Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Shayari e Mashhoor Shayar...Jaun Elia
Old
  (#1)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
Shayari e Mashhoor Shayar...Jaun Elia - 4th November 2015, 05:10 PM

namaskaar doston...

vaqt ho chala hai ki is mahine ek aur mashhoor shayar ki ghazlon se aapko rubaru karwayein.....is silsile ko aage badhate huye...is baar ham jin hazrat ki ghazalon ko padhenge aur apne ilm me izafa karenge unka naam hai JAUN ELIA sahab... yun to aap sab inke naam aur hunar se wakif honge.....
fir bhi inke bare me kuch personal informations share kar rahi hoon.......

Jaun Elia December 14, 1931 – November 8, 2002. was a notable Pakistani urdu languagepoet philosopher, biographer, and scholar. He was fluent in Arabic, English, Persian, Sanskrit and Hebrew.

Jaun Elia was born on 14 December 1931 in Amroha, Uttar Pradesh. He was the youngest of his siblings. His father, Shafiq Hasan Elia, was involved in art and literature and also an astrologer and a poet.

This literary environment modeled him along the same lines, and he wrote his first Urdu couplet when he was just 8. As a young man he was interested in Islamic history.

He migrated to Pakistan in 1957, and made Karachi his home. His poetry won him both acclaim and approbation in the local literary circle.

He remained in quest of an ideal all his life. Unable to find the ideal eventually, he became angry and frustrated. He felt, perhaps with reason, that he had squandered his talent.

Elia was an open anarchist and nihilist in generally a conservative and religious society. His elder brother Rais Amrohvi, himself a poet and influential intellectual, was murdered.

He briefly worked as an editor with Ismaili Tariqah and Religious Education Board in Karachi.

He acquired knowledge of philosophy, logic, Islamic history, the Muslim Sufi tradition, Muslim religious sciences, Western literature, and Kabbala. His synthesis of this knowledge into his poetry differentiates him from his modern contemporaries.

He also edited the Urdu literary magazine Insha, through which he came to know another Urdu writer, Zahida Hina, whom he later married.

He had two daughters and a son with her. Jaun and Zahida divorced in the mid-1980s which left him alcoholic and depressed.He died after a protracted illness on 8 November 2002 in Karachi.

shuruaat karte hain...unki is umda ghazal ke sath...

Kaisa dil aur uske kya gham jee,
Yu’n hee baatain banaatey hain, hum jee,

Kya bhalaa aasteen aur daaman,
Kab se palkein bhi ab nahi nam jee,

Ussey ab koi baat kya kerna,
Khud se bhi baat kije kam-kam jee,

Dil jo dil kya tha, ek mehfil tha,
Ab hai darham jee aur barham jee,

Baat be-tour ho gayi shayad,
Zakhm bhi ab nahi hai, marham jee,

Haar duniya se maan le shayad,
Dil, hamaare mein ab nahi, dam jee,

Hai yeh hasrat ke zibah ho jaun,
Hai shikan is shikam ki zaalam jee,

Kaise aakhir na rang khele’n hum,
Dil lahoo ho raha hai, jaanam jee,

Hai kharaaba yeh husniya apna,
Roz majlis hai aur maatam jee,

Waqt dam bhar ka khel hai usme,
Besh az besh hai, kam az kam jee,

Hai azal se abad talak ka hisaab,
Aur bus ek pal hai peham jee,

Be-shikan ho gayi hai woh zulfein,
Is gali mein nahi rahe kham jee,

Dasht-e-dil ka ghazaal hee na raha,
Ab bhalaa kis se kijiye ram jee…

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..

Last edited by Madhu 14; 4th November 2015 at 05:16 PM..
   
Reply With Quote
Tujh Se Gilay Karoon Tujhe Janaa’n Manaaon Main
Old
  (#2)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
Tujh Se Gilay Karoon Tujhe Janaa’n Manaaon Main - 5th November 2015, 05:08 PM

Ek aur behatreen ghazal pesh hai...doston...
Tujh Se Gilay Karoon Tujhe Janaa’n Manaaon Main
Ik Bar Apne Aap Mein Aaon To Aaon Main

Dil Se Sitam Ki Be’saro Kaari Hawaa Ko Hai
Woh Gard Urraa Rahi Hai Ke Khud Ko Ganwaaon Main

Naadim Hoon Woh Ke Jis Pe Nadaamat Bhi Ab Nahin
Woh Kaam Hain Ke Apni Judai Kamaaon Main

Kyon’kar Ho Apne Khawab Ki Aankhon Mein Wapsi
Kis Taur Apne Dil Ke Zamamon Mein Jaaon Main

Ik Rang Si Kamaa’n Ho Khushbu Sa Ik Teer
Marham Si Ik Wardaat Ho Aur Zakham Khaon Main

Shikwa Sa Aik Dareecha Ho Nasha Sa Ik Sakoot
Ho Shaam Aik Sharab Si Aur Larr’khraon Main

Phir Is Gali Se Apna Guzar Chahta Hai Dil
Ab Is Gali Ko Kaunsi Basti Se Laaon Main

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
jee Hi Jee Mein Woh Jal Rahi Hogi... Chaandani Mein Tehal Rahi Hogi
Old
  (#3)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
jee Hi Jee Mein Woh Jal Rahi Hogi... Chaandani Mein Tehal Rahi Hogi - 6th November 2015, 07:28 PM

jee Hi Jee Mein Woh Jal Rahi Hogi...
Chaandani Mein Tehal Rahi Hogi..

