mausam...yaadein -
17th February 2002, 04:55 PM
abhi achanak mausam badla
tho jaane kyon tum yaad aayee!
khuda ki meharbaani hai mujh par
jo yeh thandi havaaein laayee!!
in thandi havaaon mein
tumhari mehak aarahi hai!
khushboo tumhare tan ki
mujhe paagal banaa rahi hai!!
tip tip girta yeh baarish ka paani!
aisa lagta hai meri haalat par ro padi hai meghrani!!
yeh mausam, thandi havaaein,yeh baarish
tho kuch pal mein chali jaayeingi!
par yeh jo tumhari berahum yaadein hai
mujhe raat bhar jagayeingi!!
aapki yaadon ka sahara hai bas
warna hum tho kab se tanha rah jaate!
shukriya aapka jo inhe chod gayee
warna hum tho kab ke mar jaate!!
na jaane kab se tumhara intezar kar rahi hai
yeh meri baahein!
dil tho paagal hai bas har ghadi
takti rahti hai teri raahein!!
baadal tho kabhi kabhi baraste hai
par yaad mein teri har ghadi barasti rahti hai
yeh meri nigaahein!!!
aapka humnafaz,
ravideewana.
|