Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
hum ulfat meiN haiN kya ko kya kehne waale
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
hum ulfat meiN haiN kya ko kya kehne waale - 30th June 2013, 09:15 PM

hum ulfat meiN haiN kya ko kya kehne waale
teri har khataa ko adaa kehne waale


taraanaa-e-meher-o-wafaa ga rahe hum
wo roodaad-e-jaur-o-jafaa kehne waale

(meher-o-wafaa = favours & faithfulness, roodaad = story, jaur-o-jafaa = oppression & tyranny)


takalluf se milne se achchhaa milo mat
kabhi the mujhe aashnaa kehne waale

(takalluf = formality, aashnaa = beloved)


kahe ja rahaa tu sune ja rahaa maiN
jo dil meiN hai ab to bataa kehne waale


muzaamat naheeN wo naseehat thi tujh ko
mere mashware ko anaa kehne waale

(muzaamat = opposition, naseehat = advice, anaa = ego)


uthe ab n kaanoN se baar-e-sataaish
zubaaN ko bhi mat aazmaa kehne waale

(baar-e-sataaish = burden of praise)


n majboor hote agar sun’ne waale
to waah waah yooN karte bataa kehne waale


chale jaayeNge ye tawajjo n dena
chale aate haiN baar’haa kehne waale

(tawajjo = attention, baar’haa = repeatedly)


barha sun’ne waaloN ko tha lutf aayaa
magar reh gaye bemazaa kehne waale


abhi saNg phooloN meiN badle naheeN haiN
zaraa jaam doojaa uthaa kehne waale

(saNg = stones)


n tehseeN se khush tu n tohmat pe naashaad
kaheiN “zarraa” tujh ko bhi kya kehne waale

(tehseeN = praise, tohmat = slander, naashaad = displeased)



- ZARRAA
   
Reply With Quote
Brilliant..
Old
  (#2)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
Thumbs up Brilliant.. - 5th September 2014, 11:26 AM

takalluf se milne se achchhaa milo mat
kabhi the mujhe aashnaa kehne waale

Zarraa saheb... wahhh! waaah! waaah..

Behtareen akkaasi aur khoobsorat alfaazoN se saji yeH ghazal,
dil ki gehraayi meiN dekhne aur sochne ka moQa deti hai...

Ghazal meiN dard-o-karab aur
lazzat-e-ishQ dono ayaa.N haiN..
Iss kamal-o-bemisaal ghazal ke liye saheb...
dherooN daad-o-mubarakbaad with reps!

Shuker hai aap ne guftagu thread meiN yeH link de diya,
warna hamari nighaoN se yeH ajooba chhhoot jata.....

Allah aap ko khush rakhe..

Aise hi mehfil roshan karte rahiye,

DuaooN ke saath,


*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Baghbaan
Registered User
Baghbaan is a name known to allBaghbaan is a name known to allBaghbaan is a name known to allBaghbaan is a name known to allBaghbaan is a name known to allBaghbaan is a name known to all
 
Offline
Posts: 112
Join Date: Nov 2010
Location: Delhi
Rep Power: 20
5th September 2014, 12:02 PM

Zarraa ji,
Bhut acchha lga aapki gazal ko pdkar. Congrats for very good work.

Regards,
Baghbaan (Jaspal)
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
5th September 2014, 03:10 PM

takalluf se milne se achchhaa milo mat
kabhi the mujhe aashnaa kehne waale

(takalluf = formality, aashnaa = beloved)


kahe ja rahaa tu sune ja rahaa maiN
jo dil meiN hai ab to bataa kehne waale


muzaamat naheeN wo naseehat thi tujh ko
mere mashware ko anaa kehne waale


Masha Allah bohat khoob zarraa sahab

Sabhi ashaar laajawaab hain per yeh teen zyada pasand aaye mujhe. .

Yuhi likhte rahiye

Achcha kiya aapne interview per link post kiya warna hame milti nahi...aur isay padhne se mahroom reh jaate hamare members. ..