Chaand Ney Taan Lee Hai Chadar E Abar..
Ab Woh Kapray Badal Rahi Hogi..

Surkh Aur Sabaz Wadiyon Ki Taraf..
Woh Meray Saath Chal Rahi Hogi..

Charhatay Charhatay Kisi Pahaari Per..
Ab Woh Karvat Badal Rahi Hogi..

Pairh Ki Chaal Se Raggar Kha Ker..
Woh Tanni Se Phissal Rahi Hogi..

Ho Kay Khuwab E Aish Sey Bedaar..
Kitni Hi Dair Shall Rahi Hogi..

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..

Last edited by Madhu 14; 6th November 2015 at 07:30 PM..
   
Reply With Quote
Seena dehak raha hai to kya chup rahe koee
Old
  (#4)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
Seena dehak raha hai to kya chup rahe koee - 9th November 2015, 07:20 PM

seena dehak raha hai to kya chup rahe koee
kyun cheekh cheekh ker na gala cheel le koee

saabit huaa sukoon e dil o jaan kaheen naheen
rishton mein dhoondta hai to dhoonda kare koee

tark e tualluqaat koee masala naheen
yeh to voh raasta hai ke bas chal parhe koee

deewaar jaanta tha jise mein voh dhool thee
ab mujh ko etimaad ki daawat na de koee

mein khud yeh chahta hoon ke haalaat hon kharab
mere khilaaf zeher ugalta phire koee

haan theek hai mein apni ana ka mareez hoon
aakhir mere mizaaj mein kyun dakhl de koee

ek shakhs ker raha hai abhi tak wafa ka zikr
kaash is zaban daraaz ka muun noach le koee

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Jaan Hum Ko Wahaan Bula Bhejo
Old
  (#5)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
Jaan Hum Ko Wahaan Bula Bhejo - 12th November 2015, 03:37 PM

Apni Manzil Ka Raasta Bhejo
Jaan Hum Ko Wahaan Bula Bhejo

Kya Hamaara Nahin Raha Saawan
Zulf Yaan Bhi Koi Ghataa Bhejo

Nayi Kaliyaan Jo Ab Khili Hain Wahaan
Un Ki Khushboo Ko Ik Zaraa Bhejo

Hum Na Jeete Hain Aur Na Marte Hain
Dard Bhejo Na Tum Dawaa Bhejo

Dhoool Udti Hai Jo Us Aangan Mein
Us Ko Bhejo, Saba Saba Bhejo

Ai Faqeero! Galli Ke Us Gull Ki
Tum Humein Apni Khaak-E-Paa Bhejo

Shafaq-E-Shaam-E-Hijr Ke Haathon
Apni Utri Hui Qabaa Bhejo

Kuchh To Rishta Hai Tum Se Kambakhto
Kuchh Nahin, Koi Bad-Dua Bhejo

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
12th November 2015, 07:42 PM

ek se ek nageena chun kar laaya hai aapne madhu saahiba......
jaun eliya is a very versatile and one of my favorite poet.... thanks for sharing lovely thoughts and poems... do keep posting...

all the very best....

shaad...........

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
12th November 2015, 09:05 PM

Shukriya shaad ji ....padhte rahiyega.....

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
12th November 2015, 09:08 PM

Bahut khoob Jaun Elia sahab aapne aap mein ek kitaab hai jinhe jitnaa padhaa jaaye kam hai.....bahut shukriya ab tak ki sabhi ghazals bejod rahi aur yeh mehfil to abhi shuru huyi hai umeed hai baaki sab dost mein is mein shirkat karenge...

Madhu behad shukriya aapka aise aala shayar ko aapne is mahine humhare beech rakha hai

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
abhi farmaan aayaa hai wahaaN se
Old
  (#9)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
abhi farmaan aayaa hai wahaaN se - 12th November 2015, 09:45 PM

Ek behad dil ke qareeb ghazal mehfil ki nazar kar raha hoon...

abhi farmaan aayaa hai wahaaN se
ke haT jaauuN maiN un ke darmiyaaN se

yahaaN jo hai tanaffus hii meN kam hai
parinde uR rahe haiN shaaKh-e-jaaN se

dariichaa band hai yaadoN kaa aur maiN
havaa suntaa huN peRon ki zabaaN se

thaa ab tak m’arkaa baahaar kaa dar-pesh
abhii to ghar bhii jaanaa hai yahaaN se

falaaN se behtar thii Ghazal falaaN kii
falaaN ke zaKhm acche the falaaN se

Khabar kyaa duuN maiN shah’r-e-raftugaaN kii
ko’ii lauTe bhii shah’r-e-raftugaaN se

yahii anjaam kyaa tujh ko havas thaa
ko’ii puuche to meer-e-daastaaN se

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#10)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
13th November 2015, 08:40 AM

Quote:
Originally Posted by mast View Post

Waaaaahhhh....khoob ghazal share ki hai aapne...
Bahut shukriya aapka .
Aate rahiye...

