Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
meree ma mere pita ke liye(aye sabhee buzurgon ke liye)
Old
  (#1)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
meree ma mere pita ke liye(aye sabhee buzurgon ke liye) - 29th April 2006, 04:13 PM

aaj mere maat pita ke liye ek shubh din hai barson pahale un ak vivah isee din huya tha. aur itane achee mata pita mile jinhone sanskar diye ek insasn banaya jise log kahate hain ki achee lg hain. un ke liye jitna kahoon kam ho jata hai tab bhee meree koshsih hai ek

ye kavita meree akale kee nahee hai meree bahaon sarita geeta sath hain is kavita ke jism main aur is kee rooh main mera bhayee vivek hai aaj woh delhi main nahee hai par is kavita ko jab likha mujhe laga mere sath baitha hai woh to sabhee bhayee bahaon kee taraf se mere pita Shri madan Moahn aur ma Shrimati Urmila ke liye ek rachana aap bhee shubhkamanayen deejiyega

bas bhav parhiyega na radeef na kafiya na bahar bas hamara payar

ghar main buzurg koyee bara hona achha lagata hai
peron ke saye main khara hona achha lagata hai

aap pardes main raho tab tasweeren to sath hon
deewar main ik keel gara hona achha lagata hai

hath jab uthe sar pe rahe mere kandhe pe nahee
apaka sada paron pe khara hona achha lagata hai

aap bare ho ham chote yahee rutba rahe hamehsa
aap ho to hame kab bara hona achha lagata hai

hazar taaj milen hazar mukut chahe magar ye sar
aapke ke paron main para hona achha lagata hai

aap sath hon to sakht zindgee gulab bantee hai
aap ho agar to waqt kara hona achha lagata hai

aap ate hain jab tab mehman bhee ate hain tabhi
ghar ye mehamon se bhara hona achha lagata hai
------------------------------------------------------
Anil


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
Old
  (#2)
shrdh
Registered User
shrdh will become famous soon enoughshrdh will become famous soon enough
 
shrdh's Avatar
 
Offline
Posts: 1,474
Join Date: Dec 2005
Location: singapore
Rep Power: 21
29th April 2006, 04:24 PM

meri taraf se aapke mummy papa ko bhaut bhaut bahdyi dijiyega

aur ye baat sach hai bujurgon k hone se hi ronak hai

shrdh


  Send a message via Yahoo to shrdh  
Reply With Quote
ek sher main change
Old
  (#3)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
ek sher main change - 29th April 2006, 04:41 PM

ek sher galat kah gaya ise yoon parhen

aap ate hain jab yahan mehman bhee ate hain tab
ghar ye mehamon se bhara hona achha lagata hai


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
Old
  (#4)
ranju bhatia
Registered User
ranju bhatia is a jewel in the roughranju bhatia is a jewel in the roughranju bhatia is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 544
Join Date: Mar 2006
Location: Delhi
Rep Power: 21
29th April 2006, 04:54 PM

ANIL JI sabse pahle aapko aur aapke maa, papa ko dher sari shubkamanye ..............

aapka unke parti pyar jo in lines main jhalka hai .......woh
bahut hi sundar hai.......maa papa toh kisi ke liye bhi ek woh majboot saya hai jinke hone se ghar bhara- bhara lagta hai.......

yah din unke jeevan mein aage bhi dher sari khushiyan laaye
yah meri Ishwar se partharna hai......

with lots of best wishes

ranju


ranjana
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
akelijaan
Mai shayar to nahi
akelijaan is a jewel in the roughakelijaan is a jewel in the roughakelijaan is a jewel in the rough
 
akelijaan's Avatar
 
Offline
Posts: 739
Join Date: Feb 2006
Location: mumbai,india
Rep Power: 21
29th April 2006, 05:02 PM

anil ji,
bahut hi badhiye.sach mai kya kahoon ,alfaaz nahi milrahe,

hath jab uthe sar pe rahe mere kandhe pe nahee
apaka sada paron pe khara hona achha lagata hai

sach mai,yeh padh kar to aankhen nam hogayi.

aapki dil se nikli yeh har tamanna puri ho.
  Send a message via Yahoo to akelijaan  
Reply With Quote
Old
  (#6)
ek_wafa
Koshish
ek_wafa will become famous soon enoughek_wafa will become famous soon enough
 
ek_wafa's Avatar
 
Offline
Posts: 214
Join Date: Jul 2005
Rep Power: 20
30th April 2006, 10:55 AM

sabse pehle toh dher saari bhadhaiyan aapko…..

