Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 2 votes, 5.00 average. Display Modes
yeh mat samjho!
Old
  (#1)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
Thumbs up yeh mat samjho! - 16th July 2002, 11:13 PM

har lehar to kinara mat samjho,
har nazar ko ishaara mat samjho,
kuch log to milne se pehle hi kho jaate hain,
har shaks ko dost pyara mat smajho.

har dost vafaadaar nahi hota,
har shaks dosti ke kaabil nahi hota,
unki har baat se fark padta,
do insaano ka dil kabhi bhi ek sa nahi hota.



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#2)
sidhanse
Registered User
sidhanse is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 24
Join Date: Nov 2001
Location: Bahrain
Rep Power: 0
Thumbs up 7th August 2002, 02:01 PM

Aadab,
Priya ji, aap ek umda shayar to ho hi, par aap ki shayari se lagta hain, ki, aapko kisi apne ne dhoka diya hain..... Aapko zaroorat hain ek naye dost ki, agar hum aapke kaam aa sake, to humari khush kismati hogi!!!
Yeh sher aap ke liye....
-----------------------------------------------------------
Lehar kabhi na kabhi to kinare ko chuta hain,
Har nazar ka koi to ishara hota hain,
Dost pyaar khone se pehle mil to jaatein hain,
Har shaks to dushman begana mat samjho...

Har dost, har pyaar, bevafa to nahi hota hain,
Har shaks dushmano ka yaar to nahi hota,
Do insaano ka dil, ek jaisa to nahi,
Par kam se kam, ek to ho sakta hain!
-----------------------------------------------------------
Dosti ki davat ke javab ka intezaar rahega,

Aur ha, agar kisi pyaar ne aapko dhoka diya hain, to hum dono, ek hi qashti mein doob rahein hain, aur sher, humne humare pyaar ki yaad mein likha....
----------------------------------------------------
Logo ne kaanton se zakham khaye hain,
Humne kaanton ko galey se lagaya hain,
Log phoolon pe muskuratey hain,
Humne phoolon se zakham khaye hain!
----------------------------------------------------

Suraj roshni deyti hain,
Tapan dharti ko sehni padti hain,
Mohabbat aankhein karti hain,
Sehna dil ko padta hain!!
-----------------------------------------------------

Humara aadab qabool farmaiye!


Kalam Mohabbat ka,
Panne ishq ke,
Baatein pyaar ki,
Kisse ghum ke!!
   
Reply With Quote
ji haan
Old
  (#3)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
Arrow ji haan - 7th August 2002, 04:57 PM

bahut acha laga yeh jaan kar ki aapko meri shayri pasand aayi!

likhte to aap bhi bahut acha hain

ji haan kisi apne ne hi apna ban kar paraaya bana liya khud ko, apna jab tak tha tab bhi bahut sataaya humko, humne kaha unse ki jab karte nahi mohbbat to kyun aate ho paas mere, woh bole jaane ko abhi doosra raasta nahi hai, mil jayega to chala jaaonga, aur jab woh mil gaya woh chale gaye..

woh bewafa, sangdil aur bedard tha, jo sirf apni hi dhun mein savaar tha use kabhi kisi bhi baat se fark nahi pada.. aur na hi padega... woh jhoota tha dhokebaaz tha.
ek galat insaan se humein ishq hua tha..
khair guzar chuka hai woh toofan, aur chod gaya hai sannata, khamoshi aur tanhaai, aur thodi si rusvaai.

jo bhi hai usne apna samjh kar mujhe itna hi diya.. dard, tanhai aur khamoshi, mere liye yeh hi bahut hai.


hum woh na ho sake, jo woh gaye,
suna hai ki woh bewafa ho gaye.
hum majboor hain sanam, sar jhukaane ko,
hum insaam reh gaye, woh khuda ho gaye.


Dosti achi ho to rang laati hai,
dosti gehri ho to sab ko bhaati hai.
Dosti nadaan ho to toot jaati hai,
dosti dagebaaz ho to jaan jaati hai.


