Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Pa-band nazm= Kashmeer
Old
  (#1)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
Pa-band nazm= Kashmeer - 10th November 2016, 07:27 PM

Mai jannat- e -hindustaaN kashmeer mai kashmeer hu
Urdu meri qaumi zubaaN kashmeer mai kashmeer hu
Sab se haseeN mera jahaaN kashmeer mai kashmeer hu
Mujh sa nahi koee yahaaN kashmeer mai kashmeer hu

Dilkash nazaare mausam- e -abraad ye pehchaaN meri
Har zaat har mazhab yahaa aabaad ye pehchaaN meri
Mai suufiyo ka aashiyaaN kashmeer mai kashmeer hu

Meri pareshaani se merey apney hijrat kar gaye
Ehel- e -siyaasat naam pe merey siyaasat kar gaye
Mai khitta-e-amn-o-amaaN kashmeer mai kashmeer hu

Maqbooz karne ki mujhe din raat koshish kartey hai
Kamzor karne ke liye kuch ghair saazish kartey hai
Na kar mujhe yu be-kasaaN kashmeer mai kashmeer hu

Jaaney khuda hi kya merey taqdeer mai maktoob hai
Sach toh ye ehel- e -hind ko tu jaan se mehboob hai
Mai hu waja- e -sargiraaN kashmeer mai kashmeer hu

FEW MEANINGS

• Mausam-e-abraad= winter season
• Hijrat= migrate/palaayan
• Ehel-e-siyaasat= politicians
• Maqbooz= seize
• Be-kasaaN= alone/helpless
• Maktoob= written
• Waja-e-sargiraaN= reason of pride

Kya ishaara karey ye hawaaiye
Gaur se sun zara tu sadaaiye

Khushk pattey bhi kehte bohat kuch
Shabnami phool jo keh na paaiye
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
15th November 2016, 08:43 AM

Quote:
Originally Posted by Mujahid Ali View Post

Mujahid bhai aapki is sachhi aur behatreen ghazal ko khaaksaar ka salaam..bahut asardar aur gehri baat kahi aapne kaash ki ye buland aawaaz un kaano tak pahuche jo apne napaak iraadon se is gulshan ko lahunumaa kar rahein hai....

ek baar phir sar jhukaa kar salaam aapki soch ko..likhte rahiye

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
15th November 2016, 03:27 PM

Quote:
Originally Posted by Mujahid Ali View Post
Mai jannat- e -hindustaaN kashmeer mai kashmeer hu
Urdu meri qaumi zubaaN kashmeer mai kashmeer hu
Sab se haseeN mera jahaaN kashmeer mai kashmeer hu
Mujh sa nahi koee yahaaN kashmeer mai kashmeer hu

Dilkash nazaare mausam- e -abraad ye pehchaaN meri
Har zaat har mazhab yahaa aabaad ye pehchaaN meri
Mai suufiyo ka aashiyaaN kashmeer mai kashmeer hu
Mai jannat- e -hindustaaN kashmeer mai kashmeer hu

Meri pareshaani se merey apney hijrat kar gaye
Ehel- e -siyaasat naam pe merey siyaasat kar gaye
Mai khitta-e-amn-o-amaaN kashmeer mai kashmeer hu
Mai jannat- e -hindustaaN kashmeer mai kashmeer hu

Maqbooz karne ki mujhe din raat koshish kartey hai
Kamzor karne ke liye kuch ghair saazish kartey hai
Na kar mujhe yu be-kasaaN kashmeer mai kashmeer hu
Mai jannat- e -hindustaaN kashmeer mai kashmeer hu

Jaaney khuda hi kya merey taqdeer mai maktoob hai
Sach toh ye ehel- e -hind ko tu jaan se mehboob hai
Mai hu waja- e -sargiraaN kashmeer mai kashmeer hu
Mai jannat- e -hindustaaN kashmeer mai kashmeer hu

FEW MEANINGS

• Mausam-e-abraad= winter season
• Hijrat= migrate/palaayan
• Ehel-e-siyaasat= politicians
• Maqbooz= seize
• Be-kasaaN= alone/helpless
• Maktoob= written
• Waja-e-sargiraaN= reason of pride
Nazm me chhupa kashmeer ka dard dil tak pahunch raha hai....bahot umda khayaal aur bayaan mujahid sahab...

Daad qubool karein likhte rahein..

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
18th November 2016, 11:30 AM

Shukriya qasid sahab aur madhu sahiba

Nazm ko daad ke qabil samajhne ka

Allah se dua hai ke kashmeer ke halaat hasb-e-ma'mool ho jaaye

Kya ishaara karey ye hawaaiye
Gaur se sun zara tu sadaaiye

Khushk pattey bhi kehte bohat kuch
Shabnami phool jo keh na paaiye
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
20th November 2016, 10:00 PM

Quote:
Originally Posted by Mujahid Ali View Post
Shukriya qasid sahab aur madhu sahiba

Nazm ko daad ke qabil samajhne ka

Allah se dua hai ke kashmeer ke halaat hasb-e-ma'mool ho jaaye
Aameen............................................ .........

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com