Daaman ko aansuon se sharabor kar diya
Daaman ko aansuon se sharabor kar diya
Usne mere iraade ko kamjor kar diya
Baarish hui to jhum ke sab naachane lage
Mausam ne ped-paudhon ko bhi mor kar diya
Main wo diya hun jisse larzati hai ab hawa
Aandhi ne chhed-chhed ke munhjor kar diya
Izhaar-e-ishq gair-jaroori tha, aapne
Tashreeh kar ke sher ko kamjor kar diya
Uske hasab-nasab pe koi shaq nahin magar
Usko mushaayaron ne ghazal-chor kar diya
Usne bhi mujhko kisse ki soorat bhula diya
Maine bhi aarjuon ko dargor kar diya