Khuda salaamat rakhe unko,
jo humse nafrat karte hain.
Pyar na sahi, nafrat hi sahi,
bhala kuch to SIRF HUMSE karte hain.


Har dil mein chupa hai pyar,
kahin jyada to khain kam.
Talaash maut ki hoti hai usko,
jise mila ho bekadar sanam.



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Old
  (#4)
sidhanse
Registered User
sidhanse is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 24
Join Date: Nov 2001
Location: Bahrain
Rep Power: 0
7th August 2002, 06:34 PM

Aadab Priyaji,
Ab mein samjha, aapke udasi ka sabab, Koi baat nahi, yeh agla sher aap ke liye khaas,
====================================
Guldastey ke phool murjha gaye to kya,
Is gulshan mein phool aur bhi hain,
Bewafa ne dil tod diya to kya hua,
Is duniya mein, dilwale aur bhi hain,
Toofan aaya tha to kya hua,
Saal ke mausam aur bhi hain,
Bhool ja us bewafa ka chehera,
Duniya mein hasane wale chehre aur bhi hain,
Bhoola de uske diye huey phool,
Gulshan mein bagh aur bhi hain!!
=====================================
Aur yeh agli shayari humare dil ka haal sunate hain!
=====================================
Dil ko qaraar nahi aata,
Rahon pe nazar hain humari,
Dil mein ek bechaini si hain,
Kya kahu bade arse se,
Yaad tumhari aa rahi hain,
Nazar nahi aaye ho qafi waqt se,
Palko mein ek aag si jal rahi hain,
Dil ke sheeshe pe,
Pathar sa jaise mar diya kisine,
Kya kahu bade arse se,
Yaad tumhari aa rahi hain,
Tumhari aankhon ko dekhne,
Dil tadap raha hain kabse,
Tumhare ghani zulfon ki yaad,
Aa rahi hain kabse,
Kya kahu bade arse se,
Yaad tumhari aa rahi hain,
Raaton ka chain gayab ho gaya hain,
Aankhein bandh kartey hi samne,
Tasveer tumhari aati hain,
Par aankh kulte hi,
Sachai kadvi lagti hain,
Kya kahu bade arse se,
Yaad tumhari aa rahi hain!!

====================================

Shyam ke andhere mein,
Ujala kar gayi,
Dil ke kisi kone mein,
Tu aag laga gayi!!!
====================================

Ummeed hain ki aapko shayari pasand aayi hogi....

Humara Aadab qabool farmaiye!


Kalam Mohabbat ka,
Panne ishq ke,
Baatein pyaar ki,
Kisse ghum ke!!
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
romance
Registered User
romance will become famous soon enoughromance will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 305
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 23
7th August 2002, 07:58 PM

a very special friend of mine once said...


itne gum sum kyun ho?
itne udas kyun ho?
yeh to duniya ka dastoor hota hai..
jise bhi jitna paas se chaaho woh utna hi door hota hai!
is gam ko dil se nikaal do tum,
abhi to saari zindagi pari hai tumhrai..
nayi khushiyon se phir se shuru karo tum!


... and also I quote a song from a famous movie...

jis pe hum mar mite
us ko pata hee nahin
kia gila hum karain
woh bewafa bhi nahin
hum nain jo sun liya
us nain kaha hee nahin
.
.
.
.
.
   
Reply With Quote
sakoon
Old
  (#6)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
Lightbulb sakoon - 9th August 2002, 05:11 PM

Bahut khoob likhte hain aap!

"Aata nahi dil ko mere sakoon bin dildaar ke,
pata nahi kaise tera, mere bina rehne ka dil kiya.
Koshish to bahut ki tujhe bhula dein is dil se,
Magar har lamha barbaan tujhe hi humne yaad kiya.
Rokna chaaha un kadmon ko, jo teri raah mein badhaaye humne,
phir bhi meri rahon ne teri manzil ka hi pata diya.
Vafa to teri fitrat mein hi nahi thi, humse ho gayi bhool,
pata nahi - tune humein kyun bevafa karaar diya?????"


ji haan romance ji...
ek gaana meri taraf se bhi..

