Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
"..saamil ho gaye."
Old
  (#1)
shyam
Registered User
shyam will become famous soon enough
 
shyam's Avatar
 
Offline
Posts: 196
Join Date: Apr 2002
Location: junagadh
Rep Power: 23
"..saamil ho gaye." - 23rd March 2004, 01:28 PM

Aadaab,

bahot lambe arso baad phir se ek baar dosto ki mahefil me aaya hu..pesh he mere maujuda haalat par kuchh...!!

" khwaabo ko paal kar aaj ham khud hi unake qaatil ho gaye,
lo Sheikh ji aakhir ham bhi aapaki jamaat me saamil ho gaye."

"jaan na chaahate he sab mere ye sabhi dard bhare nagmo ka raaz,
yaaro, kuchh aansoo kagaz par gire the wo aaj gazal me tabadil ho gaye."

"karane lage he ham hishaab kitaab har aane jaane vaalo se,
o khuda, ab to ham teri duniya me rahene ke kaabil ho gaye."

" shukun ke liye shyam ho aaya har mandir masjid me,
aakhir gumaraah ho kar ham maykhaane me daakhil ho gaye."


Shyam..!!
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
23rd March 2004, 01:38 PM

shyam mitr,

dard ki khubsurti jab gajal ka gahna pahanti hai
yah gahna to mera hi hai, har insaan ko lagta hai.

yaha aa kar hamaare sathh ahesaas baantne ka shukriaa.
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
23rd March 2004, 01:44 PM

Shyam Shyam Shyam!

Itne dino baad aaye ho.. wo bhi ye kalaam lekar!.. us din tumne is gazal ka pehla sher hi sunaaya tha hume.. tab bhi hume bohat pasand aaya tha.. ab to puuri ghazal saamne hai, pasand kaise na aaye..

ghazal kaii baar paRi.. ye jaanne ki koshish thi ki kaunsa sher sabse zyada pasand aaya.. kaunsa khayaal sabse behtareen hai.. lekin ye ho nahi paaya.. kyu har sher apne aap me lajawaab.. har khayaal apne aap me kaamil. Bohat achha likha hai yaar..

Chalo.. kuchh der ke liye hi sahi, tum sheikhon ki duniyaan se shayri ki duniya me to aaye!.. yunhi aate rehna... aur aona khayaal rakhna..


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
"jab bhi chaaha tumse milna, tum door ho gaye " garima Shayri-e-Dard 12 4th April 2011 10:52 AM
"kameene","laffange parindo.n" ki "badmaash compny" parveen komal Shayri-e-Dard 9 17th August 2010 11:59 PM
"MERI AANKHO ME AANSU AA GAYE................"a shayri for her........with u always.. Dhaval Shayri-e-Ishq 8 7th October 2006 09:41 PM
" "CHAHTA HU USE MAIN KUCH ISTARHA SE........". ........"mera wajud" Dhaval Shayri-e-Ishq 0 26th August 2006 11:20 AM
*Ghum-e-zindgi se guzar gaye...."Abida Parveen Jee"* Diggaj_Dave Ghazal Section 2 20th July 2006 01:09 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com