“ghar main buzurg koyee bara hona achha lagata hai
peron ke saye main khara hona achha lagata hai”……….sach bahut acha lagta hai gar ghar mein koi buzurg ho…..mata pita ka saaya ho sar par toh zindagi kuch asaan lagne lagti hai…..jyada nahin toh ikk pal ko toh unki god mein baithkar sab bhool jate hain….na koi ghum na apni koi chinta…..ki main apne mata pita ke saath hoon…unke paas hoon…wo mere paas hain….

…bahut hi pyari kavita pesh ki hai aapne…hamesha ki tarah…..har lafz se mehak aa rahi hai…..aapka gulshan yoon hi hansta muskurata rahe…mehakta rahe…yahi dua hai meri….aap sada khush rahe….


Aaina mujhse meri pehli si surat maange
   
Reply With Quote
shukriya
Old
  (#7)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
shukriya - 30th April 2006, 01:59 PM

shraddha shukriya shubhkamayon ke liye
aur meree rachana par ane ke liye
Anil


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
dhanyawad ranju
Old
  (#8)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
dhanyawad ranju - 30th April 2006, 02:01 PM

tumahree shubhkamanyon ke liye bahut bahut shukriya bahut achha laga mujhe tum ne meree ma aur pita ko shubhkamayen deen aur bahut achha likha
Anil


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
wafa shukriya
Old
  (#9)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
wafa shukriya - 30th April 2006, 02:09 PM

wafa bahut bahut shukriya aur ek baat batayoon ? kal party thee kareeb 50 lg aye the is ghazal ke har sher pe nnstop taliyan bajeen .aur beech main ek baar ma ko rona hee aa gaya apnee kurssee se utheen mujh se lipat ke rone lageen. aur bhee kayee log the jin kee ankh bheegee huyee thee suabh dobara sab ke phone aye is kavita ke liye. jo bas radeek kafiya bahar se aage nahee ate un se yahee kahana hai ye hota hai radeef bhee kafiya bhee aur bahar bhee. ankh agar bheeg jaye sun ne wale kee to use hee meter kahiye .kavita har baat se baree hai dil main utara jaye to aur kal jitnee taliyan mileen kabhee nahee mileen ma ka asheerwad bhee. ma ka pagalapan bhee kah raheen thee koyee kitna hee likhe main jantee hoon mere bete jaisa koyee nahee likhta
Anil


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
Re: meree ma mere pita ke liye(aye sabhee buzurgon ke liye)
Old
  (#10)
passionatelover
pass love on and on...
passionatelover is a name known to allpassionatelover is a name known to allpassionatelover is a name known to allpassionatelover is a name known to allpassionatelover is a name known to allpassionatelover is a name known to all
 
passionatelover's Avatar
 
Offline
Posts: 1,183
Join Date: Nov 2004
Location: Kolkata,India
Rep Power: 26
Re: meree ma mere pita ke liye(aye sabhee buzurgon ke liye) - 30th April 2006, 02:16 PM

hello anil bhaiya
i m speechless,its a class shayri,i wundt say its a shayri ,its a wondeful feelings.........aapke es shayri ke bhaav mujhe bahaut pasand aaye.
aap ne jo subject chuna hai es shayri ke liye hai,uspe kutch kehna chaunga.hum aksar mohabbat dard par shayri padte hai aur likhte hai par bahut kaam log parents par shayri likte hai.........jo log hume sab se jyada pyar karte hai without expecting any thing frm us.......... i mean say they are so unselfish..............i m feeling happy that u have written on this subject................hope that u write some more poetries on this subject............

yuhi likhte rahiye.......
aap aapna khalay rahiyega
passionate......


