Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Gulaabee rang aksar boltaa hai
Old
  (#1)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
Gulaabee rang aksar boltaa hai - 19th December 2010, 06:43 PM

aadaab dosto
kuchh dinon pahle aap ke yahaan se guzar huwaa to dil me aayaa kiun na main bhi aap ki is mahfil ka shareek e kaar ban jaaun ishq ki mahfil me ek ishqiyah ghazal leke haazir ho rahaa hun ummeed ki doaaon se nawaazen ge
masood hassaas

Merey rukh pe meraa dil doltaa hai
Ye andar ho key baahar bolta hai

rukh .... face

Ye dil hai muntazir kiska meree jaaN
Har ik aahat pe aankheN kholta hai

muntazir.... intezaar me

Ye kiska aks hai aankhoN me raqsaaN
Ye kiskaa naam hai jo bolta hai

aks .... parchhaaeeN .. raqsaaN ..naachtaa huwaa

Mujhe hai zikr us ka had se pyaaraa
Merey munh me wo ras ko gholtaa hai

zikr ....... kisee ki baat karnaa

Wo aankhoN se samaa ke dil me mery
Meree dunya ko mujh se molta hai

Usey hai payaar aankhoN ki zanaaN se
Meraa man bhi usee sey doltaa hai

Mai us se jab bhi dil ki baat kah duN
Gulaabee rang aksar boltaa hai

Merey afkaar ko dekey tabassum
Hai aakhir koun mujh ko kholtaa hai

afkaar.. kheyaalaat

Mai us kee shaan me itnaa kahuN ga
Ke wo lafzoN se motee roltaa hai

Usee Hassaas tum rakkho nazar me
use har shakhs apnaa boltaa hai

Reply With Quote
Old
  (#2)
ISHK EK IBADAT
RADHE RADHE
ISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.comISHK EK IBADAT is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 4,115
Join Date: Oct 2009
Location: DELHI
Rep Power: 58
Love 20th December 2010, 11:30 AM

Quote:
Originally Posted by masoodhassas View Post

aadaab dosto
kuchh dinon pahle aap ke yahaan se guzar huwaa to dil me aayaa kiun na main bhi aap ki is mahfil ka shareek e kaar ban jaaun ishq ki mahfil me ek ishqiyah ghazal leke haazir ho rahaa hun ummeed ki doaaon se nawaazen ge
masood hassaas

Merey rukh pe meraa dil doltaa hai
Ye andar ho key baahar bolta hai

rukh .... face

Ye dil hai muntazir kiska meree jaaN
Har ik aahat pe aankheN kholta hai

muntazir.... intezaar me

Ye kiska aks hai aankhoN me raqsaaN
Ye kiskaa naam hai jo bolta hai

aks .... parchhaaeeN .. raqsaaN ..naachtaa huwaa

Mujhe hai zikr us ka had se pyaaraa
Merey munh me wo ras ko gholtaa hai

zikr ....... kisee ki baat karnaa

Wo aankhoN se samaa ke dil me mery
Meree dunya ko mujh se molta hai

Usey hai payaar aankhoN ki zanaaN se
Meraa man bhi usee sey doltaa hai

Mai us se jab bhi dil ki baat kah duN
Gulaabee rang aksar boltaa hai

Merey afkaar ko dekey tabassum
Hai aakhir koun mujh ko kholtaa hai

afkaar.. kheyaalaat

Mai us kee shaan me itnaa kahuN ga
Ke wo lafzoN se motee roltaa hai

Usee Hassaas tum rakkho nazar me
use har shakhs apnaa boltaa hai

bahut khoob............................................

Aapka Apna
Ishk

'इश्क' के बदले इश्क चाहना तिजारत है
इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है

email: rkm179@gmail.com
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
AHMAD SHAKIL
Registered User
AHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant future
 
AHMAD SHAKIL's Avatar
 
Offline
Posts: 1,105
Join Date: Oct 2010
Location: Faisalabad
Rep Power: 34
20th December 2010, 11:56 AM

Merey rukh pe meraa dil doltaa hai
Ye andar ho key baahar bolta hai

rukh .... face

Ye dil hai muntazir kiska meree jaaN
Har ik aahat pe aankheN kholta hai

Janab Masood Hassaas Saheb...!

