20th December 2004, 11:36 PM
Hi sonalji mai phir aap ki likhe sher ko modify kartaa hu...
Gustaakhi k liye maafi chahtaa hu....
pyar, kya yeh hai ek khoobsurat ehsaas
ya yeh hai janam janam ka saath
pyar kya hai, khushi ya gham
ya dono hi hain jo hain kam
pyar karke khush hain kuch log
pyar paake bhi khush hain kuch log
lekin kya, yehi hai pyar ki kahani.
Pyaar hai nazron ki zubaani,
Dilo se judi jazbaato ki zindgaani,
Kabhi ban jaaye ankho se girti shabnam,
to kabhi ho jaaye muskkan suhaani,
Is k liye har dhadkan ho jaati hai diwani
Chhod jaati hai ye yaado ki nishani
Ye hai ek khubsurat ahsaas,
jo rahta hai is dil k aaspaas,
Juda hai jis se koi khaas,
Chalti jis se hai is jism ki har saans,
Khud se bhi jyaada jis pe hai vishwaas,
Voh khuda to nahi
Par shayad khuda ki hi hai na buji Pyaas
|