalan dekha
Magar yeh mard na shukre
Na samjhe hei.N na samjhe.Nge
Yeh aurat woh paheli hai jo jaani hai na jane.Nge

Mili khushiya.N zamaane ki
Tou sub mei.N baa.NT deti hai
Jo gham ki raat aaii tou
Akele kaa.NT deti hai
Yehi iska badappan hai
Yehi tou iski azmat hai
Koii mane ya na mane
Yeh sirf aurat ki taqat hai
Ke dunya is se qayem hai
Tabhi tou lafz-e-dunya bhi
Muzakkar nahi.N moannas hai
Magar mardo.N ki hut hai yeh
Na mana hai na mane.Nge
Yeh aurat woh paheli hai jo jaani hai na jane.Nge

Fakhri
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
26th August 2015, 08:58 AM

Mili khushiya.N zamaane ki
Tou sub mei.N baa.NT deti hai
Jo gham ki raat aaii tou
Akele kaa.NT deti hai
Yehi iska badappan hai
Yehi tou iski azmat hai
Koii mane ya na mane
Yeh sirf aurat ki taqat hai
Ke dunya is se qayem hai
Tabhi tou lafz-e-dunya bhi
Muzakkar nahi.N moannas hai
Magar mardo.N ki hut hai yeh
Na mana hai na mane.Nge
Yeh aurat woh paheli hai jo jaani hai na jane.Nge

Waaaah!! Fakhri ji...aap har baar kuch naye khayaal lekar aate hain.....aur aaj jo aurat ki zindgi uske jazbe ko bayaan karne ki koshish ki hai....padhte padhte meri ankhein nam ho gayi.....

Ye akhiri lines me poori nazm ka nichod ho jaise......aapne itni achchi nazm likhi us par daad aur itni gahrai se jo uske
jeevan k bare me socha....us sanvedansheelta ko salaam...
Rep+++ added.....
Khush rahein...
Likhte rahein....



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
26th August 2015, 09:46 AM

Quote:
Originally Posted by fakhri View Post
Aurat ka darjah Humanity mei.N aur Insaniyat mei.N sub se baala ter hai aur koii ise jhuTla nahi.N sakta. Aurat per ik Nazam likhi hai, Ummeed hai aap ko pasand aaegi

Yeh aurat woh paheli hai jo jaani hai na jane.Nge
Hazaaro.N gham yeh sehti hai
Magar haNsti hi rehti hai
Zamane ki isey parvah
Sabhi log is se la parvah
Hai aurat zaat hi aesi
Na jeeti hai na marti hai
Magar hai baala ter sub se
Yeh mana hai na mane.Nge

Yeh aurat woh paheli hai jo jaani hai na jane.Nge

Kabhi Maryam kabhi Seeta
Kabhi Qura.N kabhi Geeta
Kabhi Sheeri.N kabhi Heera
Kabhi Laila kabhi Meera
Kabhi biwi kabhi Maa.N hai
Kisi ka dil hai aur Jaa.N hai
Sabhi ka yeh sahara hai
PhaNsi kashti ka toofa.N mai.N
Yehi tou ik kinara hai
Yeh sub ki raah takti hai
Mohabbat ko tarasti hai
Magar aakhir tou aurat hai
Sisakti hai bilakti hai
Yeh ik aesa moamma hai
Na samjha hai na samjhe.N ge

Yeh aurat woh paheli hai jo jaani hai na jane.Nge

Ise parvah nahi.N apni
Magar sehti hai gham sub ke
Gharasti ki khooshi khatir
Magar rehti hai yeh dub ke
Yeh sub ke saath haNsti hai
Yeh sub ke saath roti hai
Jub ghar mei.N sub hei.N so jate
Tou jaa ker phir yeh soti hai
Ajab iski lagan dekhi
Ajab iska chalan dekha
Magar yeh mard na shukre
Na samjhe hei.N na samjhe.Nge
Yeh aurat woh paheli hai jo jaani hai na jane.Nge

Mili khushiya.N zamaane ki
Tou sub mei.N baa.NT deti hai
Jo gham ki raat aaii tou
Akele kaa.NT deti hai
Yehi iska badappan hai
Yehi tou iski azmat hai
Koii mane ya na mane
Yeh sirf aurat ki taqat hai
Ke dunya is se qayem hai
Tabhi tou lafz-e-dunya bhi
Muzakkar nahi.N moannas hai
Magar mardo.N ki hut hai yeh
Na mana hai na mane.Nge
Yeh aurat woh paheli hai jo jaani hai na jane.Nge

Fakhri


Fakhri jiiii................aapke vichaar pad kar dil ko behad sakoon mila, Aurat ke liye aapke dil mein jo maan-sanmaan hai, uske liye ham aapke shukarguzaar hai. sahi mein aurat har roop mein mahaan hai...chaahe wo maa ho, behan ho, beti ho, premika ho, dost ho, patni ho...aurat apne bare mein sabse baad sochti hai, pehle apne se judey rishtoN ke bare mein sochti hai...poori zindgi uski esi mein nikal jaati hai....dil se pasand aaye aapki yeh rachna.

yeh khoobsurat ehsaas reps ponits ke haqdaar hai.

reps +++ added


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#4)
masti
Moderator
masti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant futuremasti has a brilliant future
 
masti's Avatar
 
Offline
Posts: 1,113
Join Date: Jun 2003
Location: Mumbai
Rep Power: 38
26th August 2015, 02:29 PM

Bohut khoobsoorat ehsaas fakhri ji.

auraton ke prati aapke mann mein izzat dekh kar khushi hui.

yunhi likhte rahen.


-Apki Dost
Sarika
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
26th August 2015, 03:12 PM

Fakhri saheb lajwaab h aapki rachna
shastro me likha h his ghar naari ka sammaan hota vahan devta vaas karte h kahte sabhi dharmadhikaari is baat ko par maanta koi nahi khud kahne waale hi nahi maante is samaaj me har bandish naari ke liye h.
achha laga aapke vichaar padke khaali likhe. Nahi jeevan me utaar bhi le to Anand aa jaayega jeevan swarg ho jaayega.
radhe radhe


Aapka Apna
Ishk


'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है


email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
fakhri
Registered User
fakhri has a spectacular aura aboutfakhri has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 94
Join Date: Feb 2012
Rep Power: 14
26th August 2015, 07:19 PM

Sarikaji, Madhuji aur Sunitaji - Mujhe behad khushi hui ke aap sub ne meri tehrir ko saraha aur pasand kiya. Aurat ki mahanta bayan nahi.N ki jaa sakti. Woh in sub se ooper hai.Isi tarah himmat afzaii karte rahei.N
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
27th August 2015, 08:39 AM

khoobsurtee se pesh kiyaa hai aapne surate haal ek aurat ke lihaaz se.....

har ek lafz aapkaa sacchaai ko bayaan karta hai aur aurat ki keemat bataa raha hai.....

bahut si daad pesh hain aapko is ummdah takreer ke liye..... likhte rahen.... duaa me yaad rakkhen....

Shaad....


Shaad...
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com