Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Stories/Quotes/Anecdotes > General Stories

Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 43 votes, 4.91 average. Display Modes
Aankhon Dekhi, Sachi Kahani...
Old
  (#1)
yoyosimran
Registered User
yoyosimran is a jewel in the roughyoyosimran is a jewel in the roughyoyosimran is a jewel in the rough
 
yoyosimran's Avatar
 
Offline
Posts: 654
Join Date: Mar 2008
Location: DUBAI
Rep Power: 19
Arrow Aankhon Dekhi, Sachi Kahani... - 13th April 2008, 08:25 AM

ON SDC today...i want to share sumthing....

well.....
Aaj kuch mann nahin kar raha hai....SALAAM NAMASTHE keh kar....shuru karne ka....
kuch khaas baathen share karna chahthi thi main....SDC ke saath...

Mann bahuth udaas hai....jo kuch huva uske baad...
Bahuth THak chuki hoon aaj....Sone ka mann bhi bahuth hai...par aankh bandh karu tho bas VOHI nazar aatha hai....


Vohi nazaare yaad aathen hain....


Today is Sunday....
Main gayi thi out of station on Thursday....
Bas drive mein hi kuch hua...yehi baath share karni thi mujhe....


Jab hum jaa rahe the....
tho maine.... kuch achhi cheezen ghaur ki...
tab hi maine soch liya tha ki main ghar vaapas aaungi tho sabse pehle ...
yeh baath JAAKAR apne SDC ke dosthon ko bathaongi...


Hum car se jaa rahe the....
Highway tha...
Highway par, as usual do tracks hothe hain...ek jaane ke liye aur doosri taraf se aane k liye...
Maine dekha... thodi der mein- ki jo gaadiyan dooosre track par se vaapas jaa rahi thi na, vo hum ko...yani ki jo hamare track mein gaadiyan thee.n, unko light ( dipper ) ...baar baar dikha rahe the....
almost har car...sirf hamein nahi......hamari taraf se jaane vale har gaadiyon ko....
us taraf ( opposite side ) se.


Maine apne uncle se jab poocha ki sab ham logon ko yeh light batha kar kya ishaara kar rahen hai...
Tho mujhe unhone bathaya ki .... aage dekhna...ek police ki car hogi ... hamare side mein... jo chupi hogi...bridge ke us paar hogi ya tho phir koi unchaayi par.


ya tho phir vahan par SPEED RADAR hoga...( to check whether v r over-speeding)
mere uncle ne...yeh ishaare dek kar..apni speed...190-210 se 120 par laa diya, jo yahan ka speed limit hotha hai legally.

bas thodi hi der mein , kya dekha....
ek police ki car...
hum tho slow hi the...
car tho chali gayi hamari...but ab phir se opposite side ke cars ne is side ke cars par dipper dena shuru kar diya...
maine poocha ab kya...

tho unhone kaha...ab dekhna shayad check point hoga....

bas 10 km gaye hi the...MILA hame ek check point...


WOW gr8...
i was verry impressed....


i know...ho saktha hai ki...tum logon mein se....bahuth saaron ko yeh baath patha hogi...

par mere jaise bhi honge na.....
THO YEH UNKE LIYE THA....

Mujhe bahuth achha laga ki driving mein bhi kithni saari friendship hothi hai...Mai tho ise friendship hi kahungi...

ALTHOUGH log yahan par koi bhi kisiko bhi nahin pehchaantha...
Pehchaanna kya...dekh bhi nahin saktha....
magar.... I just loved this ADA....


And so...i wanted to share this with u all....

aur bhi hai....
the other side of the story which i will say soon....

Meri trip ki kahani ka doosra hissa...bahuth dard naak hai...
patha nahi kaise likhu....
thodi himmath karni hai....

BELEIVE ME,,,
u will b shocked....n so was i.....

take care till then....


If you want ur dreams to cum true...
WAKE UP...!


