Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

 
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Prev Previous Post   Next Post Next
Pa-band nazm= Ashk behne de merey ke dard kuch kam ho bhi jaaye
Old
  (#1)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
Pa-band nazm= Ashk behne de merey ke dard kuch kam ho bhi jaaye - 7th December 2016, 07:39 PM

Ashk behne de merey ke dard kuch kam ho bhi jaaye
Haal mera dekh kar chashm-e-aduu nam ho bhi jaaye
Sang-dil bhi ho gaya hai ye zamaana iss qadar ke
Merey kehney se zamaana aur barham ho bhi jaaye

Ban gaye aghyaar apney hi toh ghairo se gila kyu
Tum kaho ke mujh pe hi ye zor-e-khanjar aazma kyu
Tu agar de saath shayad qalb khurram ho bhi jaaye
Ashk behne de merey ke dard kuch kam ho bhi jaaye

Door bhi hai apni manzil ke abhi chalna bohat hai
Raah-e-anjaaN mai abhi toh dard bhi sehna bohat hai
Dard hoga kam agar tu saath mahram ho bhi jaaye
Ashk behne de merey ke dard kuch kam ho bhi jaaye

Jiss sehar ki aas karta voh nazar aaney lagi hai
Ke chiraagh- e -ishq se ab roshni chahney lagi hai
Aaj ke hi raat anjaam- e -shab- e -gham ho bhi jaaye
Ashk behne de merey ke dard kuch kam ho bhi jaaye




FEW MEANINGS

• Ashk= tears
• Chashm-e-aduu= eyes of my rival
• Barham= angry/against
• Aghyaar= stranger/unknown
• Qalb-e-khurram= pleased heart
• Mahram= companion
• Sehar= morning
• Anjaam-e-shab-e-gham= end of sorrowful night


Kya ishaara karey ye hawaaiye
Gaur se sun zara tu sadaaiye

Khushk pattey bhi kehte bohat kuch
Shabnami phool jo keh na paaiye
   
Reply With Quote
 


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com