Quote:
Originally posted by amaan7am
..dosri ghazal yahan post kar raha hoon....zara gerhrin baatein hai....sher ke mani utne khule hue nahin..kuch waqt lagata hai baat ko samjhane mein .....umeed karein ki aap meinse koi utna gahara jana chahe......raishumari zaroor kare ...agar koi samjhaish bhi ho.. har salah ka tah-e-dil se istakbaal hai
zara sabra rakhte kissa dastan bhi hota
ye muhabbat hai, numayan bhi hota
mujhe tanhayee se koi lazzat nahin
magar koi humzuban bhi hota
ye tagaful, ye bedili na hoti
tu khana-e-dil mein mahman bhi hota
ye firak hai bikhara hoon zarra zarra
tera saath hota zarra asman bhi hota
yun hi rona tha ,daman bhigona tha
shayar na hota insan bhi hota
tum padhate aur mera kalam hota
aankhein bhi hota,main zuban bhi hota
jo dil jalata nahin "amaan"
to zahan farozan bhi hota......
lafzon ke mani...----numayan=zahir ,tagaful=ignorance,firak=judai,zarra=dhool ka kan,farozan=roshan
muhabbat-amaan
|
------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
dear amaan.....bahaut accha likkha hai aapne...
is ghazal ke saare sher lajawaab hain...
makta bhi bada sahi hai.....
is ghazal mein sabhi kuch bahaut khoob hai....
likte rahiye.