Love,
SIMRAN
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
yash chawla
Banned
yash chawla will become famous soon enoughyash chawla will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 2,267
Join Date: Jan 2008
Location: switzerland
Rep Power: 0
13th April 2008, 02:09 PM

second page jaldi se post kare aap
   
Reply With Quote
Aankhon Dekhi sachi kahani - 2
Old
  (#3)
yoyosimran
Registered User
yoyosimran is a jewel in the roughyoyosimran is a jewel in the roughyoyosimran is a jewel in the rough
 
yoyosimran's Avatar
 
Offline
Posts: 654
Join Date: Mar 2008
Location: DUBAI
Rep Power: 19
Exclamation Aankhon Dekhi sachi kahani - 2 - 19th April 2008, 03:26 PM

salaam namasthe all...!!!


I know i had not written to this thread ahead since sooo many days..
Exactly a week...
Bas mann nahin tha ki main usko yaad karu.n phir se...VO sab, likhte samay.

Phir bhi ...
Ab lagtha hai ki... isko naa batha kar maine yaha par apni kahani ko adhoora rakha hai...

Anyways...
Ham vaapis aa rahe the, do din ruk kar, vahan se ...aur din tha Saturday. ( last week)...

Vahan se hum nikle the raat ke 2 baje. Hum log gaadi mein gaana bajana kar hi rahe the...ab ithni door aur jo aana tha, aur snacks tho chal hi rahe the... phir ek ek kar sab sone lage.

Kuch der mein mujhe bhi thodi thodi neend aane lagi...
Yeh jo subah ka waqt hotha hai na, bahuth kharaab hotha hai...
Subah yaani 5 ke aas paas...! Nashe ki neend lagthi hai.

Bas thodi hi der mein, Maine mehsoos kiya...ki hamari gaadi ki speed kam huvi, thoda uthkar dekha tho left side par-road ke, ek ladke khada hamari gaadi ko rok raha tha....

Aur vo right side par kuch ishaara kar raha tha.
hum us ladke ke ishaare ki Or dekhne lage, tho vahan par right side mein ek gaadi, CAMRY beige colour ki thi , jiska rukh opposite taraf tha.
Ek ek kar sab jaag gaye...

Pehli nazar mein humne socha ki voh jo ladka tha..vo usi gaadi ka tha,
accident vaali aur usko madad ya lift chahiye thi.
Gaadi aage se poori tarha dab chuki thi.Aur gaadi ka jo engine tha vahan par thodi aag lagi thi, infact aur badh rahi thi.

Jab uthar gaye the hum gaadi se, tho us ladke ne kaha ki tumlog gaadi ke paas jao aur dekho, andar kuch huva hai kya kisi ko. Aur vo shayad aur gaadiyon ko rukana chah raha tha...

Aur usne kaha ki mai bas abhi abhi aaya hoon, meri gaadi se. Jisme mere dosth hain, jo vahan dikh raha hai Fuel station vahan gayen hain FIRE EXTINGUISHER lane ke liye, taaki aag bujha sake.

Hum sab ne us engine par reth daalne ki sochi, vahan par reth tho bahuth thi. Aag - reth ki vajah se thodi kam ho rahi thi...

Aage se tho kuch dikhayee nahin de raha tha...
Tho mere ek cousin ne left side ka darvaaza (not the drivers side)
Khola. Main tho bas uske paas hi thi. DARVAAZA jo khula tho kya dekha maine... Gaadi ke andar DO ladke the. Donon ke aadhe hisse jo the gaadi ke aage ke hisse mein fanse huve the. unki jo seat thi jahan par vo baithe the, vahan par unka sar tha aur unke kandhe sirf dikh rahe the...

Maine jis tarha chillaya hai, bas sab aa gaye us taraf.
DOnon behoshi mein hi the SHAAYAD...!