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
aakhri baar aah kar li hai
Old
  (#11)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
aakhri baar aah kar li hai - 13th November 2015, 06:41 PM

aakhri baar aah kar li hai
main ne khud se nibaah kar li hai
(aah : sigh; nibaah : manage)

apne sar ek balaa to leni thi
main ne vo zulf apne sar li hai
(balaa : problem; zulf : tresses; sar : on oneself)

din bhalaa kis tarah guzaaro ge
vasl ki shab bhi ab guzar li hai
(vasl : meeting; guzar : over)

jaan-nisaaron pe vaar kyaa karnaa
main ne bas haath mein sipar li hai
(jaan-nisaar : close friends; vaar : attack; sipar : shield)

jo bhi maango udhaar doongaa main
us gali men dukaan kar li hai

mera kash-kol kab se khaali tha
main ne us mein sharaab bhar li hai
(kash-kol: begging bowl)

aur to kuch naheen kiyaa main ne
apni haalat tabaah kar li hai

sheikh aaya to mohtasib ko liye
main ne bhi unki vo khabar li hai
(skeikh : priest; mohtasib : reckoner)

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#12)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
14th November 2015, 01:41 PM

waaaah....ek se ek badh ke ashaar.....itni umda ghazal share karne ka shukriya...mast ji..

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
15th November 2015, 07:52 AM

kya khoob kalaam pesh kiyaa hai bhai...............................

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
15th November 2015, 10:38 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
waaaah....ek se ek badh ke ashaar.....itni umda ghazal share karne ka shukriya...mast ji..
Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
kya khoob kalaam pesh kiyaa hai bhai...............................
aap dono ke saath ka behad shukriya

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Mujhko aap apna aap dijiyega, aur kuchh bhi na mujh se lijiyega. Aap bemisl, bemisaa
Old
  (#15)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
Mujhko aap apna aap dijiyega, aur kuchh bhi na mujh se lijiyega. Aap bemisl, bemisaa - 16th November 2015, 06:57 PM

Mujhko aap apna aap dijiyega,
aur kuchh bhi na mujh se lijiyega.

Aap bemisl, bemisaal hun main,
mujh siwa aap kis pe rijhiyega.

Aap jo hain azal se hi benaam,
naam mera kabhi toh lijiyega.

Aap bas mujh mein hi toh hain, so aap
mera behad khyaal kijiyega.

Hai agar waaqai sharaab haraam,
aap hothon se mere pijiyega.

Intezaari hun apna main din raat,
ab mujhe aap bhej dijiyega.

Aap mujh ko bahut pasand aaye,
aap meri kameez sijiyega.

Dil ke rishte hain khoon, jhooth ki sach,
ye muamma kabhi na boojhiyega.

Hai mere jism-o jaan ka maazi kya ?
mujh se bas ye kabhi na poochiyega.

Mujh se meri kamaai ka sar-e shaam,
paai paai hisaab lijiyega.

Zindagi kya hai, ik hunar karna
so qareene se zehar pijiyega.

Main jo hun, ‘Jaun Eliya’ hun janaab,
iska behad lihaaz kijiyega. !!

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Aish E Umeed Hi Se Khatra Hai..
Old
  (#16)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
Aish E Umeed Hi Se Khatra Hai.. - 18th November 2015, 04:09 PM

Aish E Umeed Hi Se Khatra Hai..
Dil Ko Ab Dil Dahi Se Khatra Hai..

Hai Kuch Aisa Kay Uski Jalwat Mein..
Hamein Apni Kami Se Khatra Hai..

Jis Ki Aghosh Ka Hoon Deewana..
Us Ki Aghosh Hi Sey Khatra Hai..

Yaad Ki Dhoop To Hai Rouz Ki Baat..
Han Mujhe Chandani Sey Khatra Hai..

Hai Ajab Kuch Muamla Dar-Paish..
Aqel Ko Aaga'ahi Sey Khatra Hai..

Sheher E Ghaddar Jaan Ley Kay Tujhe..
Aik Amroohi Sey Khatra Hai..

Main Kahoon Kis Tarhan Yeh Baat Us Sey..
Tujh Ko Janam Mujhi Sey Khatra Hai..

Aaj Bhi Aye Kanaar E Baan Mujhe
Teri Ik Sanwali Sey Khatra Hai..

In Laboun Ka Lahoo Na Pee Jaon..
Apni Tishna Labi Sey Khatra Hai..

Jaun! Hee To Hai Jaun Kay Darpay..
Meer Ko Meer Hi Sey Khatra Hai..

Ab Nahin Baat Koi Khatray Ki..
In Sabhi Ko Sabhi Sey Khatra Hai.

