Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

 
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
Mujhe Haq nahi gar teri nisbat mein kuchh kahne ka,
Old
  (#1)
Parwaazz
Aazaad Panchi
Parwaazz is just really niceParwaazz is just really niceParwaazz is just really niceParwaazz is just really nice
 
Parwaazz's Avatar
 
Offline
Posts: 312
Join Date: May 2010
Location: SKY
Rep Power: 17
Mujhe Haq nahi gar teri nisbat mein kuchh kahne ka, - 21st September 2010, 12:26 AM

Mujhe Haq nahi gar teri nisbat mein kuchh kahne ka,
Mujhe tuu apni aankhon mein panaa.h kyun deta hai

Main chup rah leta umar bhar dastaan e gham bankar
Mujhe ashk bankar bahane ki wajaa.h kyun deta hai

Main teri aankhon se barsaa hun tere dil ne kaha tha
Mujhe apne hi dard ka naam e khataa kyun deta hai

Gar hai Tujhe ruswaaiyon ka dar meri aamad se toH
BarsaatoN mein bhi tanhai ka samaa kyum deta hai

Main kahin khushi se hi naa mar jaun " ParwaaZ"
Merii bera.ngi kou tuu rangeen duaa kyun deta hai


Faisle taqdeer ke lakeere badal nahi sakti
Eh insaan teri uske aage hargiz chal nahi sakti

Aaj tu zameen par hai kal zameen mein hoga
Maut tujhe aani hai har roz tal nahi sakti

   
Reply With Quote
 

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com