Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > General Stories

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Shayad kabhi …! Shayad kahin …!
Old
  (#1)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 24
Thumbs up Shayad kabhi …! Shayad kahin …! - 24th October 2005, 07:10 PM

Shayad kabhi …! Shayad kahin …!

Subah se hee aaj aasman par baadal the log kah rahe the mausam kharaab ho raha hai, par such kahun ye mausam mere dil ko bhaata hai aaj bhi mai is mausam mai un purane dino main kho jaata hun jinki jagah meri jindgi mai hamesha sabse khubsoorat dino mai rahegi kaam khatm karke main bhi office se nikla or mausam ka lutf uthane laga bike par us thundi see hawa ke jonke jab chahre par pad rahe the achanak jaise koi mere chare ko apne un masoom hathon se chhoo raha ho ye ahsaas kara rahe the achanak bunda bandi shuru ho gai log jald se jald shayad apne ghar pahunchna chahte the isliye unke vehicles speed pakadne lage, kuchh log janha bhi kahin baarish se bachne kee jagah mil rahi thee khud ko bachane or pahle hee jagah rokne kee jaddojahad main lag gae. Shaam ke 5:30 hue honge par aasman par badlon ne aisa kabja jamaya ke raat ho jaane ka ahsaas ho raha tha barish mai geeli hui mitti kee khushbu mujhe jannat ka sa ahsaas kara rahi thee mai kahin kho jaana chahta tha aise main. Kisi kee yaad jo har roj aati thee.. jo har roj mera kuchh le jaati.. or…. mujhe bahut kuchh de jaati.., is waqt kuchh jyaada hee maharbaan thee..... baarish mai bhigte hue jaise main kahin khoya hua sa tha.. Or ghar pahuchne kee koi jaldi bhi nahi thee. yanha tha hee kaon jiske liye jaldi jaun… ajnabi shahr saalon baad bhi aaj ajnabi hee laga halanki yanha rahte mujhe arsa beet gaya par ab bhi is shahr mai wo baat nahi… jo mere shahar mai thee… logo ke liye mahanagar hoga par mere liye ye anjaan shahar viraan hee raha yanha wo kuchh bhi to nahi jo apne shahar mai tha.. Achanak ruka or jeb se sigarete ka packet nikala or ek sigrite munh se laga kar sulgai fir thodi der us ajnabi maahol mai koi apna sa dhundne laga par bekaar tha wo sab flat par pahuncha kapde change kiye fir kitchen mai jakar thodi coffee banana laga… ghar par hota to shayad mummy se kahta “mummyyyyyyyyyy chaye bana do brad bhi sek dena thodi… thik hai …” par yanha to sab kuchh kuhud ko hee karma hai, coffee tayar hui to use lekar kone waali chair par beth gaya saamne badi window ko open kar diya bearish bahut tej ho gai thee ab tak un fuharon ka aanand lekar coffee kee chuskiyan lene laga or waqt ke kiye ka hisaab lagane laga or bas purane saalon kee kuchh diary lekar beth gaya fir se un yaadon ko jinda karne ke liye jo mujhe gum to deti hain par sakoon bhi wanhi milta hai mujhe. Haathon mai diary liye un peele panno ko paltate hue laga ke wo purana waqt fir se jeene jaa raha hun
Tab main 10th standard main padhta tha tuition ke liye varun or main dono hee chal diye kisi ache tuition kee talash mai jante dono hee the kee ye talash kisi aise tuition ke mil jane ke baad hee khatm hogi janha dher saari ladkiyan padhti hon un dino ladakpan tha or us par filmi bukhar bhi haawi tha hum par pure din mushaqat ke baad shaam 6:30 par rajesh sir keg aye to pata chala ke subh 8:00 baje ek batch hai jisme 6 ladkiyan or 3 ladke hain par subh 8:baje itni jaldi main uthunga kaise….? Par kay karta theek hai tuition kee advance fee jama kara dee or ghar aa gaye. Par tab main ye kanha jaanta thaa kee ye tuition meri jindgi mai bahut jaldi hee ek aise shaks ko lakar khada kar dega jo meri jindgi ban jayega. Tab tak ye to pata tha ke chahat naam kee bhi koi chidiya hai par ye nahi pata tha ke muhaabat kya