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Ek Gali thi jab us se Hum nikle
Old
  (#17)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
Ek Gali thi jab us se Hum nikle - 19th November 2015, 12:48 PM

Ek Gali thi jab us se Hum nikle
aise nikle ke jaise dumm nikle

Koocha-e-Arzoo jo tha, us mein
Zulf-e-Jaanan tarha ke khum nikle

Aag Dil-Sheher mein lagi jis din
sabse aakhir mein vaan se hum nikle

jinse Dil ka mo´amla hota
yaan bohot kam hi aise gham nikle

hai shikayat ke voh bhi voh nikla
hai nadamat ke hum bhi hum nikle

"Jaun" yeh jo vujood hai, yeh vujood
kya banegi agar adam nikle

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
19th November 2015, 10:30 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post

Ek Gali thi jab us se Hum nikle
aise nikle ke jaise dumm nikle

Koocha-e-Arzoo jo tha, us mein
Zulf-e-Jaanan tarha ke khum nikle

Aag Dil-Sheher mein lagi jis din
sabse aakhir mein vaan se hum nikle

jinse Dil ka mo´amla hota
yaan bohot kam hi aise gham nikle

hai shikayat ke voh bhi voh nikla
hai nadamat ke hum bhi hum nikle

"Jaun" yeh jo vujood hai, yeh vujood
kya banegi agar adam nikle
Wah Bahut khoob Madhu....yunhi dil azeez ghazalein share karte rahiYe

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Naya Ek Rishta Paida Kyun Karein Hum
Old
  (#19)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
Naya Ek Rishta Paida Kyun Karein Hum - 19th November 2015, 10:34 PM

Naya Ek Rishta Paida Kyun Karein Hum
Bicharna Hai To Jhagra Kyun Karen Hum

Khamoshi Se Ada Ho Rasm-e-Duri
Koi Humgama Barpa Kyun Karen Hum

Ye Kafi Hai K Hum Dushman Nahi Hain
Wafa-Dari Ka Da'awa Kyun Karen Hum

Wafa, Ikhlaas, Qurbani, Muhabbat
Ab Inn Lafzon Ka Peecha Kyun Karen Hum

Suna Den Ismat-e-Maryam Ka Qissa
Par Ab Iss Baab Ko Waa Kyun Karen Hum

Zulekhaa-e-Azeezaan Baat Ye Hai
Bhala Ghaatay Ka Sauda Kyun Karen Hum

Hamari Hi Tamanna Kyun Karo Tum
Tumhari Hi Tamanna Kyun Karen Hum

Kiya Tha Ehad Jab LamhoN Men Hum Ne
To Saari Umar Iifa Kyun Karen Hum

Nahi Dunya Ko Jab Parwah Hamari
To Phir Dunya Ki Parwah Kyun Karen Hum

Barehna Hen Sar-e-Bazaar To Kia
Bhala Andhon Se Parda Kyun Karen Hum

Hain Baashinday Issi Basti K Hum Bhi
So Khud Par Bhi Bharosa Kyun Karen Hum

Pari Rehnay Do Insaanon Ki Laashen
Zameen Ka Bojh Halka Kyun Karen Hum

Ye Basti Hai Muslamaanon Ki Basti
YahaN Kar-e-Maseeha Kyun Karen Hum

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#20)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
20th November 2015, 01:51 AM

Khaamoshii keh rahii hai kaan meiN kyaa
aa rahaa hai mere gumaan meiN kyaa

[gumaan=thought]

ab mujhe koii Tok'taa bhii nahiiN
yahi hotaa hai khaandaan meiN kyaa

bolte kyoN nahiiN mere haq meiN
aabale paD gaye zubaan meiN kyaa

[aabale=blisters]

merii har baat be-asar hi rahii
nuqs hai kuchh mere bayaan meiN kyaa

[nuqs=fault; bayaan=method of expression]

vo mile to ye puuchhnaa hai mujhe
abhii huuN maiN terii amaan meiN kyaa

[amaan=security]

shaam hii se dukaan-e-deed hai baNd
nahiiN nukasaan tak dukaan meiN kyaa

yuuN jo tak'taa hai aasmaan ko tuu
koii rehtaa hai aasmaan meiN kyaa

"ye mujhe chain kyuuN nahiiN paDtaa?
ek hi shaKhs thaa jahaan meiN kyaa!!"

Jaun Eliya

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 20th November 2015 at 01:54 AM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#21)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
20th November 2015, 09:42 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
Khaamoshii keh rahii hai kaan meiN kyaa
aa rahaa hai mere gumaan meiN kyaa

[gumaan=thought]

ab mujhe koii Tok'taa bhii nahiiN
yahi hotaa hai khaandaan meiN kyaa

bolte kyoN nahiiN mere haq meiN
aabale paD gaye zubaan meiN kyaa

[aabale=blisters]

merii har baat be-asar hi rahii
nuqs hai kuchh mere bayaan meiN kyaa

[nuqs=fault; bayaan=method of expression]

vo mile to ye puuchhnaa hai mujhe
abhii huuN maiN terii amaan meiN kyaa

[amaan=security]

shaam hii se dukaan-e-deed hai baNd
nahiiN nukasaan tak dukaan meiN kyaa

yuuN jo tak'taa hai aasmaan ko tuu
koii rehtaa hai aasmaan meiN kyaa

"ye mujhe chain kyuuN nahiiN paDtaa?
ek hi shaKhs thaa jahaan meiN kyaa!!"