Boht Kamal Ghazal Kahi Aap Ne..... Ye 2 Sher To Dil Me Ghar Kr Gaye........
Aaap Ka Andaz-e-Bayan Boht KHooob Or Dil Me Utar Janay Wala Hai.... Khayalaat Or Alfaaz Ki Aap Ke Haan Koi Kami Nahi....
Tah-e-Dil Se Daad Hazir Hai Apni Muhabbat Se Qabool Farmayen..

Bas Aik Baat Kahun Ga....... Is Ghazal Me Aik Lafz "Bolta Hai" 4 Jaga Istemaal Hua Hai...... Sirf Ye Jana'na Chahun Ga Ke Kia Ye Ghazal Ke Zoaf Ko Zahir Nahi Krta...?

Duaon Me Yaad Rakhiye Ga.....

Ay Chaara-Saaz Dil Pe M're Daal Ik Nazar
Mujhko Bas Aik Jism Ka Aazaar Hee Nahi

AHMAD ALI SHAKIL
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
shipra
Registered User
shipra is a splendid one to beholdshipra is a splendid one to beholdshipra is a splendid one to beholdshipra is a splendid one to beholdshipra is a splendid one to beholdshipra is a splendid one to beholdshipra is a splendid one to beholdshipra is a splendid one to behold
 
shipra's Avatar
 
Offline
Posts: 474
Join Date: Apr 2009
Rep Power: 24
20th December 2010, 05:17 PM

Ye dil hai muntazir kiska meree jaaN
Har ik aahat pe aankheN kholta hai

too good masood ji....
bahut bahut khoob....
aapki is post ko padhne ke baad main to yahi kahungi ki aap ishq par hi llikha keejiye...
isi bahane hume bhi acchi acchi gazle padhne ko milengi..
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
21st December 2010, 02:05 AM

Quote:
Originally Posted by ISHK EK IBADAT View Post
bahut khoob............................................
aadaab
bahot shukriya merey bhai khush rahen
masood
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
21st December 2010, 07:48 AM

Merey rukh pe meraa dil doltaa hai
Ye andar ho key baahar bolta hai

Masood Bhai .. Aadaab !

Tamaam Ghazal ke saath ... Yeh matlaa bahut khoob laga hume ... tahe dil se daad hazir hai ... aise hi aate rahen aur likhte rahen ... khush rahen ... !

duaaon ke saath ... !

YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...

---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#7)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
21st December 2010, 10:06 AM

Quote:
Originally Posted by masoodhassas View Post

aadaab dosto
kuchh dinon pahle aap ke yahaan se guzar huwaa to dil me aayaa kiun na main bhi aap ki is mahfil ka shareek e kaar ban jaaun ishq ki mahfil me ek ishqiyah ghazal leke haazir ho rahaa hun ummeed ki doaaon se nawaazen ge
masood hassaas