chand ho pari ho ya koi afshara
pyar kare jo hume sone sa khara
jiski ankhon me ho pyar hi pyar bhara
me uska "veer" wo meri "zarra"

-------------------Brizesh_kol_-------------------------------------


  Send a message via Yahoo to passionatelover  
Reply With Quote
passionate
Old
  (#11)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
passionate - 30th April 2006, 02:23 PM

aaj tum ne jo baat remark main kahee bahut baree hai. jante ho kyon? kuch baaten ham man ke chalte hain. are is kavita main ma ka nam aa gaya ya deshbhakti aa gayee ya bahgwan ka nam aa gaye is liye shayree kee zaroorta anhee . ian namo kee wajah se sab achha kahenge hee

par aap apnee kala pooree tarah se shayri main dikahyen in ke liye tabhee aap thora sa apaan farz nibha pate hain warna pata pita ko ham kya denge bahut chote hain unhe kcuh dene ke liye main jo chahta tah lg mahsoos karen woh tum ne kiya ke shayree hee likhee hai maien kahlee bahwana ka ubal nahee hai bahut bahut shuklriya passioante
Anil


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
congratulations!!!!
Old
  (#12)
aapki_anamika
Registered User
aapki_anamika has a spectacular aura aboutaapki_anamika has a spectacular aura aboutaapki_anamika has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 195
Join Date: Mar 2006
Location: in my love's heart
Rep Power: 21
Post congratulations!!!! - 1st May 2006, 01:18 PM

anil bhaiya mai aaj hi aayi huun site pe to thodi late ho gayi is post ko padhne mei..chalo koi baat nahi..kehte hai wishes dene ka koi particular time nahi hota wishes to hum dil se jise chahe jab chahe de sakte hai..hai na?????


i know haan....

to chaliye mai aapke papa,mummy ko aaj badhai deti huun...dua karti huun unka pavitra rishta hai jo wo pichel anek varsho se sambhale hue hai apne pyaar se wo sada asie hi falta-foolta rahega

bhagwan unki har kaamna poorn kare...

aapne bahut hi sahi poem likhi hai ..ekdam sach hai ki bujurgo k bina koi ronak nahi hoti,...unhi ke pyaar mei jeene ki jyot hai...wo hai to hum hai....


khush rahiye hamesha..

aapki apni
shweta


@~~**AapKi aNAmIkA**~~@

   
Reply With Quote
bahut bahut shukriya anamika
Old
  (#13)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
bahut bahut shukriya anamika - 1st May 2006, 06:28 PM

bahut bahut shukriya anmila duyayon ke liye bhee aur tareef ke liye bhee bahut achha laga is kavita par jinte log ate hain mujeh utna hee achha lagata hai
Anil


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
Old
  (#14)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
2nd May 2006, 08:11 AM

anil
apni bhavnaao ko bahut achhi tarah se tum ne shabdo mai baandha hai ..
taarif ki koi baat hi nahi thaharti yaha...
aisi rachna par sabhi ka nat mastak hona hi hota hai...

Meena
   
Reply With Quote
shukriya
Old
  (#15)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
shukriya - 2nd May 2006, 03:18 PM

meena jee abhut bahut bahut shukriya meree is mere liye anmol rachana par ane ke liye shubhkamayon ke liye aur meree kavita ko diye pyar ke liye
Anil


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
Old
  (#16)
punjabiroop
Registered User
punjabiroop has a spectacular aura aboutpunjabiroop has a spectacular aura aboutpunjabiroop has a spectacular aura about
 
punjabiroop's Avatar
 
Offline
Posts: 247
Join Date: Aug 2005
Location: in god creation
Rep Power: 21
2nd May 2006, 05:52 PM

anil bro
bahut bahut...................bhadhaiyan apke mom dad ko,aur apko aur apki sari family ko.u r very lucky.apki shayri ka tao jawab hi nahi.ur parents r also lucky.ap aur apki family hamesha khush rahe.
take care
   
Reply With Quote
roop
Old
  (#17)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
roop - 2nd May 2006, 07:57 PM

mere mata pita ko bahut see shubhkamana dene ke liye bahut bahut shukriya roop.

