Quote:
Originally Posted by zishan107
Zindagi yun thi ke jeene ka bahana tu tha
hum faqat zaib-e-hikayat the, fasana tu tha
hum ne jis jis ko bhi chaha tere hijran mein, woh log
aate jaate huye mausam the, zamana tu tha
ab ke kuch dil hi na maana ke palat kar aate
warna hum dar-ba-daron ka to thikana tu tha
yaar aghayaar ke haathon mein kamanein thi ‘Faraz’
aur sab dekh rahe the ke nishana tu tha
Ahmed Faraz
|
Zindagi yun thi ke jeene ka bahana tu tha
hum faqat zaib-e-hikayat the, fasana tu tha
har waqt ankho me cehre kahi ghume .
magar is dil me to sirf samana to tha ...
ish kore kagaj par sabdo ki suruat aap se ho .
hum bahut tadpe aab tadpne ki suruat aap se ho.
tamana hai sanso ki aap ban jaye meri jindagi.
meri har subah har saam har raat aapse ho .