Merey rukh pe meraa dil doltaa hai
Ye andar ho key baahar bolta hai

rukh .... face

Ye dil hai muntazir kiska meree jaaN
Har ik aahat pe aankheN kholta hai

muntazir.... intezaar me

Ye kiska aks hai aankhoN me raqsaaN
Ye kiskaa naam hai jo bolta hai

aks .... parchhaaeeN .. raqsaaN ..naachtaa huwaa

Mujhe hai zikr us ka had se pyaaraa
Merey munh me wo ras ko gholtaa hai

zikr ....... kisee ki baat karnaa

Wo aankhoN se samaa ke dil me mery
Meree dunya ko mujh se molta hai

Usey hai payaar aankhoN ki zanaaN se
Meraa man bhi usee sey doltaa hai

Mai us se jab bhi dil ki baat kah duN
Gulaabee rang aksar boltaa hai

Merey afkaar ko dekey tabassum
Hai aakhir koun mujh ko kholtaa hai

afkaar.. kheyaalaat

Mai us kee shaan me itnaa kahuN ga
Ke wo lafzoN se motee roltaa hai

Usee Hassaas tum rakkho nazar me
use har shakhs apnaa boltaa hai

Kya bat hai masood saahb dard me toofaan machane ke baad aapko ishq ki galiyon me dekh raha hoon to jaise yakeen nahi aa raha hai. aapne to yahan pe bhi baazii maar lee huzoor... kamaal ke alfaaz kahan se intekhaab karte hain saahibe-aala.... hum to bas padhne me yoon magn ho jaate hain ki bas fir sab bhool jaate hain.. aapki ye koshish sare aankhon pe... aur hame bahot pasand aai hai. dil se daad kubool farmaaen... likhte rahen..
allah kare zore-kalam badhta hi jaae..

shaad...

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
21st December 2010, 04:41 PM

Quote:
Originally Posted by AHMAD SHAKIL View Post

Merey rukh pe meraa dil doltaa hai
Ye andar ho key baahar bolta hai

rukh .... face

Ye dil hai muntazir kiska meree jaaN
Har ik aahat pe aankheN kholta hai

Janab Masood Hassaas Saheb...!

Boht Kamal Ghazal Kahi Aap Ne..... Ye 2 Sher To Dil Me Ghar Kr Gaye........
Aaap Ka Andaz-e-Bayan Boht KHooob Or Dil Me Utar Janay Wala Hai.... Khayalaat Or Alfaaz Ki Aap Ke Haan Koi Kami Nahi....
Tah-e-Dil Se Daad Hazir Hai Apni Muhabbat Se Qabool Farmayen..

Bas Aik Baat Kahun Ga....... Is Ghazal Me Aik Lafz "Bolta Hai" 4 Jaga Istemaal Hua Hai...... Sirf Ye Jana'na Chahun Ga Ke Kia Ye Ghazal Ke Zoaf Ko Zahir Nahi Krta...?

Duaon Me Yaad Rakhiye Ga.....

aadaab
shakeel bhai

ap ki inaayaton mohabbaton ka be had shukriyaa
jo baat aap ne ki hai us se farhat mili kiun ki omooman yahaan waah waahi ka maosam apnee jaolaaniyon pe rahtaa hai is liye jab aisee koi baat saamne aatee hai to ehsaas hotaa hai ki koi to hai jiske liye ghazal ka likhnaa kaamyaab thehraa

shakil bhai
sheree ma"aaeeb me ye baat to shaamil nahi hai is liye ye baat laaeqe eytenaa nahi hai taaham jab aap ne kahaa hai tomain panaa matmahe nazar waazeh kar dun ki mofakkereen ka is me ekhtelaaf hai kuchh hazraat ise z"of kahte hain to khuchh hazraat ka kahnaa hai ki ye bhi shair ka kamaal hai ki ek hi lafz ko mot'addad tareeqe se istemaal pe qaadir hai aor ek hi khiyaal ko mukhtalif andaaz me baratne ka fan aashnaa hai

janaab aslam noor saahab ek din chaat pe the unhon ne kahaa zaraa dekh ke bataayen sher kaisaa hai .. aor sher likhaa ..allah jaane us sher me kitnee kashish thee ki belaa eraadah main ne waheen barjastah ghazal kah dee aor aslam bhai se kahaa ki ye ghaza aap ki hai aap ise le len unhon ne badee apnaaiyat se khuddaariyat ki benaa pe shukriyaa ke saath manaa kar diyaa yahee wajah hai ki ye ghazal ek mashohoor site pe ,, ek ghazal aslam noor ke naam ,,, se aaj bhi maojood hai
dossree baat meree hiss ne wahi baat kahee thee jo ki aap ne sochaa magar chunki kheyaalaat achhe the is liye un ashaar ko ghazal me rahne diyaa warna do sher kam kar ke ye shiq bhi naa paid ki jaa saktee thee
teesri baat mujhe is radeef me mazeed alfaaz mile bhi nahi jo ki meree kam ilmi ke sewaa kuchh nahi hai
ab aap ko bataaun ki ek ghazal ke 3 sher kahaa hun magar talaashe bisyaar ke baad bhi qaafiyaa dasteyaab nahi ho rahaa hai aap bhi sunen
merey wajood ko khushyoN ka taoq detee hai
haseen aap ki muskaan hai jo zerey lab
panap raha hai merey dil ki aarzoo ban kar
merey khayaal me gar saanjh to sawerey lab
mujhe sokoon ki waadi pe dastaras deke
merey jonooN pe teree aarzoo bhi pherey lab
main us moqaam ka khowaahaaN hun ishq me jaanaaN
ki meree peyaas ko mahsoos karen terey lab