Jaun Eliya
Bahut umdaa ghazal share ki hai janaab, mazaa aa gaya....

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#22)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
20th November 2015, 11:01 AM

Quote:
Originally Posted by mast View Post
Naya Ek Rishta Paida Kyun Karein Hum
Bicharna Hai To Jhagra Kyun Karen Hum

Khamoshi Se Ada Ho Rasm-e-Duri
Koi Humgama Barpa Kyun Karen Hum

Ye Kafi Hai K Hum Dushman Nahi Hain
Wafa-Dari Ka Da'awa Kyun Karen Hum

Wafa, Ikhlaas, Qurbani, Muhabbat
Ab Inn Lafzon Ka Peecha Kyun Karen Hum

Suna Den Ismat-e-Maryam Ka Qissa
Par Ab Iss Baab Ko Waa Kyun Karen Hum

Zulekhaa-e-Azeezaan Baat Ye Hai
Bhala Ghaatay Ka Sauda Kyun Karen Hum

Hamari Hi Tamanna Kyun Karo Tum
Tumhari Hi Tamanna Kyun Karen Hum

Kiya Tha Ehad Jab LamhoN Men Hum Ne
To Saari Umar Iifa Kyun Karen Hum

Nahi Dunya Ko Jab Parwah Hamari
To Phir Dunya Ki Parwah Kyun Karen Hum

Barehna Hen Sar-e-Bazaar To Kia
Bhala Andhon Se Parda Kyun Karen Hum

Hain Baashinday Issi Basti K Hum Bhi
So Khud Par Bhi Bharosa Kyun Karen Hum

Pari Rehnay Do Insaanon Ki Laashen
Zameen Ka Bojh Halka Kyun Karen Hum

Ye Basti Hai Muslamaanon Ki Basti
YahaN Kar-e-Maseeha Kyun Karen Hum
Bahut khoob...ise padh ke aise laga jaise man mangi muraad poori ho gayi ho.......

Shukriya aapka ....

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
20th November 2015, 11:04 AM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
Khaamoshii keh rahii hai kaan meiN kyaa
aa rahaa hai mere gumaan meiN kyaa

[gumaan=thought]

ab mujhe koii Tok'taa bhii nahiiN
yahi hotaa hai khaandaan meiN kyaa

bolte kyoN nahiiN mere haq meiN
aabale paD gaye zubaan meiN kyaa

[aabale=blisters]

merii har baat be-asar hi rahii
nuqs hai kuchh mere bayaan meiN kyaa

[nuqs=fault; bayaan=method of expression]

vo mile to ye puuchhnaa hai mujhe
abhii huuN maiN terii amaan meiN kyaa

[amaan=security]

shaam hii se dukaan-e-deed hai baNd
nahiiN nukasaan tak dukaan meiN kyaa

yuuN jo tak'taa hai aasmaan ko tuu
koii rehtaa hai aasmaan meiN kyaa

"ye mujhe chain kyuuN nahiiN paDtaa?
ek hi shaKhs thaa jahaan meiN kyaa!!"

Jaun Eliya

Waaah maikash ji......nayab ghazal share ki hai aapne..
Bahut shukriya...aate rahiyega...

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
janey ye kon aa raha mujh main
Old
  (#24)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
janey ye kon aa raha mujh main - 20th November 2015, 01:15 PM

hay faseelain utha raha mujh main
janey ye kon aa raha mujh main

jhon mujh ko jila-watan ker kay
wo meray bin bhalla raha mujh main

mujh say us ko rahee talash,umeed
so bahut din chuppa raha mujh main

tha qayamat,sakoot ka aashob
hashr sa ik bapa raha mujh main

pas-e-parda koee na tha phir bhi
ik parda kincha raha mujh main

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
20th November 2015, 03:51 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post

hay faseelain utha raha mujh main
janey ye kon aa raha mujh main

jhon mujh ko jila-watan ker kay
wo meray bin bhalla raha mujh main

mujh say us ko rahee talash,umeed
so bahut din chuppa raha mujh main

tha qayamat,sakoot ka aashob
hashr sa ik bapa raha mujh main

pas-e-parda koee na tha phir bhi
ik parda kincha raha mujh main
Bahut Khoob mazaa aa gaya padh ke....

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#26)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
21st November 2015, 08:29 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post

hay faseelain utha raha mujh main
janey ye kon aa raha mujh main

jhon mujh ko jila-watan ker kay
wo meray bin bhalla raha mujh main

mujh say us ko rahee talash,umeed
so bahut din chuppa raha mujh main

tha qayamat,sakoot ka aashob
hashr sa ik bapa raha mujh main

pas-e-parda koee na tha phir bhi
ik parda kincha raha mujh main

waahh waahhh...... kya kamaal ki ghazal zere nazar ki hai aapne madhu saahibaa..... waahhhhhhhh John ke ham mureed to pahle se hain aur aisi ghazlen tashnagee aur bhi badhaatii hain..... waahhh subhan allaah...

thanks for sharing............

Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#27)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
23rd November 2015, 01:10 PM

Shukriya doston....aapke aane se bazm me raunak bani rahti hai... aate rahiye padhte rahiyega ....

Pesh hai ek aur khoobsoorat ghazal.