bala hai. Agar janta to shayad usme nahi padta par padta kaise nahi kismet mai likha tha ye to. Tuition ke hee dauraan usase mulaakat hui first day 10th September 1996 wo aai shalini naam tha uska jagah na milne par mere hee pass baithna pada use.dekhne mai tab wo theek thak hee lagi rang saaf, gol chehra, behad salike se bandhe baalon mai safed rubber-band,or aankho par chasma jo uske padhakoo hone kee cheekh cheekh kar gawahi deta. Us din ke baad use roj mere hee pass baithna padta karan… main tuition mai 45 minutes late aata tab tak uske pass waali hee seet khaali milti or mai wanhan baith jaata .. mujhe wo bilkul achhi nahi lagti thee…. such kahun to nafrat thee mujhe usase… har waqt sirf padhai….padhai or sirf padhai .. kee hee baaten thee uske pass …. Saamne payal bethti thi… main usi ko dekhta rahata..or usi se baaten karta. Shalini bhi mujhe kuchh jyada pasand nahi karti thee ye main achhi tarah janta tha . dheere dheere fir usase baaten shuru ho hee gai ab roj uske pass bethna hai to yun muh fula kar main bhi nhai baith sakta tha or shayad wobhi yahi sochti hogi… fir hum dost kee tarah ho gaye par sirf dosti hee thee wo ya ye bahut aage badh gai thee tab pata chala jab mujhe teen dino ke liye aligarh chahca jee kee ladki kee shadi mai jana pada. Wanha wo teen din mere liye mano teen saalon kee tarah gujre main jaldi se jaldi tuition aana chata tha usase milna chahta tha… par kyun ye aaj tak nahi samjh paya. Fir jab vapsi hui to mai subh jaldi uthkar tuition gaya par shayad meri kismet mujhse or imtihaan le rahi thee. Su din wo nahi aai. Wo din main eagle din ke intjaar main bita diya dusre din bhi jaldi tuition aaya par wo nahi aai mujhe dhukka sa laga tha par thodi der baad 8:35 par wo aai or meri saans mai saans aai…
-Tuition aane ka ekdum sahi time hai (mai apne gusse ko man mai chupate hue bola.. par meri jhunjlaht saaf jaahir ho rahi thee sab par )
- achha aaj aapko tuition ka sahi time bhi pata chal gaya, aap to roj sahi time par aate hain na ( tuition par sab kahte hain ke mujhsa hajir jawaab koi nahi par us din mai is bat ka jawaab hone par bhi na jaane kyun de nahi pa raha thaa …) or wo … wo thee kee mujhe hee dekhe jaa rahi thee
-Mujhe…..mujhe …. math mai koi problem nahi hai.. isliye main der se aata thaa (thodi der chuppi ke baad main jawaab diya jaise koi chor kisi hawladaar ko apni safaai de raha ho )
- mujhe science mai bhi koi dikaat nahi hai isliye ab mai tuition hee chhod rahi hun ( usne thode se gusse mai kaha )
- Achha theek hai main galat tha ok … ab theek hai…! (maine kahne ke saath kaan bhi pakad liye the .. shayad wo pahli baar tha jab us tuition mai maine kisi ladki se yun mafi mangi ho … sab mujhe dekhne lage .. or wo badi masoomiyat ke saath sharma gai )
Fir ye silsila aisa chala ke ruk na saka main uske bahut jyaada karee baa gaya tha itna ke shayad ab main pichhe nahi mud sakta tha doston ne kaha tu apne dil kee baat use kah de … par dil na mana socha kahin aisa na ho ke kuchh aisa kah kar main uski dosti ko bhi kho dun us din pahli baar ahasaas hua ke ye sochna ke kitna aasan hai I love you .. ye teen lafj kah dena asal mai kitna mushkil hai. In teen lafjon kla matlab shayad tab main jaan gaya tha roj usase mulakaat hoti or moka bhi mil jaata tha par kah nahi paata tha …din beete exam shuru hone waale the or mujhe ye dar lagne laga ke kahin exam ke baad usase mil hee na paya to. Par exam aa gaye or khatm bhi ho gaye mai fir bhi apne dil kee baat nahi kah paya tuition khatm ho gaya wo result waale din maine pahle uske roll numbers akhbaar mai dekhe wo 1st div. se pass ho gai mujhe bhut khushi hui main bhi pass ho gaya. Hum dono hee 11th mai aa gaye the waqt gujrta gaya mai ab bhi school se pahle or school ke baad use roj milta roj wo apni cycle pichhe lekar mujhse baaten karti or school aane par mud jaati school ke liye or main wanhi rah jaata. Kuchh na kah pata usko main man hee man main sochta “ye befkoof ladki meri aankho main nahi padh sakti main ise kitna pyar karta hun” par main oye bhi jaanta tha ke ye baat use pata thee shayad bahut pahle se tab se jab se main bahi nahi jaanta tha ke main use pyaar karne laga hun...