Sach keh raha hai diwaana dil na kisi se lagaana,
jhoote hain yaar ke vaade saare, jhooti hain pyar ki kasmein
maine har lamha jise chaaha jise pooja,
usine yaaro mera dil toda, toda
tanha tanha choda!



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
mohabbat soch kar karni thi
Old
  (#7)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
Love mohabbat soch kar karni thi - 11th August 2002, 07:44 PM

Hume mohabbat soch kar karni thi,
Humne mohabbat hosh mein karni thi.
Par kya karti, bas na chala dil par mera,
Socha hi nahi ki mohabbat bhi soch kar karni thi.
Suna tha mohabbat mein bahut khushiyan milti hain,
Ek ajeeb sa sukoon milta hai.
Har ghadi mehboob ki raah dil dekhta hai,
Humne yeh bekraari soch kar leni thi.
Hume mohabbat soch kar karni thi,
Humne mohabbat hosh mein karni thi.
Par kya karti, bas na chala dil par mera,
Socha hi nahi ki mohabbat bhi soch kar karni thi.

Kar chuke hain ab to mohabbat hum,
Likh chuke hain kisi ka naam dil par apne hum.
Har ghadi dilbar ka intzaar rehta hai,
Unhe milne ko dil har pal bekaraar rehta hai.
Har lamha aati hai unhi ke pyra ki mehak,
Humne yeh mehak kuch soch kar leni thi.
Hume mohabbat soch kar karni thi,
Humne mohabbat hosh mein karni thi.
Par kya karti, bas na chala dil par mera,
Socha hi nahi ki mohabbat bhi soch kar karni thi.

Unse kari mohabbat humne, thi yeh sabse badi bhool humari,
Socha hi nahi ki dil milega bhi unse ya nahi.
Woh bekhabar, bedard sanam nikle,
Unhe yaad hi nahi aayi kabhi humaari.
Humne ki thi unse mohabbat kuch is tarah se unse,
Ki sunaayi deta tha humein naam ek hi har ghadi.
Chaahte the unhe apni zindagi se jyada hun,
Kismat bhi nikali kharaab humari.
Ho gayi unse juda, bhool gaye woh mujhe
pata nahi yaad aati bhi hogi unhe humari??
Hume mohabbat soch kar karni thi,
Humne mohabbat hosh mein karni thi.
Par kya karti, bas na chala dil par mera,
Socha hi nahi ki mohabbat bhi soch kar karni thi.



"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

   
Reply With Quote
Wah!!!
Old
  (#8)
sidhanse
Registered User
sidhanse is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 24
Join Date: Nov 2001
Location: Bahrain
Rep Power: 0
Wah!!! - 11th August 2002, 08:30 PM

Wah Priyaji,
aapke shayri ka jawab nahi bilkul.... Aapne phir se apni Umda Shayri ka saboot de diya.... Par dukh hua yeh sun kar ke aap apne toote dil ko abhi talak savaar na sakhe...
Ummeed hain ki aap aage bhi aisa likhte rahenge..... Humari dua aapke saath hain...

Humara Aadab qabool farmaiye!!

Chal then, take care!


Kalam Mohabbat ka,
Panne ishq ke,
Baatein pyaar ki,
Kisse ghum ke!!
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Ab to samjho... Chaand Shayri-e-Ishq 5 12th January 2009 02:54 AM
Apna Samjho sonu'shayari Shayri-e-Ishq 0 4th April 2006 10:21 AM
Tum samjho to THEEK, Na samjho to bhi..... KunaaL Shayri-e-Dard 10 2nd April 2006 09:48 PM
Samjho Mubahir Hindi/Urdu Lyrics 0 31st May 2005 02:33 PM
Samjho coool_sahil Shayri-e-Ishq 0 14th February 2002 10:11 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com