Yaaron Naga Yaar Ko,Yaaron Sey Gila Hai..
Khooni Jiggron, Seena Fagaroun Sey Gila Hai..

Jaan Sey Bhi Gaye, Baat Bhi Jaanan Ki Na Samjhi..
Jaana Ko Bohot Ishq Kay Maaron Sey Gila Hai..

Ab Wasal Ho Ya Hijr, Na Ab Tak Basar Aya..
Ek Lamha, Jisay Lamha Shumaroun Sey Gila Hai..

Urti Hai Her Ek Shour Kay Seenay Sey Khaamshi..
Sehraoun Per Shaur, Dareyaon Sey Gila Hai..

Bekaar Ki Ek Kaar Guzari Kay Hisaaboun..
Bay-Kaar Hoon Aur Kaar Guzaari Sey Gila Hai..

Bey Fasal Ishaaroun Sey Huwa Khoon-E-Junoon Ka..
Un Shokh Nigaahon Key Ishaaron Sey Gila Hai..

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Chand Asha'ar (Hazrat Jaun Elia)
Old
  (#28)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
Chand Asha'ar (Hazrat Jaun Elia) - 23rd November 2015, 01:15 PM

yun to apne qasidaan e dil k paas
janay kis kis k liye pegham hain
jo likhey jatay rahay auron k naam
meray woh khat bhi tumhare naam hain

yeh tere khat, teri khushbu, ye tere khawab o khayal
mata e jaan hain tere qaul aur qasam ki tarah
guzashta saal inhain maine gin k rakha tha
kisi gharib ki jori huwi raqam ki tarah

kitney zalim hain, jo ye kehtey hain
tour lo phool, koi choray matt
baaghbaan hum to is khayal k hain
dekh lo phool, phool touro matt

hai muhabbat hayat ki lazzat
warna kuch lazzat e hayat nahin
kya ijaazat hai, ik baat kahoon
woh, magar khair, koi baat nahin

kisi libas ki khushbu jab urr k aati hai
tere badan ki judai bohot satati hai
tere ghulab tarastey hain teri khushbu ko
teri safaid chambeli tujhe bulati hai
tere baghair mujhe chain kaisay parta hai
mere baghair tujhe neend kaisay aati hai

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Kis se izhaar e muddaa kijiye aap milte nahin hain, kiya kijiye
Old
  (#29)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
Kis se izhaar e muddaa kijiye aap milte nahin hain, kiya kijiye - 24th November 2015, 01:03 PM

ek ghazal jo padhte hee dil me utar gayii..har ek sher jaise hamari hai...aap bhi suniye...
Kis se izhaar e muddaa kijiye
aap milte nahin hain, kiya kijiye

aap the jis k chaaragar, woh jahan
sakht bimaar hai, dua kijiye

mujh ko aadat hai rooth janay ki
aap mujh ko manaa liya kijiye

milte rahiye issi tapaak k saath
bewafaai ki inteha kijiye

ek hi fun to hum ney seekha hai
jis sey miliye, usay khafa kijiye

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
qata'at
Old
  (#30)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
qata'at - 24th November 2015, 01:05 PM

kuch qata'at paish e nazar hain Hazrat Jaun Elia ki Shayiri mein sey

Be-Dili Kiya Yunhi Din Guzar Jayeinge
Sirf Zinda Rahe Hum To Marr Jayeinge
Kitney Dilkash Ho Tum, Kitna Dil-Joo Hoon Main
Kiya Sitam Hai k Hum Log Marr Jayenge

Meri Aqal-0-Hosh Ki Sab Haalatein
Tum Ne Sanchay Me Ja-noo K Daal Dein
Ker Liya Tha Maine Ehd-e-Tark-e-Ishq
Tum ne Phir Banhein Galay Me Daal Dein

Sharam, Dehshat, Jhijhak, Pareshanii
Naaz Se Kaam Q Nahin Leiti
Aap, Woh, Ji, Magar,Ye Sab Kya Hai
Tum Mera Naam Q Nahin Leiti

(Hazrat Jaun Elia)

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
beqarai si beqarari hai
Old
  (#31)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
beqarai si beqarari hai - 26th November 2015, 09:59 AM

beqarai si beqarari hai
wasl hai aur firaaq taari hai

jo guzaari na ja saki hum se
hum ne woh zindagi guzari hai

us se kahiyo kay dil ki galioN meiN
raat din teri intezari hai

ik mehak samt-e-jaaN se aai thi
maiN yeh samjha teri sawari hai

haadisoN ka hisab hai apna
warna har aan sab ki baari hai

bin tumhare kabhi nahiN aai
kya meri neend bhi tumhari hai

nigharay kya hue keh logoN par
apna saaya bhi ab to bhari hai

khush rahe tu ke zindagi apni
umr bhar ki ummeed wari hai

aap meiN kaisay aauN mein tujh bin
saaNs jo chal rahi hai aari hai

hijr ho ya wisal ho kuchh ho
hum haiN aur us ki yaadgari hai
2.