18th February 1997 pata chala aaj khatu shyaam jee ka jagran hai… aaj chahe kuchh bhi ho wo mandir main jaroor aayegi main subh 7:00 baje se wanha khada raha shayad ab aaye shayad ab aaye par wo nahi aai par raat 10 baje jab mai thuk kar jaane laga to wo saamne se aa rahi thee wo raat meri jindgi kee sabse khubsurat raat thee wo puri raat mere saath rahi mere saamne mujhe dekhti rahi muskuraati rahi…. Us dinke kuchh dino bad hee 2 march ko meri kismat ne mere saath itna bhadda majak kiya ke main aaj tak nahi bhoola
Subh ka waqt tha .. as usal main uska intjaar kar raha tha wo aai maine cycle uske pichhe lagai par uski raftaar kam nahi hui na hee usne mujhe mud kar dekha mai samjh nahi payake aaj aisa kya hua.. fir socha shayad shaeliyon se baat karne mai wo jyaada busy hai fir jab uska school aaya wo pichhe aai or kaha
- kya paagal hai ? roj pichhe pichhe aata hai .. aaida ke baad agar pichhe aaye na to isase bura or kuchh nahi hoga _aaj ke bad apni surat bhi mujhe nahi dikhana (or wo chali gai mujhe wanhi usi mod par chhod kar hamesha ke liye. Or jaise mere liye waqt ruk gaya )
Fir pata chala ke mere ek friend mahendra ne meri hee diary se uske Phone no. liye or mere naam se uske ghar baat kee or kuchh ashlil baaten uske ghar wallon se kahi fir maine socha agar ye hua tha to isme uski koi galti bhi kanha hai wo to apni jagah ekdam sahi thee par usne ye kaise soch liye ke main aisa kar sakta hun ….
Usne jo kiya shayad wo kismat ko manjoor tha main use apni safai bhi na de paya kyunki usne mujhe kabhi apna chahra tak na dikane kee kasam jo de dee thee. aaj 8 saal baad bhi usise pyaar karta hun pahle se jyaada par jaanta hun ke is pyaar ka anjaam kuchh bhi nahi hai aaj use paana meri chahat nahi… par ye jaroor chahata hun ke wo mujhe kam se kam us ek galti ke liye maaf kar de jo maine kabhi kee hee nahi…aaj bhi uske baare main har baat mujhe maloom rahti hai par usase mai hamesha door hee rahta hun uske liye khud ko gumnaam kar diya… uski yaadon se uske shahar se bhahut door le aaya hun khud ko ….
Achanak ek tej funhaar ke saath hawaa ka tej jhonka aaya or pass rakhi diary ke panno ko khol gaya.. or main un yaadon se baahar aa gaya pass rakhi coffee ab tak bilkul thundi ho chuki thee samne lagi diwaar ghadi raat ke 10:15 ka waqt dika rahi thee or pass main floor par bikhre the meri tamam umr ka haasil wo kuchh sukh chuke phool, ek kagaz ka purja jispar uski hand-writing main khud ka or mera naam or samne 10th class ke rollno. Likhe the, Ek aasmani rang ka rumaal jo usase chup kar mai rakh laya tha kabhi or uske dupaate ka wo dhaga jo tod liya tha maine jab ek roj uske kabndho main sar rakhkar betha tha main tuition main bikhre pade the main unhe sametne laga har us cheez ko ek baar dil se lagakar wanhi purani jagah rakh raha tha aankho main bhi shayad baarish kaa paani chala gaya tha sab kuchh dhundhla sa dikh raha tha. Or thaathon se samet raha tha un cheezon ko jo waqt se or taqdeer se chura laya tha main is ummid par ke…
Shayad kabhi….! Shayad kahin …! wo mujhe mile or main de sakun uski in tamam yadon ko wapas usi ko..


