Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Aapki Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Old
  (#41)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
14th December 2006, 07:11 PM

Sochta hun har makte mein kyu shayar ka hi naam aata hai
Shayad har ghazal ke baad shayar khud ko tanhaa paata hai
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#42)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
14th December 2006, 07:15 PM

Mehboob ko apnaa na sake, duniya bhi begaani hai
Zindagi-e-aashiq ki yehi buri kahaani hai
Na hai jinhe hausla-e-bayaa unka aur bhi bura haal hai
Labon pe jhoothi muskaan, aur aankho mein paani hai
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#43)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
14th December 2006, 07:16 PM

Thartharaate handset ne dhun bajaayi meethi,
dekha jo uska sandesh; to hume acchha laga
jo bhi tha usne likha wo dil pe humne naa liya
'phool' ne jo, kahaa humko 'fool' to acchha laga
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#44)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
14th December 2006, 07:18 PM

Tu judaa hai jo muzse to meri dhadkano me jaan hai
Gar tu mil gayi to khushi se kahi dam na nikal jaaye
Har lamha guzarta hai tere ek intezaar mein
Ek lamha agar tu ruke, to kahi hum na nikal jaaye

Last edited by qqplus; 14th December 2006 at 07:25 PM..
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#45)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
24th December 2006, 05:55 PM

Teri nazar ki teerandazi se tera chehra sanam salaamat hai
Teri soorat ko koi soche na, tera parda hi jab qayaamat hai
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#46)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
2nd January 2007, 11:42 PM

Jo tareef husn ki ho, jo deedar ho kisi ka
tabhi husn-o-rang shabab pe hota hai
wo jo aankho se peete hai wohi behekte hai
warna kahaa itna nasha sharaab se hota hai
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#47)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
2nd January 2007, 11:46 PM

Sab dekhte hai khwab, na mukammal hai par sabhi
koi khuda nahi hota ke kitni bhi baat ho

har aam bhi hai khas har khaas fir bhi aam
fir bhi jaraa si khaas apni bhi baat ho
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#48)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
2nd January 2007, 11:49 PM

Din abhitak baaki hai, shaam abhitak hui nahi
Use paane ki faryaad khuda se abtak puuri hui nahi

koi dost bhi abtak nahi bana, dushmani kisise hui nahi
khair abhitak apni shayaad koi taraqqi hui nahi

Jo toot sake par zuke nahi, jo gir jaaye par ruke nahi
usko dekhe itni uunchi, hasti-e-zamaana hui nahi

koi kaarwa mein chale Ziyaad aur dhoondhe apni raah bhi,
wo kaarwa aur wo manzil bhi shayad uske liye bani nahi

Last edited by qqplus; 2nd January 2007 at 11:52 PM..
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#49)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
3rd January 2007, 12:03 AM

Sochte hi rahenge agar, to fir sochte hi rahenge
kali khilke murza jaegi hum dekhte hi rahenge

Qurbate naseeb nahi fir bhi gham-e-judaai
pehle bhi saha hai aur aage bhi sahenge

Usse milneke liye Ziyaad, din raat taraste ho,
aur ye bhi sochte ho ke log kya kahenge.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#50)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
6th January 2007, 08:48 AM

Gehraai naapta hai koi paani me utarkar
Koi duniya bhi dekhta hai gharo me apne rehkar
Karte hai sab wohi jo khud ko lage thik
Kya mila hai kise aajtak zamane se darkar
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#51)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
7th January 2007, 07:13 AM

Us naam se hai meri sanse, dhadkan usise chalti hai
Uski har ek nigaah pe ye jaan meri fisalti hai
Har raah wahi rukti hai; wahi se nikalti hai
Duniya bhi gar ho sath; kamee us ek ki khalti hai
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#52)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
8th January 2007, 07:04 PM

Muhabbat mein aajkal bas do kisme 'On Fire' hai
Ya to umda shayar hai, ya fir pakke liar hai
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#53)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
15th January 2007, 09:01 AM

A lot meri shaher mein
A few meri nazar mein
kisika sundar face
to solid koi figure mein
koi ghumaneko hai perfect
koi appropriate hai ghar mein
kaise karu decide
aur kisko rakhu jigar mein
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#54)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
15th January 2007, 09:03 AM

Aadab doston,
ye main kuchh sher post likh raha hun. Har sher mein kisi ladki ke baare mein likha gaya hai. Ummeeed hai pasand aayega aap ko