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Koi Haalat Nahin Hai, Ye Haalat Hai
Old
  (#32)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
Koi Haalat Nahin Hai, Ye Haalat Hai - 26th November 2015, 11:52 AM

Koi Haalat Nahin Hai, Ye Haalat Hai..
Yeh To Asoob Naak Zaroorat Hai.
.
Anjuman Main Ye Meri Khamoshi..
Burdbari Nahin Hai, Wehshat Hai..

Tanz Pairaiye Tabassum Me...
Takhalus Ki Kiya Zaroorat Hai..

Garam joshi Is Qadar K Kiya Baat..
Kiya tumhein Mujhse koi Shikayat Hai..

Ab Tum Nikal Ao Apnay Andar Sey..
Ghar Mein Kuch Samaan Ki Zaroorat Hai..

Hum Ne Jana, To Hum Ne Ye Jana..
Jo Nahin Hai Woh Khoobsurat Hai..

Khuwahishen Dil Ka Saath Chor Gayeen..
ye Azziyat Bhi Bari Azziyat Hai..

Log Masroof Jantay Hain Mujhe..
Yahan Mera Gham E Meri Fursat Hai..

Aaj Ka Din Bhi Aish Se Guzra..
Sar Se Pair Tak Salamat Hai..

(Hazrat Jaun Elia)

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Aye wasl kuchh yahan na hua kuchh nahi hua,
Old
  (#33)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
Aye wasl kuchh yahan na hua kuchh nahi hua, - 27th November 2015, 11:12 PM

Aye wasl kuchh yahan na hua kuchh nahi hua,
uss jism ki main jaan na hua kuchh nahi hua.

Tu aaj mere ghar mein jo mehmaan hai Eid hai,
tu ghar ka mezbaan na hua kuchh na hua.

Kholi toh hai zabaan magar iss ki kya bisaat,
main zehar ki dukaan na hua kuchh nahi hua.

Kya ek kaarobaar tha woh rabt-e jism-o jaan,
koi bhi raigaan* na hua kuchh nahi hua.

Kitna jala hua hun bas ab kya bataaun main,
aalam dhuaan – dhuaan na hua kuchh nahi hua.

Dekha tha jab ki pehle – pehal usne aaina,
uss waqt main wahan na hua kuchh nahi hua.

Woh ek jamaal jalwa-fishan hai zameen – zameen,
main ta-ba-aasmaan na hua kuchh nahi hua.

Maine bas ek nighaah mein tayy kar liya tujhe,
tu rang-e bekaraan na hua kuchh nahi hua.

Ghum ho ki jaan tu meri aaghosh-e zaat mein,
benaam-o nishaan na hua kuchh nahi hua.

Har koi darmiyaan hai aye maajra-farosh,
main apne darmiyaan na hua kuchh nahi hua. !!
*[ Raigaan=useless ]

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Nazar hairaan, dil veeraan, mera jee nahin lagta
Old
  (#34)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
Nazar hairaan, dil veeraan, mera jee nahin lagta - 27th November 2015, 11:16 PM

Nazar hairaan, dil veeraan, mera jee nahin lagta
bichhad kar tum se meri jaan.. mera jee nahin lagta.

Koi bhi toh nahin hai jo pukaare raah mein mujh ko
hun main benaam ek insaan.. mera jee nahi lagta.

Jahan milte the hum – tum, aur jahan mil kar bichhadte the
na woh dar hai na woh dalaan.. mera jee nahin lagta.

Kahin sar hai kahin sauda, kahin wehshat kahin sehra
kahin main hun, kahin samaan.. mera jee nahi lagta.

Mere hi shehar mein, mere muhalle mein, mere ghar mein
bula lo tum mujhe mehmaan.. mera jee nahi lagta.

Main tum ko bhool jaaun, bhoolne ka dukh na bhulunga
nahin hai khel ye aasaan.. mera jee nahi lagta. !!

– Jaun Elia

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Tum haqiqat nahi ho hasrat ho,
Old
  (#35)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
Tum haqiqat nahi ho hasrat ho, - 28th November 2015, 11:27 PM

Tum haqiqat nahi ho hasrat ho,
jo miley khwaab main vo daulat ho.

main tumharey hi dum sey zindaa hoon,
mar hi jaoun jo tumsey fursat ho.

tum ho kushboo key khwaab ki khushbu,
aur itnee hi be-murawat ho.

kis tarah choodh dun tumhey jaana,
tum meri zindagi ki aadat ho.

kis liyen daikhti hoo aainaa,
tum tou khud sey bhi khobsurat ho.

dastaan khatm honey waali hai,
tum meri aakhri mohabbat ho.