is ghazal ke liye mujhe sirf ek lafz mil raha hai ,, merey,, aage kuchh samajh me nahi aara hai agar aap kuchh madad kar sakte hon to nawaazish ho gee

ghazal ko jis baareeki se aap ne dekhaa hai main us ke liye ehsaan mand hun
allah aap ko jazaaye khair de
mainaap ke jawaab ka inrezaar karungaa taaki tabaadul e aaraa se istefaadah kiyaa ja sake
mukhlis
masood hassaas

Reply With Quote
Old
  (#9)
AHMAD SHAKIL
Registered User
AHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant futureAHMAD SHAKIL has a brilliant future
 
AHMAD SHAKIL's Avatar
 
Offline
Posts: 1,105
Join Date: Oct 2010
Location: Faisalabad
Rep Power: 34
22nd December 2010, 12:25 PM

Quote:
Originally Posted by masoodhassas View Post
aadaab
shakeel bhai

ap ki inaayaton mohabbaton ka be had shukriyaa
jo baat aap ne ki hai us se farhat mili kiun ki omooman yahaan waah waahi ka maosam apnee jaolaaniyon pe rahtaa hai is liye jab aisee koi baat saamne aatee hai to ehsaas hotaa hai ki koi to hai jiske liye ghazal ka likhnaa kaamyaab thehraa

shakil bhai
sheree ma"aaeeb me ye baat to shaamil nahi hai is liye ye baat laaeqe eytenaa nahi hai taaham jab aap ne kahaa hai tomain panaa matmahe nazar waazeh kar dun ki mofakkereen ka is me ekhtelaaf hai kuchh hazraat ise z"of kahte hain to khuchh hazraat ka kahnaa hai ki ye bhi shair ka kamaal hai ki ek hi lafz ko mot'addad tareeqe se istemaal pe qaadir hai aor ek hi khiyaal ko mukhtalif andaaz me baratne ka fan aashnaa hai

janaab aslam noor saahab ek din chaat pe the unhon ne kahaa zaraa dekh ke bataayen sher kaisaa hai .. aor sher likhaa ..allah jaane us sher me kitnee kashish thee ki belaa eraadah main ne waheen barjastah ghazal kah dee aor aslam bhai se kahaa ki ye ghaza aap ki hai aap ise le len unhon ne badee apnaaiyat se khuddaariyat ki benaa pe shukriyaa ke saath manaa kar diyaa yahee wajah hai ki ye ghazal ek mashohoor site pe ,, ek ghazal aslam noor ke naam ,,, se aaj bhi maojood hai
dossree baat meree hiss ne wahi baat kahee thee jo ki aap ne sochaa magar chunki kheyaalaat achhe the is liye un ashaar ko ghazal me rahne diyaa warna do sher kam kar ke ye shiq bhi naa paid ki jaa saktee thee
teesri baat mujhe is radeef me mazeed alfaaz mile bhi nahi jo ki meree kam ilmi ke sewaa kuchh nahi hai
ab aap ko bataaun ki ek ghazal ke 3 sher kahaa hun magar talaashe bisyaar ke baad bhi qaafiyaa dasteyaab nahi ho rahaa hai aap bhi sunen
merey wajood ko khushyoN ka taoq detee hai
haseen aap ki muskaan hai jo zerey lab
panap raha hai merey dil ki aarzoo ban kar
merey khayaal me gar saanjh to sawerey lab
mujhe sokoon ki waadi pe dastaras deke
merey jonooN pe teree aarzoo bhi pherey lab
main us moqaam ka khowaahaaN hun ishq me jaanaaN
ki meree peyaas ko mahsoos karen terey lab

is ghazal ke liye mujhe sirf ek lafz mil raha hai ,, merey,, aage kuchh samajh me nahi aara hai agar aap kuchh madad kar sakte hon to nawaazish ho gee

ghazal ko jis baareeki se aap ne dekhaa hai main us ke liye ehsaan mand hun
allah aap ko jazaaye khair de
mainaap ke jawaab ka inrezaar karungaa taaki tabaadul e aaraa se istefaadah kiyaa ja sake
mukhlis
masood hassaas

Asslam-o-Alaikum…!