Ek chehra hai kisi phool ki tarah
Jise dekhu to jeene ki umang aa jaye
Uski muskaan me yaaro taqat hai itni
ke wo hase to patthar pe tarang aa jaye


sharabi to aksar dimaag se behekte hai
dil ko behkaye jo aisi bhi ek surat hai
maikhana-e-husn mein aankho ke do jaam
jo wo hai to muze peene ki kya zarurat hai


na kehti hai wo kuch kabhi kisise
aur aankhe bhi rakhti hai zukaye zukaye
uski yehi ada itni qatil hai agar
jo wo aankh uthaye to gajab ho jaye


lafzon ko zubaa pe dabaye rakhti hai
ashkon ko aankho me sajaye rakhti hai
uski dua ko khuda qubul kare jarur
is umeed pe muskaan banaye rakhti hai


zamana ho gaya hume muhabbat jataye
zamana ho gaya unhe humko sataye
hum jabhi unse karte hai sawal koi pyara
wo muskurake kehti hai ke aap hi bataye



aap ki raay chahunga dosto.
shukriya.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#55)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
19th January 2007, 12:10 AM

Dilon mein apne aisi lehre uthe pyar ki
Ke baat sharm ki ho sagar ke jal ke liye
Bus hum do ho jaye us pal mein shareeq
Aur hawaa bhi ruke tere aanchal ke liye
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#56)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
19th January 2007, 12:11 AM

Ya karishma-e-kudrat hai
ya ye pyar ka asar hai
Uski ghazal-e-nazar ke aage
mere lafz be-asar hai
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#57)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
19th January 2007, 08:38 AM

aadab doston,

is pe aapki raay aap de, ye guzarish hai.. shukriya


Ek ladki hai di dikhai jo meri khwab ki parchaai si ho
uski har ada ki lazzat meri nazar mein samaai si ho

uski muskaan hai aisi ke kisi phool se churaai si ho
phoolon ko bhi andaai jaise ussine sikhaai si ho

Meri aarzuon ki tada, uski aankhon ki gehraai si ho
uski har nazar hai jaise kisi shayar ki likhaai si ho

Uske husn ki tarash aisi kemeenar koi banaai si ho
Wo chale to uske aage jaise bijli bhi sharmaai si ho

Us surat ki ek zalak, har toote dil ki dawaai si ho
Chand ki parastish bhi, usse bewafai si ho

Meri dhadkane bhi jaise, uske aanchal ki bunaai si ho
Use paa lu agar to jaise, meri zindagi ki kamaai si ho.

-Ziyaad.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#58)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
23rd January 2007, 07:03 AM

Humne use kiya tha sawaal khwab mein
Usne bhi de diya tha, jawaab khwab mein
Jo khwab mein hota hai, bas hota hai khwab mein
Kitna haseen hai khwab haqeeqat ke jawaab mein.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#59)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
23rd January 2007, 07:05 AM

Maangenge aaj khuda se, ho mukammal teri muraad
Chashmadeed teri khushi ka, gar na bhi ho ziyaad
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#60)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
23rd January 2007, 07:07 AM

Daayra-e-daulat bahut jyada hone laga
Harpal kamaane ka irada hone laga
Bikte the bande; aur bikte rahenge
khuda ka bhi aajkal sauda hone laga
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#61)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
23rd January 2007, 07:08 AM

Baja iske ke teri ishq mein pagal hue hain
Baja iske ke teri yaad mein so nahi sakte
Huqm-e-haqeeqat hai ya apni hi koi wajah
Koi baat hai ke humtum ek ho nahi sakte
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#62)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
27th January 2007, 08:06 AM

Khuda pe hume bahut bharosa tha
Sun rakha tha ke dua kabhi khali nahi jaati
Par ye jhooth hai kyu ki gar aisa hota
To kisi aur ke ghar teri doli nahi jaati
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#63)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
29th January 2007, 06:44 PM

Safar yaha hote hai Safar waha hote hai
Duniya wahi rehti hai; insaan ghumte hai
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#64)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
29th January 2007, 06:45 PM

Taaluqaat bane rehte, guftagu bhi fine hoti
wyast na kisiki kabhi koi line hoti
rishton ki haqeeqat, technologically determine hoti
kya hota gar tamaam ye, duniya hi online hoti
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#65)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
29th January 2007, 06:47 PM

Ab khatm bhi ye silsila-e-sharafat kiya jaye
Pyar ka mausam hai, waqiya-e-shararat kiya jaye
Usuulon ki jazbaat se bagawat bahut hui
Dil khol ke ab saamna-e-qayaamat kiya jaye
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#66)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
29th January 2007, 06:48 PM

Ek phuul bhi aksar, ek baag saja deta hai,
Ek hi sitara, sansaar chamka deta hai
jahaa duniyabhar ke rishte bhi kaam nahi aate
ek dost hi aiseme zindagi bana deta hai
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#67)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
29th January 2007, 06:51 PM

Ehsaan ki tere, muzko qadar hai jana
jo junoo hai muzpe chaya, wo teri nazar hai jana