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
24th October 2005, 09:49 PM

anish

tumhari kahani ka dard .... chhu gaya..
lekhan ki baat kare to ...
ek achhi kahani yahi hoti hai jo jakad kar rakhe... or khaas to ant ka dard or oose jis tarah jataya gaya hai... -

Shayad kabhi….! Shayad kahin …! wo mujhe mile or main de sakun uski in tamam yadon ko wapas usi ko..

kahani ka haard ban gaya hai.

meena
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
25th October 2005, 01:32 AM

anish,

From begining to end it's very touchable story... the way you describe all time and situation is very perfect... I was very excited to know what will happen next while reading, and at the end meri bhi aankhon mein shayad baaris ka paani chala gaya tha, sab dhhondhla dikhne laga tha...

Shayad kabhi..! shayad kahin..!......... very well written, hope you feel better, take care and be happy always!



   
Reply With Quote
Old
  (#4)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
25th October 2005, 08:46 AM

zindgi ki ek khoobsoorat si sachhi. - mohabbat, masoom sa pyaar , lekin dard beshumaar... sach me isse aapke saathsaath humne bhi mehsoos kiya hai .. kitna pyaar kiya ja sakta hai, ye aapke har lafz me saaf jhalak raha tha..... bahut khoobsoorat kahaani likhi aapne..
shukriya
apna khayal rakhiyega


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
hello
Old
  (#5)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 24
Thumbs up hello - 25th October 2005, 09:02 PM

hi meena jee

sabse pahle aapka shukriya ada karta hun ke aapko mera likha pasand aaya such kahun to mujhe kahani likhna nahi aata shayari karta tha ab wo bhi waqt kee bhet chad gai bahut dino se shayari.com par aana hee nahi hua waise main aata tha par kuchh tha hee nahi jise post karun fir maine apni hee kahani ko likhne beth gaya jis gam ko ab tak khud sah raha tha aap par jahir kar diya bas wasie bhi shayon ka kaam hee kya hai durd ko sakoon kee tarah dusron ko pesh kar dena wahi maine kiya aapne hamesha hee meri himmat afjai kee hai aaj bhi waisa hee kiya shukriya ada karta hun dil se kabool karna


-------------------------------------------------------------


dear parul

is shayri kee dunia mai main bahut purana hun par aana bahut kam hota hai jab sare raste sakoon ke band ho jaate hain to aap jaise anjaan par dil ke bahut kareeb doston kee dunya main dil ko sakoon milta hai fir aapki taraf se dad bhi mil jaati hai to jakhmon pe marham lag jaate hain aapka hee sahara hai ham jaise shayron ko shukriya himmat-afjai ke liye

----------------------------------------------

dear pallavi jee

aapne mujhe padha or daad bhi dee or mere us durd ko aapne is kahani ke jariye hee sahi par saha iske liye shukriya bhi or maafi bhi mangta hun ke durd se aapko robroo karwa diya aapse dost hee hain jo mujhe ab tak shayari kee duniya main jinda rakhe hainwarna ham to unhi barish ke paani se hain jo bah jaate hain or sookh jaate hain par nishan chhod jate hain apne hone ka