Janab Masood Hassaaas Saheb…

Umeed Hai Aap Kheriat Se Hon Gay….. Or ALLAH Hamesha Aap Ko Kheriat Se He Rakhay....Sir Beshak Aap Ka Kalam Bharpur Or Hr Pehlu Se Mukammal Hai….Main Ne Aap Se Faqat Apni Rahnumayi Ke Liye Aisa Pucha ThaKe Aik He Lafz Bar'ha Istemaal Krnay Se Ghazal Ki Saakht Pr To Asar Nahi Parta…?Or Aap Ki Ye Baat Bilikuk Baja Hai Ke Aik Hee Lafz Ko Mukhtalif Tareeqay Se Adaa Krna Bhi Aik Khooobi He Hai.Or Main Ne Boht Se Baray Shoraa Ke Kalaam Me Bhi Ye Baat Dekhi Hai
Chunanchay Bilashuba Aap Jo Likhtay Hain Wo Mukammal he Hota Hai….

Dusri Baat Aap Ne Ghazal Ke Qafia Ke Liye Madad Ka Kaha Hai…..

merey wajood ko khushyoN ka taoq detee hai

haseen aap ki muskaan hai jo zerey lab
panap raha hai merey dil ki aarzoo ban kar
merey khayaal me gar saanjh to sawerey lab
mujhe sokoon ki waadi pe dastaras deke
merey jonooN pe teree aarzoo bhi pherey lab
main us moqaam ka khowaahaaN hun ishq me jaanaaN
ki meree peyaas ko mahsoos karen terey lab

Masood Saheb…..! Bilashuba Ye Ghazal Shahkaar Hai Or Boht Munafarid Qafia Or Radeef Hai………… Agr Ye Mukammal Ho Jaye To Ye Shahkaar Ban Sakti Hai

Is Ke Liye Mere Zehn Me Kuch Qafiyay Aa Rahay Hain…..Shayed Ke Aap Ko Kuch Madad Mil Sakay….

Ghairay, Dairay,Munh Andheray, Luteray,Saperay,Mere

Mila Hai Mere Gunahon Ko Daman-e-Rehmat
Dua Ke Waasitay Kholay Jo Munh Andheray Lab

Mere Hawaas Pe Dalay Huay Hain Dairay Lab
Nazar Ke Naag Ko Be-sudh Karen Saperay Lab

Ye Kuch Meri Koshish Hai……Kuch Tabdeeli Ke Baad Agr Aap Ke Qabil Ban Saktay Hain To Kalaam Me Shamil Kr Lijiye Ga….Aap Ne Is Ghazal Me Aik Sher Kaha Hai……….

Haseen Aap Ki Muskaan Hai Jo Zere Lab

Is Sher Ke Pehlay Misray Se Main Mutma'en Nahi Hun……..Jahan Tak Mera Ilm Hai Lafz"Taoq" Gham Ke Liye Istemaal Hota Hai…..Gham Ka Taoq………..Agar Aap Taoq Ki Jaga Kuch Or Lafz Lagyen To Ziada Behtr Lagay Ga….Jesay

Mere Wajood Ko Khushiyon Ka Haar Tere Lab

Isi Tarha Ke Agr Kuch Or Mutbadil Lafz Aap Ke Zehn Me Hon To Aap Wo Istemaal Kren To Ziada Theak Lagay Ga