Right side ka ladka bas darvaaza kholthe hi aaDa padh gaya(side ways, towards the door )

Mai vo nazara bhool hi nahin sakthi.
Jo ladka right side mein baitha tha, usne shayad hum ko mehsoos kar liya tha.vo ajeeb ajeeb awaazen lagane laga. Jaise vo Madad ke liye pukaar raha tha. usne apna hath thoda uthaya, jaise keh raha ho ki mujhe yahan se nikalo.
Mai kuch kar hi nahin rahi thi, mai jaise blank ho gayi thi. Khadi thi aur dekh rahi thi, patha nahi kya.
Mann mein chal raha tha...ki kya yeh mauth ke pal hain...!
Kya aise jo log marthe hai.n raasthon par, kya vo aise hi dikhthe hain.
Mujhe shayad shock ho chuka tha.

Meri nazar uthi, maine yeh observe kiya ki, vo ladka kuch 20-21 saal ka hoga, brown colour ki shirt pehna tha aur shayad blue jeans, jo poori dikh nahin rahi thi, vo bhag uska aage gaD gaya tha...!

ithne tak tho jo hamare saath aaye the unhone doosra darvaaza bhi khol diya tha.Phir thodi der mein meri nazar us doosre ladke par padi, blue t-shirt mein tha vo. Maine dekha, vo ladka jo tha, uska sar seat par tha. usne apne sar ko utha kar phir neeche rakh diya,phir uthaya, phir rakh diya...vo bas aise hi kar raha tha...uthana rakhna ,seat par.

Us ladke ki saansen jo thi.n shayad kam ho rahi thi. Phir ek dam se usne apna sar zyada force se uthaya. ( Meri haalath tho batha nahin sakthi , mujhe hamesha lagtha tha ki main bahuth himmathvaali hoon - magar main tho khadi jahan thi, vahin thi ). uski saanson ke sath sath uska moo.n bhi thoda khul jaatha tha... aur phir bas kuch saans baad...!uski saanson ke saath saath, khoon bhi aane laga...
thode pal baad saanson ka jo bahav tha , kam ho gaya,, thodi dheemi.n ho gayi.n thi.n saanse.n....
Aur uske sath jo tha khoon ha bahaav thoda ooncha ho gaya tha....
jaise koi favvara ud raha ho laal rang ka....moo se uske!

Phir maine apne bhai ki aor dekha jo driver ke paas ki taraf tha, usne mujhe dekha, aur kaha ki main jaa kar apne gaadi mein baith jaoon...

Magar meri tho kuch samajh mein nahin aa raha tha..
He and the other cousins, (men) were helpless...

Ithne mein aur do-teen gaadiyan ruk chuki thi. Aur log jam rahe the...
tho hum jo ladkiyan thi.n vaapas gaadi mein chale gaye, par hamari gaadi kareeb hi thi tho we cud see all...! very close..!

Aag tho engine ki thodi thami hi thi, agar vo nahin thamthi, tho mauth se pehle hi vo do ladke gaadi mein jal jaathe.

VO ladka jisne ham ko roka tha, ab uski bhi gaadi aa chuki thi, EXTINGUISHER le aa gaye the vo ladke, aur aag ko poori tarha bhujha diya tha...!

Ab tak tho na tho police aayi thi aur na tho ambulance, (Bas hamare aane ke kuch pal hi huva hoga yeh haadsa, shayad 5 minute pehle.) Hum logon ne phone tho kar diya tha, bas nikla hi chuke honge police aur MEDICAL help...

jab aur ladke jam gaye...tho thodi der mein jo driver seat mein tha, us ladko dekh kar sab samajh chuke the ki vo bachne vaala nahin hai...
tho kyonki yeh ek ARAB country hai, vahin par sab ladke ZOR ZOR se kalme.n padne lage...! Aur usse bhi kehne lage...padho...padho...
yeh Naa jaanthe huve, ya janthe huve patha nahin..ki vo sun paa raha hai bhi ke nahin..!...