aue meree atama se niklee kavita ko man dene ke liye bahut bahut dhanyavad kaisee ho?
Anil


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
Old
  (#18)
Rubeena Parveen
Registered User
Rubeena Parveen is on a distinguished road
 
Rubeena Parveen's Avatar
 
Offline
Posts: 111
Join Date: Apr 2006
Location: new delhi 25
Rep Power: 18
3rd May 2006, 02:56 PM

hi
Anil ji
mene ye post abhi padhi he sorry late ho gaya lakin koi nahi meri taraf se apke mummy papa ko dher sari badhai aur ek baat kehna chahungi ki aap bahut lucki hain ki apko un dono ka pyar mila kuch log to kamnaseeb hote hain jo usse bhi mehroom rehjate hain unki qadar kijiyega bas main zyada nahi do hi lines kehna chaungi is shubh avsar per

"ravish ravish pe sitare,qadam qadam pe bahar
hamari khuda se dua he ki unko shadaN rakhe"(Ameen)


tah-e-dil se ek baar aur mubarakbad pesh he qubol farmayega


take care
bye


Mangi thi mene tumse mohbbat ki zindagi
Zindagi ko tumne mohbbat bana diya
   
Reply With Quote
good wishes kabhee late nahe hoteen
Old
  (#19)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
good wishes kabhee late nahe hoteen - 3rd May 2006, 06:04 PM

rubeena thanks for ur wishes achha laga der kee baat hee nahee bahut achha laga main bhee shukriya karata hoon tumhara
Anil


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
hi
Old
  (#20)
acharya_mj
Zakhm-e-Rooh
acharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud of
 
acharya_mj's Avatar
 
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 33
hi - 3rd May 2006, 10:40 PM

hey anibhaiya
first of all wish ur parents belated happy marriage anniversary.
aap ke parents ko bahu bahut bdhaayiaN, thoda late aaya par aaya jarur hun.

aur aap ki poem a well and appropriate dedication to ur respected parents.
bahut khoob likha hai bhaiya.

regards
manu
  Send a message via Yahoo to acharya_mj  
Reply With Quote
Old
  (#21)
kamyayni
Guest
 
Posts: n/a
4th May 2006, 11:14 AM

Anil ji Ma Papa ko samrpit aapki ye kavita humare vicharo se bahahut mel khati hai.
humara manna hai ki duniya me aap har cheez khareed sakte ho pyaar bhi lekin agar koi cheez nahi milti to wo hai maa ka pyaar aur papa ka dulaar. isliye kuchh bhi badle mein dena pare to bhi unka pyaar sambhal lena chahiye bina doosari baar soche.sabse pehale unka hona apni zindagi ke liye har kamyabi ke liye bahaut zaroori hai.
zinadgi me kai aise makaam aaye hain jab unki ehamiyat samjh aati hai. hum to thore philosophical ho gaye na?? kya karein topic hi asia hai. aur aapki kavita ne seedhe meethey shabdo me jo kaha hai wo dil choo lene wala hai aur ek baat kahein hankerchief bheeg hi gaya.
   
Reply With Quote
thanks
Old
  (#22)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
thanks - 4th May 2006, 06:25 PM

manu bahut bahut dhanaya wad shubh kamamnayon ka shubh kamana kabhee late nahee hoyee kabhee der se nahee atee
Anil


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
shukriya
Old
  (#23)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
shukriya - 4th May 2006, 06:28 PM

kamayani bahut bahut dhanyawad meree kavita ko sarahane ke liye bhaw samjhne ke liye aur mata pita ko shubh kamana dene ke liye
Anil


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Tum mere liye kya ho... ruchika Aapki Shayri 17 17th November 2008 01:26 PM
Mere Liye** Shimul Hindi/Urdu Lyrics 4 2nd June 2005 02:30 PM
MEre Liye Tum Kya Ho aaks Shayri-e-Ishq 4 24th February 2005 01:40 AM
mere liye na sahi apane liye hi muskurao akant Shayri-e-Dard 22 2nd February 2005 01:25 PM
Tum kya ho mere liye talkingeyes Shayri-e-Ishq 1 28th October 2002 06:50 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com