ALLAH AAP KO KHUSH RAKHAY

ALLAH HAFIZ

Ay Chaara-Saaz Dil Pe M're Daal Ik Nazar
Mujhko Bas Aik Jism Ka Aazaar Hee Nahi

AHMAD ALI SHAKIL
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
22nd December 2010, 04:53 PM

kiyaa baat hai shakeel bhai
bahot khoob ... do sher kiyaa kahaa aap ne is zameen ka haq adaa kardiyaa ... shaandaar .. bahot khoob ...
janaab sachhi baatto yahee hai ki aap ne jin alfaaz ki taraf ishaaraah kiyaa hai wo bahot hi peyaare hain main is silsile me aap ka shukr guzaar hun allah kare kabhi tabiyat ka mailaan is jaanob ho aorghazal ki takmeel amal me aajaaye
mukhlis
masood
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
22nd December 2010, 05:29 PM

masood bhaa'ii:

Aadaab!

waah waah! bahot hi Khoob.. Pyaar bhare ehsaas dil mei.n Ghar kar gaye.n! yuuNhi liKhate rahe.n aage bhee!

KhuSh rahe.n... apnaa Khayaal raKhe.n

duaao.n ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
23rd December 2010, 12:10 AM

Quote:
Originally Posted by shipra View Post
Ye dil hai muntazir kiska meree jaaN
Har ik aahat pe aankheN kholta hai

too good masood ji....
bahut bahut khoob....
aapki is post ko padhne ke baad main to yahi kahungi ki aap ishq par hi llikha keejiye...
isi bahane hume bhi acchi acchi gazle padhne ko milengi..

aadaab
shipraa ji
aji aap kaho aor ham na likhen aisaa kaise hogaa bas dekho ab kab mood bantaa hai
aap itnee mohabbat se kah rahee hain to ab to main likhte hi post karne aaun gaa bas aap aise hi apnee daad se himmat badhaatee rahen dekhnaa ek din mainbhi achhi ghazal likh lun gaa
dhanewaad shipra ji
aap ka dost
masood

Reply With Quote
Old
  (#13)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
25th December 2010, 01:49 AM

Quote:
Originally Posted by naresh_mehra110 View Post
Merey rukh pe meraa dil doltaa hai
Ye andar ho key baahar bolta hai

Masood Bhai .. Aadaab !

Tamaam Ghazal ke saath ... Yeh matlaa bahut khoob laga hume ... tahe dil se daad hazir hai ... aise hi aate rahen aur likhte rahen ... khush rahen ... !

duaaon ke saath ... !

aadaab
mehraa ji
aap ka jitnaa bhi shukriyaa adaa jaaye kam hai aap har kisee ko daad dete hain aor use doaa bhi dete hain jis se saaf pataa chaltaa hai ki aap ek saaf hi nahi balki bade dil ke maalik hain
bahot shukriyaa saahab
mukhlis
masood
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
25th December 2010, 01:52 AM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Kya bat hai masood saahb dard me toofaan machane ke baad aapko ishq ki galiyon me dekh raha hoon to jaise yakeen nahi aa raha hai. aapne to yahan pe bhi baazii maar lee huzoor... kamaal ke alfaaz kahan se intekhaab karte hain saahibe-aala.... hum to bas padhne me yoon magn ho jaate hain ki bas fir sab bhool jaate hain.. aapki ye koshish sare aankhon pe... aur hame bahot pasand aai hai. dil se daad kubool farmaaen... likhte rahen..
allah kare zore-kalam badhta hi jaae..

shaad...
aadaab
shaad bhai
hahahahahahhahahahaah
are nahi yaar aisaa kiyaa kar diyaa main ne ki toofaan aa gayaa hai .. yaar ye to aap ki mohabbat hai ki aap mujhe itnaa maan sammaan de rahe ho warnaa main kiyaa meree aoqaat kiyaa
magar jis mohabbat se aap ne ghazal ko aor mujhe nawaazaa hai main us kaa aabhaaree hun
mukhlis
masood
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
25th December 2010, 01:56 AM

Quote:
Originally Posted by Dhaval View Post
masood bhaa'ii:

Aadaab!

waah waah! bahot hi Khoob.. Pyaar bhare ehsaas dil mei.n Ghar kar gaye.n! yuuNhi liKhate rahe.n aage bhee!