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
kasak
Pieces of me!
kasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to allkasak is a name known to all
 
kasak's Avatar
 
Offline
Posts: 823
Join Date: Jul 2005
Location: Bhopal(MP, india)
Rep Power: 25
26th October 2005, 02:25 PM

anish jee......
sach kahooN to aankheiN chhalak gayiN apki kahaani padhke....kitna dard tha.....waise aksar hota hai...hume us galti ki sazaa milti hai jo humne kabhi ki hi nahi.....ab dekhiye na....mohabbat koi galti thodi hai.....!!! lekin phir bhi insaan ko kaise kaise samandaroN se guzarna padta hai.....
phir bhi....apke pyar me bahut sachchaai hai......khuda se yahi dua rahegi.....ki
shayad...kabhi.....shayad kahiN......wo apko zarooor mile.....
duaaoN ke saath ijaazat,
KasaK....


~A tease in heart~

Judaa huye haiN bahut log, ek tum bhii sahii,
Ab itnii sii baat pe kyaa zindagii haraam kareiN ..
  Send a message via Yahoo to kasak  
Reply With Quote
hi
Old
  (#7)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 24
hi - 26th October 2005, 11:37 PM

dear kasak jee
chalo aapko to hamari mohobbat kee sachai ka pata chala par jinhe chalna tha unko nahi chala wo ek sher hai na
khuda kee itni badi kayanaat mai maine ..
sirf ek shaks ko chaha mujhe wo hee na mila !

to wo ham par ek dam fit bethta hai khair apki duaon se hee to aaj main shayar hun tabhi to aap sabhi ke saath hun chahe kaise bhi sahi aapne is suchhi sroty kee taareef kee jo ab hamara afsaana hai iske liye shukriya kabool kijiye

aapka dost


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
14th May 2010, 10:00 PM

.................................................. ...bahut emotional likha hai, dil ko chu gaye aapki kahani.


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Parwaazz
Aazaad Panchi
Parwaazz is just really niceParwaazz is just really niceParwaazz is just really niceParwaazz is just really nice
 
Parwaazz's Avatar
 
Offline
Posts: 312
Join Date: May 2010
Location: SKY
Rep Power: 17
23rd May 2010, 11:52 PM

Bhai Bahot Achchi kahani hai....... aapne behad khoobi se likhi hume achchi lagi...
Aapke dil ka dard hum mehsus bhi kar rahe hai.... aapka hunar bahot achcha hai humari guzarish hai, aapne koi aur kahani likhi hai to zarur bataiye hum padenge....
Dua hai aapke liye dil se ke aap ke dil ko rahat mile..... Aameen.


Faisle taqdeer ke lakeere badal nahi sakti
Eh insaan teri uske aage hargiz chal nahi sakti

Aaj tu zameen par hai kal zameen mein hoga
Maut tujhe aani hai har roz tal nahi sakti


Last edited by Parwaazz; 23rd May 2010 at 11:54 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
26th May 2010, 08:28 PM

Anish jee..

Kisi ne kaha tha abhi kuch roz pehle .. ki main 6 saal se SDC ki khaak chaan raha hu ... par yakeen ab hua kyuNki aisi dil chu leke wali kahaani se main anjaan raha .. main ek ek shabd ko apne seene maiN gujarti hui saaNsoN maiN mehsoos kar raha huN ... aur yakeen janiye ek chalchitra sa ban gaya hai dimaag maiN .. maiN bas aapka shukriya ada karna chahta huN ki aapne aise masoom khyaaloN ko hum sabse baaNta ... behad shukriya aapka

Kunaal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
tum ko malum bhi shayad ye kabhi ho ke na ho.... prince_sahil Shayri-e-Ishq 0 25th August 2010 10:54 PM
Tum Ko Maloom Bhi Shayad Yeh Kabhi Ho K Na Ho mehul jain Shayri-e-Dard 7 19th March 2006 11:30 PM
Shayad, shayad ..... haan shayad !!!!! Vipinbox Shayri-e-Dard 15 15th March 2006 04:45 PM
~~** Shayad Kabhi Milo... love_shoaib Shayri-e-Dard 0 19th March 2005 01:54 PM
SHAYAD use alwida kehduga ya shayad mein ro parunga!! puneetgrover Shayri-e-Sharaab 0 24th January 2004 08:57 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com