Har zarra hai chamka, har gul hai khil utha
Unpe bhi to hua, tera asar hai jana

Ye bijliya jo aksar gir aati hai zamee par,
Teri adaa se shayad, wo bekhabar hai jana

Aankho me hi koi tasveer jo base,
fir kaisi shaam aur kaisi saher hai jana

Tuzse hi shuru hota, hai tuzpe aake rukta
Teri gali se hi hota mera safar hai jana
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#68)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
2nd February 2007, 03:36 PM

Khuda bhala kare us ajeeb zamane ka
Jaha mehmaan ko pehle uska gaav puuchte hai
Bacchhe qadr nahi karte bujurgon ke pyaar ki
Koi khilona laa de to uska bhaav puuchte hai
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#69)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
3rd February 2007, 06:45 AM

Chal ke yaa auto se jaao,
Rehti aafat waisi hi
Auto ke meter ki tiktik
Lage qayamat jaisi hi.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#70)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
16th February 2007, 12:56 PM

Har aankh hi mein dikhti
bas husn ki pyaas hai
Jism to hai tez
par dil hi udaas hai
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#71)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
16th February 2007, 01:00 PM

Kehte hain baar baar ke umr aap ki badii hai
Haqiqat se jyaada ye meri soch se judii hai
Socha hai jabhi aap ko mile aap uss ghadii hai
Socha nahi ho aap ko aisi na koi ghadii hai

Last edited by qqplus; 16th February 2007 at 01:04 PM..
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#72)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
23rd February 2007, 12:01 AM

Nazar milaane waale ab nazar churaane lage
Jab zarurat hui to muskuraane lage
Zamaane se jinhe hum nek samazte the
Unhe nek hone mein shaayad zamaane lage
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#73)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
7th March 2007, 12:01 AM

Chaand bhi to dekho tumhe tak raha hai
Sitare bhi thame thame se lag rahe hai
Jara muskura do hum sab ke liye
Hum bhi to tumhe goodnight keh rahe hai
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#74)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
7th March 2007, 12:04 AM

Tamannaon ki kaliya khil uthe saari
Khushiyon ke chaman pe ho duaon ka pehra
Meri dua rahe saath aap ke yaad meri bankar
Aur bana de aap ke is safar ko sunehra
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#75)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
7th March 2007, 12:07 AM

Dilon ke milne ko kisi
rishtey ka naam zaruri nahi
Jo dilon ko judaa rakh paaye,
koi sisi jahaan me doori nahi
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#76)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
7th March 2007, 12:09 AM

Gar na mile zindagi mein Jannat mein to milenge hi
Maut ke baad sukoon ke ye lamhe to milenge hi

Hum na bhi keh sake agar , haal-e-dil visal tak
Ise jaanne wale sukhe, chand patte to milenge hi
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#77)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
7th March 2007, 12:15 AM

Jo imaan deti hai to shaan leti hai
Berehem zindagi yaaro jaan leti hai
Har lamha tandurust sabko maan leti hai
Kisi bhi pan kisi ka imtehaan leti hai
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#78)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
17th March 2007, 08:50 AM

Sawalaat ka hi dusra naam Zindagi hai
Kya hota jo har sawaal ka jawaab hota

Yun to har ek chehra lagta hai khoobsurat
Kya hota jo benaqaab har naqaab hota

Jeena ka hai matlab jo haqeeqat nahi hai khwab
Kya hota jo sach har ek khwaab hota

Behisaab tarse tere pyar ko hum to
Kya hota jo tuze pyar behisaab hota

Tere gham se bane shayar, jo kisi aur ka gham hota
Hum bhi kharaab hote, gham bhi kharaab hota
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#79)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
17th March 2007, 04:44 PM

Is qadar badh chuka hai tere saath ka junoon
Mere saye ko bhi main tera saaya samazta hun
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Old
  (#80)
qqplus
Registered User
qqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura aboutqqplus has a spectacular aura about
 
qqplus's Avatar
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Aug 2004
Rep Power: 22
17th March 2007, 04:45 PM

Mere usool-o-khayaal mere liye hardam museebat karte hai,
Mera qalam na chaahe likhna to jazbaat bagaawat karte hai.
  Send a message via Yahoo to qqplus  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Tum ne kabhi dekha hi nahi meri taraf pyar se itschahat Shayri-e-Ishq 0 2nd April 2007 10:54 AM
Kuchh meri taraf se... qqplus Aapki Shayri 2 14th September 2006 06:08 AM
har taraf nicky Shayri-e-Dard 2 8th March 2004 07:03 PM
ek gum meri taraf se.. shayrana_khayal Shayri-e-Dard 1 11th January 2004 05:16 PM
ex sher meri taraf se......... shayrana_khayal Shayri-e-Mashahoor Shayar 0 10th January 2004 03:35 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com