KhuSh rahe.n... apnaa Khayaal raKhe.n

duaao.n ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

aadaab
dhaval bhai
bas ji ye aap ki mohabbat hai aor kuchh nahi .. main kuchh bhi god gaad detaa hun aap ki mohabbat hai ki aap use taaj mahal banaa dete hain
shukriyaa saahab
masood
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,722
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
26th December 2010, 03:26 PM

hassas sahab ... badee hi khoobsurat aur ras bharee ghazal lagee aapkee. saare aashaar behad umdah the, par inpar to dil hi atak gayaa ...

Wo aankhoN se samaa ke dil me mery
Meree dunya ko mujh se molta hai

Mai us se jab bhi dil ki baat kah duN
Gulaabee rang aksar boltaa hai

Usee Hassaas tum rakkho nazar me
use har shakhs apnaa boltaa hai

dheron daad aur duaaon ke saath ... zarraa
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
6th January 2011, 05:13 PM

Quote:
Originally Posted by zarraa View Post
hassas sahab ... badee hi khoobsurat aur ras bharee ghazal lagee aapkee. saare aashaar behad umdah the, par inpar to dil hi atak gayaa ...

Wo aankhoN se samaa ke dil me mery
Meree dunya ko mujh se molta hai

Mai us se jab bhi dil ki baat kah duN
Gulaabee rang aksar boltaa hai

Usee Hassaas tum rakkho nazar me
use har shakhs apnaa boltaa hai

dheron daad aur duaaon ke saath ... zarraa
adaab
janaab zarrah saahab aap ki mohabbat hai ki aap ne inashaar ko izzat bakhshi khodaa aap ko ajr de
masood
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
6th January 2011, 07:40 PM

Merey rukh pe meraa dil doltaa hai
Ye andar ho key baahar bolta hai

Usee Hassaas tum rakkho nazar me

use har shakhs apnaa boltaa hai

Masood Bhai,

Ghazal ki jitni tareef ki jaye kam hai,
lekin quoted ashaar ko khaas pazeeraayi
na dii jaye to waqai in ashaar ki haq-talfii ho gii,
janab yeh ashaar ko mere dil meiN ghar kar gaye,
bohat hi umda tareeqe aur nihaayat hi nazaakat
k saath aap ne yeh likhay, jo k mujhe hamesha
yaad rahien gay, aur mujhe ye 2 ashaar itnay
pasand aaye k is k mutaliq bata nahi sakta....

Aise hi kamaal kartay rahieN,

DuaooN k saath ijaazat,

*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
@kaash
Registered User
@kaash is a splendid one to behold@kaash is a splendid one to behold@kaash is a splendid one to behold@kaash is a splendid one to behold@kaash is a splendid one to behold@kaash is a splendid one to behold@kaash is a splendid one to behold
 
Offline
Posts: 249
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 22
7th January 2011, 03:03 PM

behad hi achi ghazal likhi hai Masood ji aapne,bahut hi ache ehsasaat
khush rahen
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
sneha123
Registered User
sneha123 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 148
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 14
7th January 2011, 05:48 PM

Quote:
Originally Posted by masoodhassas View Post

aadaab dosto
kuchh dinon pahle aap ke yahaan se guzar huwaa to dil me aayaa kiun na main bhi aap ki is mahfil ka shareek e kaar ban jaaun ishq ki mahfil me ek ishqiyah ghazal leke haazir ho rahaa hun ummeed ki doaaon se nawaazen ge
masood hassaas

