Insaaniyat -
10th May 2015, 09:38 PM
ek ehsaas hoon’
sabko jeena sikhaata hoon main’…..
kisi aur ke dard mein
apney aansoon’ bahaata hoon main’….
main nishpaksh hoon
aawaaz,iraadon’ aur usoolon’ sey pehchaana jaata hoon’ main….
main -ek shaks hoon
insaaniyat aur maanavta ke naam sey jaana jaata hoon main…..
astitva kya hai mera , kya mera arth hai
mere bina toe insaan, ka insaan hona hee vyarth hai…..
mujhe miltein hain yahan roz,kaii numaaindey mere
kuch musibat key maarey, aur kaii pareshan’ chehre…..
koi sar kuchalta hai mera, koi aawaaz de hai baar baar
kisiko dard hai mujhsey aur kisiko mujhpey aitbaar…..
koi naaraaz hai mujhse , kyun aawaaz uthaata hoon main
darassal zindagi ka sahi raasta dikhaata hoon main…..
main nahi toe andhkaar nazar aata hai
bewajaha bas ahankaar nazar aata hai….
main hoon’ toe sukoon’ aur pyar chalakta hai
phoolon ki zamin’ - taaron bhara aasmaan’ nazar aata hai……
inn sarhadon’ key baahar mere kaii mureed hain
badey hee narm dil hai woh bada hee kadr-daan hoon main….
yahan in deewaaron’ ke beech basaa hai pyaar toe itna
na jaane phir kyun yahan , nazar nahi aata hoon main…..
bemaut mujhe na maaro abhi bhi waqt hai…..
mere bina yeh zindagi bahut hee sakht hai…..
yeh jaayaz nahi ke insaan hee insaan ko dass raha hai yahaan
aur saamp ghar ke koney mein baithey hass raha hai wahaan….
mere farz ko samajhney ka abhi karz hai sab par
jahan bhi ho andhera roshni dikhaata hoon main…..
main nishpaksh hoon
aawaaz,iraadon’ aur usoolon’ sey pehchaana jaata hoon’ main…
main -ek shaks hoon
insaaniyat aur maanavta ke naam sey jaana jaata hoon main…..
|