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
bazm se jab nigaar uThta hai
Old
  (#36)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
bazm se jab nigaar uThta hai - 28th November 2015, 11:30 PM

bazm se jab nigaar uThta hai
mere dil se ghubaar uThta hai

maiN jo baiTha hooN to voh khush qaamat
dekh lo ! baar baar uThta hai

teri soorat ko dekh ker miri jaan
khud.ba.khud dil meiN pyaar uThta hai

us ki gul.gasht se ravish.ba.ravish
rang hi rang yaar uThta hai

tere jaate hi is kharaabe se
shor-e-giryah hazaar uThta hai

kaun hai jis ko jaaN azeez nahiN
le tiraa jaaN nicaar uThta hai

saf.ba.saf aa khaRe hue haiN ghazaal
dasht se khaaksaar uThta hai

hai ye teshaa ke aik sho'laa sa
bar.sar-e-kohsaar uThta hai

karb-e-tanhaai voh shae hai ke Khudaa
aadmi ko pukaar uThta hai

too ne phir kasb-e-zar ka zikr kia
kahiN ham se ye baar uThta hai

lo voh majboor-e-shehr seHra se
aaj deevaana vaar uThta hai

apne haaN to zamaane vaaloN ka
roz hi ai'tibaar uThtaa hai

Jaun uThta hai 'yuN kaho' yaa'ni
Meer-o-Ghalib ka yaar uThta hai

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#37)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
29th November 2015, 08:21 PM

ek se badh kar ek kalaam pesh kiye haina ap sab ne..... bahut shukriyaa....

Shaad...
   
Reply With Quote
tumse milkar bahut khushi ho kya
Old
  (#38)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
tumse milkar bahut khushi ho kya - 29th November 2015, 10:49 PM

gaahe gaahe bas ab yahi ho kya
tumse milkar bahut khushi ho kya

mil rahi ho bade tapaak ke saath
mujhko yaksar bhula chuki ho kya

yaad hain ab bhi apne khwaab tumhein
mujhse milkar udaas bhi ho kya

bas mujhe yunhi ek khyaal aaya
sochti ho to sochti ho kya

ab meri koii zindagi hi nahin
ab bhi tum meri zindagi ho kya

kya kaha, ishq jaawidaani hai
aakhri baar mil rahi ho kya

haan, fazaa yaan ki soyi soyi si hai
to bahut tez roshni ho kya

mere sab tanz be-asar hi rahe
tum bahut door jaa chuki ho kya

dil mein ab soz-e-intizaar nahin
shamm-e-ummid ! bujh gayi ho kya

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
haalat-e-haal ke sabab, haalat-e-haal hii gayii
Old
  (#39)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
haalat-e-haal ke sabab, haalat-e-haal hii gayii - 29th November 2015, 10:54 PM

haalat-e-haal ke sabab, haalat-e-haal hii gayii
shauq meN kuch nahiiN gayaa, shauq kii zindagii gayii

ek hii haadisaa to hai aur vo ye ke aaj tak
baat nahiiN kahii gayii, baat nahiiN sunii gayii

baad bhii tere jaan-e-jaaN dil meN rahaa ajab samaaN
yaad rahii terii yahaaN, phir terii yaad bhii gayii

uske badan ko dii namuud hamne suKhan meN aur phir
uske badan ke vaaste ek qabaa bhii sii gayii

uskii ummiid-e-naaz kaa hamse ye maan thaa ke aap
umr guzaar deejiye, umr guzaar dii gayii

uske visaal ke liye, apne kamaal ke liye
haalat-e-dil ke thii Kharaab, aur Kharaab kii gayii

teraa firaaq jaan-e-jaaN aish thaa kyaa mere liye
yaanii tere firaaq meN Khuub sharaab pii gayii

uskii galii se uTh ke maiN aan paRaa thaa apne ghar
ek galii kii baat thii aur galii galii gayii

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Nazm-Meri Masoom firozi...
Old
  (#40)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
Nazm-Meri Masoom firozi... - 30th November 2015, 10:43 PM

Meri Masoom Ferozi, Meri Mabooda E Jaan...
Mil Gaya Hai Mujhe Maktoob E Muhabbat Ka Jawaab
Uss Kay Andaaz E Nigaarish Sey Pareshaan Hoon Main
Wehshat Afza Hai Meray Wastay Asloob E Khitaab
Dekhna They Mujhe Sharmaye Huwey Kuch Jumley
Yeh Ahadees O Riwayaat Nahin Sun'na Theen
Dekhna Tha Mujhe Ek Jazba E Kaamil Tum Mein
Mujhko Quraan Ki Ayaat Nahin Sun'na Theen
Tum Nay Likha Hai K Tum Bhai Samjhti Ho Mujhe
Aab E Zam Zam Sey Kero Pur Na Jawaani Ka Ayaagh
Tum Ney Likha Hai K Pakeeza Muhabbat Hai Mujhe
Shamma E Kaaba Se Jalao Na Meri Shab Ka Chiraagh
Tum Ager Bhai Samajhti Ho To Yeh Bhi Likhoo
Bhai Kay Khat Bhi Chup Chup Kay Parha Kartay Hain?
Tum Agar Bhai Samjhti Ho To Yeh Bhi Batlaao..
Bhai Ka Naam Bhi Sharmaa Kay Liya Kartay Hain?
Main Nay Samjha Tha MayNaab E Takhayyul Tum Ko
Ab Yeh Taqdees E Takhhayyul To Barri Mushkil Hai..
Aao Main Tumko Batlaaon Kay Muhabbat Kiya Hai..
Hasrat E Larzish E Bay Jaa Ka Mukammal Ehsaas
Mard O Aurat Mein Meri Hoor Teray Sir Ki Kasam
Rishta E Aadam O Hawwa Kay Siwa Kuch Bhi Nahin..

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com