Merey rukh pe meraa dil doltaa hai
Ye andar ho key baahar bolta hai

rukh .... face

Ye dil hai muntazir kiska meree jaaN
Har ik aahat pe aankheN kholta hai

muntazir.... intezaar me

Ye kiska aks hai aankhoN me raqsaaN
Ye kiskaa naam hai jo bolta hai

aks .... parchhaaeeN .. raqsaaN ..naachtaa huwaa

Mujhe hai zikr us ka had se pyaaraa
Merey munh me wo ras ko gholtaa hai

zikr ....... kisee ki baat karnaa

Wo aankhoN se samaa ke dil me mery
Meree dunya ko mujh se molta hai

Usey hai payaar aankhoN ki zanaaN se
Meraa man bhi usee sey doltaa hai

Mai us se jab bhi dil ki baat kah duN
Gulaabee rang aksar boltaa hai

Merey afkaar ko dekey tabassum
Hai aakhir koun mujh ko kholtaa hai

afkaar.. kheyaalaat

Mai us kee shaan me itnaa kahuN ga
Ke wo lafzoN se motee roltaa hai

Usee Hassaas tum rakkho nazar me
use har shakhs apnaa boltaa hai

Beautiful !!!!!! its amazing,,,,,,I think wonderful post ,,,,thanks lot for share with us,,,,,
with regards,
sneha,
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
11th January 2011, 04:38 PM

Quote:
Originally Posted by Hassan View Post
Merey rukh pe meraa dil doltaa hai
Ye andar ho key baahar bolta hai

Usee Hassaas tum rakkho nazar me
use har shakhs apnaa boltaa hai

Masood Bhai,

Ghazal ki jitni tareef ki jaye kam hai,
lekin quoted ashaar ko khaas pazeeraayi
na dii jaye to waqai in ashaar ki haq-talfii ho gii,
janab yeh ashaar ko mere dil meiN ghar kar gaye,
bohat hi umda tareeqe aur nihaayat hi nazaakat
k saath aap ne yeh likhay, jo k mujhe hamesha
yaad rahien gay, aur mujhe ye 2 ashaar itnay
pasand aaye k is k mutaliq bata nahi sakta....

Aise hi kamaal kartay rahieN,

DuaooN k saath ijaazat,

aadaab
hassan bhai
daad dene ka fan koi aap se seekhe jis faraakhdilee se aap ne daad di hai wo bazaate khud kisee ghazal ki mahkaar se kam nahi hai is me wo nazaakat paayee jaatee hai jo ghazal ka roop maanaa jaataa hai
main tahe dil se shukr guzaar hun
mukhlis
masood hassaas
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
11th January 2011, 04:41 PM

Quote:
Originally Posted by sneha123 View Post
Beautiful !!!!!! its amazing,,,,,,I think wonderful post ,,,,thanks lot for share with us,,,,,
with regards,
sneha,
aadaab
sneha ji
aap ne daad kiyaa di dil jhoom jhoom gayaa lagaa ki kaheen se koi muralee ki taan sunaayi de rahee hai jis ki lai pe dil be bas ho ke sharaabhi ban gayaa ho

main aap ka shukr adaa karun gaa is ummeed ke saath ki ye saath yun hi banaa rahe gaa
mukhlis
masood hassaas
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
sneha123
Registered User
sneha123 is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 148
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 14
12th January 2011, 11:53 AM

Quote:
Originally Posted by masoodhassas View Post
aadaab
sneha ji
aap ne daad kiyaa di dil jhoom jhoom gayaa lagaa ki kaheen se koi muralee ki taan sunaayi de rahee hai jis ki lai pe dil be bas ho ke sharaabhi ban gayaa ho

main aap ka shukr adaa karun gaa is ummeed ke saath ki ye saath yun hi banaa rahe gaa
mukhlis
masood hassaas
Hello masood ji....
Thanks lot for reply my post so I'm very happy....,,,,,,,,,,
with regards,,,,,
sneha
   
Reply With Quote
Old
  (#24)
masoodhassas
Registered User
masoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant futuremasoodhassas has a brilliant future
 
masoodhassas's Avatar
 
Offline
Posts: 791
Join Date: Sep 2010
Rep Power: 31
16th January 2011, 04:13 PM

Quote:
Originally Posted by sneha123 View Post
Hello masood ji....
Thanks lot for reply my post so I'm very happy....,,,,,,,,,,
with regards,,,,,
sneha
aadaab
aji sneha saahab
sirf aap hi khush nahi hain balki haqeeqat yah hai ki aap ki daad ki mihaas main aaj tak apne andar mahsoos kar rahaa hun ummeed ki aate rahen ge
doaan ke saath
masood hassaas
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com