But all were helpless...unko kheench tho nahin sakthe the bahaar, atleast is ladko (driver) ko tho bilkul nahin, mere bhai ne dooosre ladke ki aor jaakar, himmath kii usko haath dene ki, koi bhi nahin jaa raha tha, magar vo chilla raha tha...usko madad chahiye thi...
uske ooppar aage ka sheesha , (jo toot chuka tha, magar kyonki vo tempered glass tha, bikhra nahin tha, chitak kar ek layer bana tha), vo baar baar gir raha tha...
vo ek haath uspar detha ...tho doosra haath jo vahann khade the unki aor badatha...Awaazen nikal raha tha...dard ke maare shayad...!
Ek ladke ne badi himmath karke...apna haath us ladke ke haath mein dekar kaha...daro math...abhi aayegi ambualance aur tumhe kuch nahin hoga...!
WE will HELP you...


Sab logon ke aankhon se aansu beh rahethe...
Shayad hi aisa nazara kisine dekha ho...!

bas police aa chuki thi, magar yahan bhi vohi kissa, ab ambulance bhi aaye tho kya.
Ithne mein alarm helpers ( road accident helper) aa gaye, unhone gaadi ko kaatne ki koshish ki...
Yeh ladka tho almost nikal hi chuka tha.... Right side vaala.
Uske pulse check kar rahe the...!

Aur doctor ne bathaya ki shayad iske pair hi na ho...
aur doosra jo tha, uske bhi pulse gir rahe the...
gir chuke the almost, nikala tho usko bhi gaya..
har taraf khoon hi khoon....

vo log tho chale gaye...the....
aur sab bhi jaane lage...
patha bhi nahin chal hum logon ko ki kya huva hoga us ladkon ka...!

highway ka nazaara tha...
No knowledge of the accidents, thereafter...!

Humlog bhi ghar pahunch chuke the, agle 10-11 ghanton ki drive ke baad mein, bas farq ithna tha, ki koi bhi kisise baath nahin kar raha tha.
Sab khamosh the, na kisi ne kuch baath ki, aur na khaaya piya.
Gaadi ki speed bhi jo thi 220 ya 200 km, us kisse ke baad 130 140 par hi seemith thi...

Mai sirf ithna hi kehna chahoongi ki,
Please drive safe, kya huva tha un ladkon ke saath yeh tho patha bhi nahin chala,shayad un ladkon ko neend aa gayi hogi.
Yahan par har roz hotha hai yeh sab, aisa patha chala.

Magar we can be a little careful , for sure...!
Jab neend aaye tho please gaadi ko thodi der ruka kar rest kar lena...!

Pls drive safe....

Love life...Live life....


If you want ur dreams to cum true...
WAKE UP...!


Love,
SIMRAN

Last edited by yoyosimran; 19th April 2008 at 03:56 PM..
   
Reply With Quote
All must go through this...
Old
  (#4)
AAysha
Registered User
AAysha is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 30
Join Date: Apr 2008
Location: Australia
Rep Power: 0
Post All must go through this... - 19th April 2008, 09:00 PM

Hello Simran,

I was just searching for your posts, then i got this.
I was amazed.
I am shocked.
These things happen almost every where.
Especially in the life of doctors, daily, my dad is a doctor,
but he has never mentioned anything as such in such a manner. Infact b'coz of seeing such things daily, they have lost their sensitivity.

You really seem to be a nice girl.
You have understood the pain probably, and moreover taken the pain into yourself.

I think one must surely read , what you have written , coz all must feel what one must have gone through.
Life and death is a part of life, but...to face it - is not easy...

Did u come to know what happened with those boys?

Are you out of it?
You seem to be very sensitive.

Just take care...
The world is really MORE painful.

How did you put that picture?
Im quite impressed with your lines,
If u want your dreams to come true...WAKE UP..!

Its really nice to begin with someone like you.

Always LOVE,
AAysha

   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Ek Kahani (Kyaa Mujhse Uski Bidaayi Dekhi Jaayegi ???....) Aashique Shayri-e-Dard 0 27th August 2010 08:45 PM
Guzar gaee raat aankhon aankhon main baba Shayri-e-Ishq 0 31st December 2003 02:21 PM
Sachi Mohabbat Irfan Hakeem Shayri-e-Ishq 0 26th December 2003 05:29 PM
Meri Sachi Kahani Dard-e-sush Shayri-e-Dard 9 13th October 2003 04:25 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com