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
5th September 2014, 08:59 PM

Beautiful gazal zarra ji........thanks for sharing d link.



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
ananthpak
~“ REBELLIOUS IN LOVE “~
ananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud ofananthpak has much to be proud of
 
ananthpak's Avatar
 
Offline
Posts: 492
Join Date: Dec 2011
Location: Ruatonga,Cook Islands
Rep Power: 24
5th September 2014, 09:58 PM

Waaaaaaahhhhhhh!!!! Zarraa sahab kya baat hai...bohat khoobsurat ghazal hai...dheron daad humari jaanib se





Mohabbat ke ye silsile na the
Jab tak tum hum mile na the

*pari*
  Send a message via Yahoo to ananthpak  
Reply With Quote
Old
  (#7)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
6th September 2014, 12:28 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
hum ulfat meiN haiN kya ko kya kehne waale
teri har khataa ko adaa kehne waale


taraanaa-e-meher-o-wafaa ga rahe hum
wo roodaad-e-jaur-o-jafaa kehne waale

(meher-o-wafaa = favours & faithfulness, roodaad = story, jaur-o-jafaa = oppression & tyranny)


takalluf se milne se achchhaa milo mat
kabhi the mujhe aashnaa kehne waale

(takalluf = formality, aashnaa = beloved)


kahe ja rahaa tu sune ja rahaa maiN
jo dil meiN hai ab to bataa kehne waale


muzaamat naheeN wo naseehat thi tujh ko
mere mashware ko anaa kehne waale

(muzaamat = opposition, naseehat = advice, anaa = ego)


uthe ab n kaanoN se baar-e-sataaish
zubaaN ko bhi mat aazmaa kehne waale

(baar-e-sataaish = burden of praise)


n majboor hote agar sun’ne waale
to waah waah yooN karte bataa kehne waale


chale jaayeNge ye tawajjo n dena
chale aate haiN baar’haa kehne waale

(tawajjo = attention, baar’haa = repeatedly)


barha sun’ne waaloN ko tha lutf aayaa
magar reh gaye bemazaa kehne waale


abhi saNg phooloN meiN badle naheeN haiN
zaraa jaam doojaa uthaa kehne waale

(saNg = stones)


n tehseeN se khush tu n tohmat pe naashaad
kaheiN “zarraa” tujh ko bhi kya kehne waale

(tehseeN = praise, tohmat = slander, naashaad = displeased)



- ZARRAA

khoob se khoobtar ghazal huii hai Zarraa mere bhai...... khaaksaar ki jaanib se daad ka chota sa nazraana qubool farmaaen.... Allaah majeed nawaaze..
ho zore qalam aur se aur.......

mukhlis


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
mujib66
Registered User
mujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to beholdmujib66 is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 409
Join Date: Nov 2006
Rep Power: 26
9th September 2014, 11:47 AM

Bohut hi lajawaab Ghazal Zarraa ji.

Har ek sher pe dil se daad qubool kijiye.

Khaas kar eh sher bohut hi touching laga.

abhi saNg phooloN meiN badle naheeN haiN
zaraa jaam doojaa uthaa kehne waale

Agle kalam ka intezaar.

Mujeeb Parwaaz.
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
iftakhar_ahmad
Registered User
iftakhar_ahmad is on a distinguished road
 
iftakhar_ahmad's Avatar
 
Offline
Posts: 31
Join Date: Oct 2014
Location: Jaipur
Rep Power: 0
30th October 2014, 10:53 PM

waaaaaaaaaaaah Zarra saheb, bahut achhi ghazal kahi hai, bahut maza aaya padh ke.


Dekho mera chehra, ye aqs-e-sadaaqat hai
Iss duniya meN meri, pehchaan sharaafat hai
Duniya ke rasmoN se, anjaan meri duniya
Allah ka banda huN, Allah se nisbat hai
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com