teri Khushbuu ka pataa karti hai -
28th June 2010, 10:03 AM
teri Khushbuu ka pataa karti hai
mujh pe ehasaan hawaa karti hai
shab ki tanhaayii mein ab to aksar
guftaguu tujh se rahaa karti hai
dil ko us raah pe chalnaa hi nahi
jo mujhe tujh se judaa karti hai
zindagi meri thi lekin ab to
tere kahane mein raha karti hai
us ne dekha hi nahi varnaa ye aaNkh
dil kaa ehavaal kahaa karti hai
beniyaaz-e-kaaf-e-dariyaa angusht
ret par naam likhaa karti hai
shaam parhte hi kisi shaKhs ki yaad
koochaa-e-jaaN mein sadaa karti hai
mujh se bhi us ka hai waisa hii suluuk
haal jo teraa ana? karti hai
dukh hua karata hai kuchh aur bayaan
baat kuchh aur huaa karti hai
abr barase to inaayat us ki
shaaKh to sirf duaa karti hai
masalaa jab bhi uthaa chiraagon ka
faisalaa sirf hawaa karti hai
- Perveen Shakir
|